SHAWORDS

izhaar-e-aqidat mein kahaan tak nikal aae — Farigh Bukhari

HomeFarigh BukhariGhazal
"izhaar-e-aqidat mein kahaan tak nikal aae ham ahl-e-yaqin vahm-o-gumaan tak nikal aae shaadaab bahaaron ke tamannaai kahaan hain mausam ke qadam zakhm-e-khizaan tak nikal aae ye kaisaa alam hai ki garebaan ho salaamat aur aankhon se khuun bhi rag-e-jaan tak nikal aae kab niklegi divaanon ki baaraat gharon se sinon mein baghaavat ke nishaan tak nikal aae maqtal mein bahattar bhi nahin nikle hain ab ke dargaahon mein sab pir-o-javaan tak nikal aae ab to na karo raah-numaaon ki shikaayat akhbaaron mein ab un ke bayaan tak nikal aae ab kaun sar-e-daar nazar aaegaa 'faarigh' jab ahl-e-junun sud-o-ziyaan tak nikal aae"
Urdu

اظہار عقیدت میں کہاں تک نکل آئے ہم اہل یقیں وہم و گماں تک نکل آئے شاداب بہاروں کے تمنائی کہاں ہیں موسم کے قدم زخم خزاں تک نکل آئے یہ کیسا الم ہے کہ گریباں ہو سلامت اور آنکھوں سے خوں بھی رگ جاں تک نکل آئے کب نکلے گی دیوانوں کی بارات گھروں سے سینوں میں بغاوت کے نشاں تک نکل آئے مقتل میں بہتر بھی نہیں نکلے ہیں اب کے درگاہوں میں سب پیر و جواں تک نکل آئے اب تو نہ کرو راہ نماؤں کی شکایت اخباروں میں اب ان کے بیاں تک نکل آئے اب کون سر دار نظر آئے گا فارغؔ جب اہل جنوں سود و زیاں تک نکل آئے

Hindi

इज़हार-ए-अक़ीदत में कहाँ तक निकल आए हम अहल-ए-यकीं वहम-ओ-गुमाँ तक निकल आए शादाब बहारों के तमन्नाई कहाँ हैं मौसम के क़दम ज़ख़्म-ए-ख़िज़ाँ तक निकल आए ये कैसा अलम है कि गरेबाँ हो सलामत और आँखों से ख़ूँ भी रग-ए-जाँ तक निकल आए कब निकलेगी दीवानों की बारात घरों से सीनों में बग़ावत के निशाँ तक निकल आए मक़्तल में बहत्तर भी नहीं निकले हैं अब के दरगाहों में सब पीर-ओ-जवाँ तक निकल आए अब तो न करो राह-नुमाओं की शिकायत अख़बारों में अब उन के बयाँ तक निकल आए अब कौन सर-ए-दार नज़र आएगा 'फ़ारिग़' जब अहल-ए-जुनूँ सूद-ओ-ज़ियाँ तक निकल आए

iz.hār-e-aqīdat meñ kahāñ tak nikal aa.e
Farigh Bukhari
Farigh Bukhari
Farigh Bukhari
poet57 quotes

More by Farigh Bukhari

View all →
Quote
"dekhaa tujhe to aankhon ne aivaan sajaa liye jaise tamaam khoe hue khvaab paa liye jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang sab titliyon ne aur dhanak ne uDaa liye aisi ghuTi fazaaon mein kaise jiyeinge vo kuchh qaafile jo aae hain taaza havaa liye in sar-phiri havaaon se kuchh aashnaa to huun gahre samundaron mein na kashti ko Daaliye izhaar kijiye ki zaraa karb kam to ho ai dosto dukhon ko dilon mein na paaliye khud hi uThaaein apne junun ki jaraahatein ye rog dusron ke na khaate mein Daaliye pahle ye kohsaar to taskhir kijiye 'faarigh' abhi falak pe kamandein na Daaliye"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"parchhaaiyon ke ban mein kahin aa gayaa huun main daur-e-sitam kaa ek nayaa tajraba huun main chehron ki ek bhiiD sadaaon kaa ik julus teri gali mein aa ke tamaashaa banaa huun main ik 'umr se ye kis kaa mujhe intizaar hai jalti hui siyaah saDak par khaDaa huun main kitni kaDi masaafatein hain mere ham rikaab roz-e-azal se apne liye haadsa huun main vo subh meraa haath jhaTak kar chali gai raaton kaa zahr phaank ke pachhtaa rahaa huun main aabaadiyaan bhi mujh ko rifaaqat na de sakin tanhaai ki salib pe laTkaa rahaa huun main maqtal mein baT gayaa hai miraa reza reza jism bahte hue lahu ko nazar aa rahaa huun main 'faarigh' dukhe dilon ke na main kaam aa sakaa sharmindagi se ungliyaan chaTkhaa rahaa huun main"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"teri khaatir ye fusun ham ne jagaa rakkhaa hai varna aaraaish-e-afkaar mein kyaa rakkhaa hai hai tiraa aks hi aaina-e-dil ki zinat ek tasvir se album ko sajaa rakkhaa hai barg-e-sad-chaak kaa parda hai shagufta gul se qahqahon se kai zakhmon ko chhupaa rakkhaa hai ab na bhaTkeinge musaafir nai naslon ke kabhi ham ne raahon mein lahu apnaa jalaa rakkhaa hai ham se insaan ki khajaalat nahin dekhi jaati kam-savaadon kaa bharam ham ne ravaa rakkhaa hai kis qayaamat kaa hai didaar tiraa vaada-shikan dil-e-betaab ne ik hashr uThaa rakkhaa hai koi mushkil nahin pahchaan hamaari 'faarigh' apni khushbu kaa safar ham ne judaa rakkhaa hai"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"vo raushni hai kahaan jis ke baad saayaa nahin kisi ne aaj talak ye suraagh paayaa nahin kahaan se laaun vo dil jo tiraa buraa chaahe udu-e-jaan tiraa dukh bhi koi paraayaa nahin tiri sabaahat-e-sad-rang mein bikhar jaaun abhi vo lamha miri zindagi mein aayaa nahin tire vajud pe angDaai ban ke TuuTaa hai vo naghma jo kisi mutrib ne gungunaayaa nahin nai-naveli zaminon ki sondhi khushbu mein vo chaandni hai ki jis mein koi nahaayaa nahin ham ek fikr ke paikar hain ik khayaal ke phuul tiraa vajud nahin hai to meraa saayaa nahin vo baab jis mein tavaanaaiyon ki khushbu hai fasaana-saaz ne 'faarigh' kabhi sunaayaa nahin"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"hue hain sard dimaaghon ke dahke dahke alaav nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke diip jalaao kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liyaa hai tasavvuraat ke dhundle charaagho raah dikhaao kahaan hai gardish-e-dauraan kidhar hai sail-e-havaadis sukun-e-marg-e-musalsal mein Dubne lagi naav kabhi khizaan ke bagule kabhi bahaar ke jhule samajh sake na zamaane ke ye utaar chaDhaao ajiib saa hai kharaabaat ke faqihon kaa fatvaa bhaDakte shoalon se tapte dilon ki pyaas bujhaao hazaar gardanein kham hon buraa nahin pe sitam hai khayaal-o-fikr ki pasti nigaah-o-dil kaa jhukaao"
Farigh BukhariFarigh Bukhari

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri