SHAWORDS

jaane kyaa dekhaa thaa main ne khvaab mein — Bashar Nawaz

HomeBashar NawazGhazal
"jaane kyaa dekhaa thaa main ne khvaab mein phans gayaa phir jism ke girdaab mein teraa kyaa tu to baras ke khul gayaa meraa sab kuchh bah gayaa sailaab mein meri aankhon kaa bhi hissa hai bahut tere is chehre ki aab-o-taab mein tujh mein aur mujh mein taalluq hai vahi hai jo rishta saaz aur mizraab mein meraa vaada hai ki saari zindagi tujh se main miltaa rahungaa khvaab mein"
Urdu

جانے کیا دیکھا تھا میں نے خواب میں پھنس گیا پھر جسم کے گرداب میں تیرا کیا تو تو برس کے کھل گیا میرا سب کچھ بہہ گیا سیلاب میں میری آنکھوں کا بھی حصہ ہے بہت تیرے اس چہرے کی آب و تاب میں تجھ میں اور مجھ میں تعلق ہے وہی ہے جو رشتہ ساز اور مضراب میں میرا وعدہ ہے کہ ساری زندگی تجھ سے میں ملتا رہوں گا خواب میں

Hindi

जाने क्या देखा था मैं ने ख़्वाब में फँस गया फिर जिस्म के गिर्दाब में तेरा क्या तू तो बरस के खुल गया मेरा सब कुछ बह गया सैलाब में मेरी आँखों का भी हिस्सा है बहुत तेरे इस चेहरे की आब-ओ-ताब में तुझ में और मुझ में तअल्लुक़ है वही है जो रिश्ता साज़ और मिज़राब में मेरा वादा है कि सारी ज़िंदगी तुझ से मैं मिलता रहूँगा ख़्वाब में

jaane kyā dekhā thā maiñ ne ḳhvāb meñ
Bashar Nawaz
Bashar Nawaz
Bashar Nawaz
poet29 quotes

More by Bashar Nawaz

View all →
Quote
"bahut thaa khauf jis kaa phir vahi qissaa nikal aayaa mire dukh se kisi aavaaz kaa rishtaa nikal aayaa vo sar se paanv tak jaise sulagti shaam kaa manzar ye kis jaadu ki basti mein dil-e-tanhaa nikal aayaa jin aankhon ki udaasi mein bayaabaan saans lete hain unhin ki yaad mein naghmon kaa ye dariyaa nikal aayaa sulagte dil ke aangan mein hui khvaabon ki phir baarish kahin konpal mahak uTThi kahin pattaa nikal aayaa pighal uThtaa hai ik ik lafz jin honTon ki hiddat se main un ki aanch pi kar aur bhi sachchaa nikal aayaa gumaan thaa zindagi be-samt o be-manzil bayaabaan hai magar ik naam par phulon-bharaa rastaa nikal aayaa"
Bashar NawazBashar Nawaz
Quote
"chup-chaap sulagtaa hai diyaa tum bhi to dekho kis dard ko kahte hain vafaa tum bhi to dekho mahtaab-ba-kaf raat kase DhunD rahi hai kuchh duur chalo aao zaraa tum bhi to dekho kis tarah kinaaron ko hai siine se lagaae Thahre hue paani ki adaa tum bhi to dekho yaadon ke saman-zaar se aai hui khushbu daaman mein chhupaa laai hai kyaa tum bhi to dekho kuchh raat gae roz jo aati hai fazaa se har dil mein hai ik zakhm chhupaa tum bhi to dekho har hanste hue phuul se rishta hai khizaan kaa har dil mein hai ik zakhm chhupaa tum bhi to dekho kyuun aane lagin saans mein gahraaiyaan socho kyuun TuuT chale band-e-qabaa tum bhi to dekho"
Bashar NawazBashar Nawaz
Quote
"roz kahaan se koi nayaa-pan apne aap mein laaeinge tum bhi tang aa jaaoge ik din ham bhi uktaa jaaeinge chaDhtaa dariyaa ek na ik din khud hi kinaare kaaTegaa apne hanste chehre kitne tufaanon ko chhupaaeinge aag pe chalte chalte ab to ye ehsaas bhi kho baiThe kyaa hogaa zakhmon kaa mudaavaa daaman kaise bachaaeinge vo bhi koi ham hi saa maasum gunaahon kaa putlaa thaa naahaq us se laD baiThe the ab mil jaae manaaeinge is jaanib ham us jaanib tum biich mein haail ek alaav kab tak ham tum apne apne khvaabon ko jhulsaaeinge sarmaa ki rut kaaT ke aane vaale parindo ye to kaho duur des ko jaane vaale kab tak lauT ke aaeinge tez havaaein aaankhon mein to ret dukhon ki bhar hi gaiin jalte lamhe rafta rafta dil ko bhi jhulsaaeinge mahfil mahfil apnaa taalluq aaj hai ik mauzu-e-sukhan kal tak tark-e-taalluq ke bhi afsaane ban jaaeinge"
Bashar NawazBashar Nawaz
Quote
"ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein jis husn se hai chaand ravaan nil-gagan mein ai kaash kabhi qaid bhi hotaa mire fan mein vo naghma-e-dil-kash ki hai aavaara pavan mein uTh kar tiri mahfil se ajab haal huaa hai dil apnaa bahaltaa hai na basti mein na ban mein ik husn-e-mujassam kaa vo pairaahan-e-rangin Dhal jaae dhanak jaise kisi chandr-kiran mein ai nikhat-e-aavaara zaraa tu hi bataa de hai taazgi phulon mein ki us shokh ke tan mein dekhaa thaa kahaan us ko hamein yaad nahin hai tasvir si phirti hai magar ab bhi nayan mein is daur mein aasaan to na thi aisi ghazal bhi kuchh fan abhi zinda hai magar mulk-e-dakan mein"
Bashar NawazBashar Nawaz

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar