"dard-e-dil ne nai kasak paai aap ki yaad jab kabhi aai kaun jaane jo dil pe guzri hai kis ne naapi hai gham ki gahraai ab junun kaa khudaa hi haafiz hai vahshat-e-dil ne li hai angDaai aashiyaane ki khair ho yaa-rab phir ghaTaaon mein barq lahraai ashk phir aaj ho gae arzaan chhaT gayaa daaman-e-shakebaai karte rahte hain jo ghalat tanqid vo samajhte hain us ko daanaai 'raahi' paa kar suraagh manzil kaa azm mein aa gai tavaanaai"
jab apni aankhon se ashkon kaa qaafila niklaa — Kazim Raza Rahi
"jab apni aankhon se ashkon kaa qaafila niklaa kinaare TuuTe to dariyaa kaa hausla niklaa vo meri bazm mein aae raqib ke hamraah chalo ki milne kaa koi to silsila niklaa milein na aaj bhi bachchon ko roTiyaan shaayad vo ghar se subh yahi sochtaa huaa niklaa vo ik varaq ki miraa naam jis pe likkhaa thaa tiri kitaab mein vo kyon miTaa miTaa niklaa main apne chehre pe khushiyaan sajaa to laayaa magar har ek shakhs mire gham se aashnaa niklaa main apnaa haal sunaane lagaa jise 'raahi' to us kaa dard mire dard se sivaa niklaa"
جب اپنی آنکھوں سے اشکوں کا قافلہ نکلا کنارے ٹوٹے تو دریا کا حوصلہ نکلا وہ میری بزم میں آئے رقیب کے ہم راہ چلو کہ ملنے کا کوئی تو سلسلہ نکلا ملیں نہ آج بھی بچوں کو روٹیاں شاید وہ گھر سے صبح یہی سوچتا ہوا نکلا وہ اک ورق کہ مرا نام جس پہ لکھا تھا تری کتاب میں وہ کیوں مٹا مٹا نکلا میں اپنے چہرے پہ خوشیاں سجا تو لایا مگر ہر ایک شخص مرے غم سے آشنا نکلا میں اپنا حال سنانے لگا جسے راہیؔ تو اس کا درد مرے درد سے سوا نکلا
जब अपनी आँखों से अश्कों का क़ाफ़िला निकला किनारे टूटे तो दरिया का हौसला निकला वो मेरी बज़्म में आए रक़ीब के हमराह चलो कि मिलने का कोई तो सिलसिला निकला मिलें न आज भी बच्चों को रोटियाँ शायद वो घर से सुब्ह यही सोचता हुआ निकला वो इक वरक़ कि मिरा नाम जिस पे लिक्खा था तिरी किताब में वो क्यों मिटा मिटा निकला मैं अपने चेहरे पे ख़ुशियाँ सजा तो लाया मगर हर एक शख़्स मिरे ग़म से आश्ना निकला मैं अपना हाल सुनाने लगा जिसे 'राही' तो उस का दर्द मिरे दर्द से सिवा निकला

More by Kazim Raza Rahi
View all →"meraa ho kar bhi mujh se barham hai dil kaa aalam ajiib aalam hai aap ne zulm ataa kiye mujh ko aap kaa ye karam bhi kyaa kam hai dil pe jis din se saaya-e-gham hai dhaDkanon ki sadaa bhi maddham hai jin mein aansu kabhi na aae the aaj vo aankh bhi to pur-nam hai har taraf hai ghamon kaa sannaaTaa har taraf zindagi kaa maatam hai zindagi ki masarratein qurbaan kitnaa pur-lutf dard-e-paiham hai teraa 'raahi' hai muntazir aa jaa kis qadar khush-gavaar mausam hai"
"zehn-o-dil ko judaa judaa rakhnaa mujh se itnaa to silsila rakhnaa qurbaton ki agar ho khvaahish phir tum ko laazim hai faasla rakhnaa gar ye chaaho bharam rahe qaaem apne paivand ko chhupaa rakhnaa laakh gham kaa dhuaan rahe dil mein apnaa chehra khilaa khilaa rakhnaa toD Daale hain jis ne sab rishte ab taalluq bhi us se kyaa rakhnaa sab khushi doston mein mat baanTo dushmanon ke liye bachaa rakhnaa ik na ik din vo aaegaa 'raahi' apnaa darvaaza tum khulaa rakhnaa"
"nafrat qubul jo mile thoDaa saa pyaar bhi pahlu mein gul ke shaakh pe hote hain khaar bhi sab par huaa ayaan miraa haal-e-shikast-e-dil jab tak the ashk aankhon mein the raazdaar bhi aa jaa ki hai fasurda har ik gul tire baghair hai kis qadar udaas ye fasl-e-bahaar bhi ummid khatm taar-e-nafas TuTne lagaa kab saath chhoD de ye tiraa intizaar bhi vahshat ne noch Daalaa mire jism kaa libaas baaqi rahe kahaan vo garebaan ke taar bhi hoti nahin qubul miri koi bhi duaa shaayad ki hai khafaa miraa parvardigaar bhi 'raahi' milegi manzil-e-maqsud kyaa khabar hai qaafile ki raah mein gard-o-ghubaar bhi"
"tum mire saamne aao to koi baat bane zakhm is dil pe lagaao to koi baat bane aag ghar ki to zamaane mein bujhaate hain sabhi aatish-e-dil jo bujhaao to koi baat bane raah-e-hasti mein kaDi dhuup hai mere sar par tum ghaTaa ban ke jo chhaao to koi baat bane chaDhte suraj ko to har shakhs hi kartaa hai salaam girte logon ko uThaao to koi baat bane har musaafir ko jahaan phal bhi mile saaya bhi peD kuchh aise lagaao to koi baat bane ghar ke aangan ki to divaar giraa di 'raahi' dil kaa minaar giraao to koi baat bane"
"kisi ke gham ko gale se lagaae baiThe hain ham apne saare ghamon ko bhulaae baiThe hain sukun-e-dil ke liye aaj tere divaane tire khayaal ki duniyaa sajaae baiThe hain syaah raat hai vo aaein to ujaalaa rahe isi ummid pe shamein jalaae baiThe hain kahaan se laaein vo tinke chunein to kis ke liye jo khud hi apnaa nasheman jalaae baiThe hain ab un ki samt bhi ho jaae kaash nazar-e-karam jo log der se mahfil mein aae baiThe hain karein to kis pe karein eatibaar ai 'raahi' har ek dost ko ham aazmaae baiThe hain"
More on Khushi
View all →"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"kabhi hasin koi haadisa huaa hi nahin tamaam umr kaTi vo miraa huaa hi nahin sukun kyaa hai khushi kyaa hai chain kyaa shai hai main kyaa bataaun mujhe tajraba huaa hi nahin jise yaqin thaa vo aasmaan ko chhu aayaa jise ghurur thaa vo to baDaa huaa hi nahin na jaane kaun si us mein kami rahi hogi koi bhi shakhs kabhi devtaa huaa hi nahin kahaa thaa main ne ki ik roz aap badleinge ye aur baat ki meraa kahaa huaa hi nahin"
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"