"ik baar mohabbat mein ye dil jo TuuT gayaa so TuuT gayaa maalaa mein piroyaa sau moti jo chhuT gayaa so chhuT gayaa dil aisaa naazuk shisha hai ye phir se na joDaa jaataa hai ik baar kisi ke haathon se jo TuuT gayaa so TuuT gayaa ulfat kaa muqaddar bhi zaalim bas bulbule jaisaa hotaa hai ye bulbula ban kar paani par jo phuuT gayaa so phuuT gayaa ik baar hi joDaa jaataa hai ik dil se rishta ik dil kaa vo khvaab na phir se aataa hai jo TuuT gayaa so TuuT gayaa be-maani shikaayat aur shikve haathon kaa malnaa be-maani ik baar vafaa ki raahon mein jo luuT gayaa so luuT gayaa"
jab dil TuuTaa divaane kaa — Devdas Bismil
"jab dil TuuTaa divaane kaa aaghaaz huaa afsaane kaa tab aur shama ki lau bhaDki jab jism jalaa parvaane kaa jab apnaa hi apnaa hi apnaa na rahaa tab shikva kyaa begaane kaa jab apne haathon zahr piyaa kyaa jurm hai tab paimaane kaa jab har darvaaza band huaa bas vaa hai dar maikhaane kaa ab dard ke maare kaise jiein aur rasta nahin mar jaane kaa jab dil ki jalan bardaasht na ho kyaa saamaan dil bahlaane kaa ummidein 'bismil' TuuT gaiin kyaa samjhaanaa divaane kaa"
جب دل ٹوٹا دیوانے کا آغاز ہوا افسانے کا تب اور شمع کی لو بھڑکی جب جسم جلا پروانے کا جب اپنا ہی اپنا ہی اپنا نہ رہا تب شکوہ کیا بیگانے کا جب اپنے ہاتھوں زہر پیا کیا جرم ہے تب پیمانے کا جب ہر دروازہ بند ہوا بس وا ہے در میخانے کا اب درد کے مارے کیسے جئیں اور رستہ نہیں مر جانے کا جب دل کی جلن برداشت نہ ہو کیا ساماں دل بہلانے کا امیدیں بسملؔ ٹوٹ گئیں کیا سمجھانا دیوانے کا
जब दिल टूटा दीवाने का आग़ाज़ हुआ अफ़्साने का तब और शम्अ की लौ भड़की जब जिस्म जला परवाने का जब अपना ही अपना ही अपना न रहा तब शिकवा क्या बेगाने का जब अपने हाथों ज़हर पिया क्या जुर्म है तब पैमाने का जब हर दरवाज़ा बंद हुआ बस वा है दर मयख़ाने का अब दर्द के मारे कैसे जिएँ और रस्ता नहीं मर जाने का जब दिल की जलन बर्दाश्त न हो क्या सामाँ दिल बहलाने का उम्मीदें 'बिस्मिल' टूट गईं क्या समझाना दीवाने का

More by Devdas Bismil
View all →"hadd-e-nazar tak viraane hain aabaadi kaa naam nahin kis raste pe qadam baDhaaun koi rasta aam nahin jaltaa registaan hai har-su tund havaaein chalti hain dhu dhu karti hai do-pahri subh nahin hai shaam nahin saari umr guzaari main ne khuun ke aansu pi pi kar khushiyon ke do ghunT pilaa de aisaa koi jaam nahin tanhaa huun main is duniyaa mein koi nahin hai mere saath kis ko ab aavaaz lagaaun kuchh bhi to anjaam nahin dar dar jaa kar dastak di hai par ik dar bhi vaa na huaa har-su khaamoshi hai 'bismil' kahin se kuchh paighaam nahin"
"zindagi ham pe mehrbaan na hui phir bhi ummid bad-gumaan na hui pankh TuuTe hain go uDaanon mein chashm mahrum-e-aasmaan na hui dil pe garche sukut chhaayaa thaa aatmaa apni be zabaan na hui jaari thaa yuun safar havaadis mein sust raftaar-e-kaarvaan na hui paanv chhalni hue magar 'bismil' daulat-e-azm naa-tavaan na hui"
"jab jab teri aankh se Tapkaa aansu shabnam roi hai jaise shama jali hai shab bhar thak ke subh ko soi hai jo booge vo kaaToge qudrat kaa qaanun hai ye ham to kikar kaaT rahe hain kaisi fasl ye boi hai khuun ke dariyaa tair ke ham ne aazaadi haasil ki thi par saahil pe pahunch ke ham ne khud hi naav Duboi hai mazlumon ne paamaalon ne zulm sahe hain sadiyon se har ik daur mein un logon ne bas suuli hi Dhoi hai raste raste khaar bichhe hain manzil manzil shoale hain dil ki raah pe chal kar ham ne apni hasti khoi hai 'bismil' umr ganvaai sach par imaan par qurbaan hue jab insaaf ki aas lagaai tab tab aankh bhigoi hai"
"Dartaa huun kahin ai dost mire ye pyaar miraa badnaam na ho jis tarah se TuuTe laakhon dil apnaa bhi vahi anjaam na ho ye zaalim duniyaa hai saathi kab do dil milne deti hai aisi hi talkh judaai ki ab apni koi shaam na ho hain biich mein kitni divaarein mazhab ki samaajon rasmon ki is qaid mein ham bhi dam toDein qismat mein yahi inaam na ho ulfat ke haath thamaayaa hai duniyaa ne zahr kaa paimaana kitnon ne piyaa ye jaam-e-sam apne bhi liye ye jaam na ho badnaam hai har pahchaan yahaan hai jurm yahaan har ik rishta ik roz hamaare sar 'bismil' aisaa hi koi ilzaam na ho"
More on Dil
View all →"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"