SHAWORDS

zindagi ham pe mehrbaan na hui — Devdas Bismil

HomeDevdas BismilGhazal
"zindagi ham pe mehrbaan na hui phir bhi ummid bad-gumaan na hui pankh TuuTe hain go uDaanon mein chashm mahrum-e-aasmaan na hui dil pe garche sukut chhaayaa thaa aatmaa apni be zabaan na hui jaari thaa yuun safar havaadis mein sust raftaar-e-kaarvaan na hui paanv chhalni hue magar 'bismil' daulat-e-azm naa-tavaan na hui"
Urdu

زندگی ہم پہ مہرباں نہ ہوئی پھر بھی امید بد گماں نہ ہوئی پنکھ ٹوٹے ہیں گو اڑانوں میں چشم محروم آسماں نہ ہوئی دل پہ گرچہ سکوت چھایا تھا آتما اپنی بے زباں نہ ہوئی جاری تھا یوں سفر حوادث میں سست رفتار کارواں نہ ہوئی پاؤں چھلنی ہوئے مگر بسملؔ دولت عزم ناتواں نہ ہوئی

Hindi

ज़िंदगी हम पे मेहरबाँ न हुई फिर भी उम्मीद बद-गुमाँ न हुई पंख टूटे हैं गो उड़ानों में चश्म महरूम-ए-आसमाँ न हुई दिल पे गरचे सुकूत छाया था आत्मा अपनी बे ज़बाँ न हुई जारी था यूँ सफ़र हवादिस में सुस्त रफ़्तार-ए-कारवाँ न हुई पाँव छलनी हुए मगर 'बिस्मिल' दौलत-ए-अज़्म ना-तवाँ न हुई

zindagī ham pe mehrbāñ na huī
Devdas Bismil
Devdas Bismil
Devdas Bismil
poet6 quotes

More by Devdas Bismil

View all →
Quote
"ik baar mohabbat mein ye dil jo TuuT gayaa so TuuT gayaa maalaa mein piroyaa sau moti jo chhuT gayaa so chhuT gayaa dil aisaa naazuk shisha hai ye phir se na joDaa jaataa hai ik baar kisi ke haathon se jo TuuT gayaa so TuuT gayaa ulfat kaa muqaddar bhi zaalim bas bulbule jaisaa hotaa hai ye bulbula ban kar paani par jo phuuT gayaa so phuuT gayaa ik baar hi joDaa jaataa hai ik dil se rishta ik dil kaa vo khvaab na phir se aataa hai jo TuuT gayaa so TuuT gayaa be-maani shikaayat aur shikve haathon kaa malnaa be-maani ik baar vafaa ki raahon mein jo luuT gayaa so luuT gayaa"
Devdas BismilDevdas Bismil
Quote
"hadd-e-nazar tak viraane hain aabaadi kaa naam nahin kis raste pe qadam baDhaaun koi rasta aam nahin jaltaa registaan hai har-su tund havaaein chalti hain dhu dhu karti hai do-pahri subh nahin hai shaam nahin saari umr guzaari main ne khuun ke aansu pi pi kar khushiyon ke do ghunT pilaa de aisaa koi jaam nahin tanhaa huun main is duniyaa mein koi nahin hai mere saath kis ko ab aavaaz lagaaun kuchh bhi to anjaam nahin dar dar jaa kar dastak di hai par ik dar bhi vaa na huaa har-su khaamoshi hai 'bismil' kahin se kuchh paighaam nahin"
Devdas BismilDevdas Bismil
Quote
"jab jab teri aankh se Tapkaa aansu shabnam roi hai jaise shama jali hai shab bhar thak ke subh ko soi hai jo booge vo kaaToge qudrat kaa qaanun hai ye ham to kikar kaaT rahe hain kaisi fasl ye boi hai khuun ke dariyaa tair ke ham ne aazaadi haasil ki thi par saahil pe pahunch ke ham ne khud hi naav Duboi hai mazlumon ne paamaalon ne zulm sahe hain sadiyon se har ik daur mein un logon ne bas suuli hi Dhoi hai raste raste khaar bichhe hain manzil manzil shoale hain dil ki raah pe chal kar ham ne apni hasti khoi hai 'bismil' umr ganvaai sach par imaan par qurbaan hue jab insaaf ki aas lagaai tab tab aankh bhigoi hai"
Devdas BismilDevdas Bismil
Quote
"Dartaa huun kahin ai dost mire ye pyaar miraa badnaam na ho jis tarah se TuuTe laakhon dil apnaa bhi vahi anjaam na ho ye zaalim duniyaa hai saathi kab do dil milne deti hai aisi hi talkh judaai ki ab apni koi shaam na ho hain biich mein kitni divaarein mazhab ki samaajon rasmon ki is qaid mein ham bhi dam toDein qismat mein yahi inaam na ho ulfat ke haath thamaayaa hai duniyaa ne zahr kaa paimaana kitnon ne piyaa ye jaam-e-sam apne bhi liye ye jaam na ho badnaam hai har pahchaan yahaan hai jurm yahaan har ik rishta ik roz hamaare sar 'bismil' aisaa hi koi ilzaam na ho"
Devdas BismilDevdas Bismil

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar