SHAWORDS

jab khushi bhi khushi nahin hoti — Inam Thanvi

HomeInam ThanviGhazal
"jab khushi bhi khushi nahin hoti zindagi zindagi nahin hoti tere jalve agar na shaamil hon chaandni chaandni nahin hoti kabhi hotaa bhi hai nazar kaa fareb aagahi aagahi nahin hoti jo na paidaa ho shaan-e-'abdiyyat bandagi bandagi nahin hoti sab karishme hain 'ishq ke varna dilbari dilbari nahin hoti jo na paakiza ho mazaaq-e-hayaat 'aashiqi 'aashiqi nahin hoti kabhi hoti hai parda-daari-e-hosh be-khudi be-khudi nahin hoti ai khushaa tarz-e-iltifaat ki jab barhami barhami nahin hoti ho na 'irfaan-e-nafs agar 'in'aam' shaa'iri shaa'iri nahin hoti"
Urdu

جب خوشی بھی خوشی نہیں ہوتی زندگی زندگی نہیں ہوتی تیرے جلوے اگر نہ شامل ہوں چاندنی چاندنی نہیں ہوتی کبھی ہوتا بھی ہے نظر کا فریب آگہی آگہی نہیں ہوتی جو نہ پیدا ہو شان عبدیت بندگی بندگی نہیں ہوتی سب کرشمے ہیں عشق کے ورنہ دلبری دلبری نہیں ہوتی جو نہ پاکیزہ ہو مذاق حیات عاشقی عاشقی نہیں ہوتی کبھی ہوتی ہے پردہ داریٔ ہوش بے خودی بے خودی نہیں ہوتی اے خوشا طرز التفات کہ جب برہمی برہمی نہیں ہوتی ہو نہ عرفان نفس اگر انعامؔ شاعری شاعری نہیں ہوتی

Hindi

जब ख़ुशी भी ख़ुशी नहीं होती ज़िंदगी ज़िंदगी नहीं होती तेरे जल्वे अगर न शामिल हों चाँदनी चाँदनी नहीं होती कभी होता भी है नज़र का फ़रेब आगही आगही नहीं होती जो न पैदा हो शान-ए-'अबदिय्यत बंदगी बंदगी नहीं होती सब करिश्मे हैं 'इश्क़ के वर्ना दिलबरी दिलबरी नहीं होती जो न पाकीज़ा हो मज़ाक़-ए-हयात 'आशिक़ी 'आशिक़ी नहीं होती कभी होती है पर्दा-दारी-ए-होश बे-ख़ुदी बे-ख़ुदी नहीं होती ऐ ख़ुशा तर्ज़-ए-इल्तिफ़ात कि जब बरहमी बरहमी नहीं होती हो न 'इरफ़ान-ए-नफ़्स अगर 'इन'आम' शा'इरी शा'इरी नहीं होती

jab ḳhushī bhī ḳhushī nahīñ hotī
Inam Thanvi
Inam Thanvi
Inam Thanvi
poet15 quotes

More by Inam Thanvi

View all →
Quote
"kyon mizaaj-e-zindagi maghmum saa hone lagaa zauq-e-lutf-o-sarkhushi maa'dum saa hone lagaa ab jo vo rahne lagaa hai vaqf-e-sad-vaaraftagi saaniha koi nayaa maa'lum saa hone lagaa zindagi be-jaan si jab se nazar aane lagi apnaa 'aalam nuqta-e-mauhum saa hone lagaa jo ba-faiz-e-aagahi ubhraa hai dil ke saaz par vo takhayyul khud-bakhud manzum saa hone lagaa kal thi 'aalam ki fazaa 'umda latif-o-khush-gavaar aaj maahaul-e-jahaan masmum saa hone lagaa ham-nashin un ke tasavvur ki fusun-kaari na puchh dil par ik shauq-e-hasin marqum saa hone lagaa zindagi mein do dilon kaa rabt-e-baaham kyaa huaa tazkira kuchh laazim-o-malzum saa hone lagaa zindagi 'in'aam' dil ki thi ba-faiz-e-imbisaat gham se ab vo murda-o-marhum saa hone lagaa"
Inam ThanviInam Thanvi
Quote
"laa'lin labon se ab vo gul-afshaan hue to hain firdaus-e-gosh-o-lutf-e-dil-o-jaan hue to hain haalaat kuchh nae se numaayaan hue to hain phir inqalaab-e-zist ke saamaan hue to hain sahn-e-chaman mein laala-o-gul sarv-o-yaasman jalva-taraaz-e-fasl-e-bahaaraan hue to hain vaaqif na the jo gardish-e-dauraan hai chiiz kyaa ab aashnaa vo kaif-badaamaan hue to hain kal tak jo ahl-e-'ishq vafaa par the khanda-zan vo khud bhi aaj chaak-garebaan hue to hain un ko hai barhami mire ehsaas-e-‘ishq par lekin vo munfa'il kisi 'unvaan hue to hain 'in'aam' zindagi ki kashaakash ke baavajud is sakht daur mein bhi ghazal-khvaan hue to hain"
Inam ThanviInam Thanvi
Quote
"un ke husn-o-shabaab kaa 'aalam laala maah-o-gulaab kaa 'aalam hai baDe intikhaab kaa 'aalam khub-tar aan-janaab kaa 'aalam turfa 'aalam vo mushaf-e-rukh kaa jaise haq ki kitaab kaa 'aalam jalva-e-bazm-e-'aalam-e-imkaan dar-haqiqat ye khvaab kaa 'aalam nigah-e-mast-e-yaar kyaa kahiye jaise jaam-e-sharaab kaa 'aalam tum ko paani jo aa rahaa hai nazar asl mein ik saraab kaa 'aalam un kaa 'aalam hai yuun pae-'aashiq jaise 'izzat-maaab kaa 'aalam kis qadar hai dil-o-nazar afroz aap ke intisaab kaa 'aalam un kaa ru-e-hasin ai 'in'aam' jalva-e-maahtaab kaa 'aalam"
Inam ThanviInam Thanvi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi