SHAWORDS

jab se tum ho gae judaa ham se — Arshi Bastavi

HomeArshi BastaviGhazal
"jab se tum ho gae judaa ham se zindagi hai khafaa khafaa ham se chaahtaa kyaa hai bevafaa ham se jab ta'alluq nahin rahaa ham se ek saaya tumhaari qurb kaa thaa chhin gayaa vo bhi aasraa ham se vo balaa-nosh hain zamaane mein khauf khaati hai har balaa ham se jis ne dil ko jalaayaa thaa 'arshi' hai vahi taalib-e-du’aa ham se"
Urdu

جب سے تم ہو گئے جدا ہم سے زندگی ہے خفا خفا ہم سے چاہتا کیا ہے بے وفا ہم سے جب تعلق نہیں رہا ہم سے ایک سایہ تمہاری قرب کا تھا چھن گیا وہ بھی آسرا ہم سے وہ بلانوش ہیں زمانے میں خوف کھاتی ہے ہر بلا ہم سے جس نے دل کو جلایا تھا عرشیؔ ہے وہی طالب دعا ہم سے

Hindi

जब से तुम हो गए जुदा हम से ज़िंदगी है ख़फ़ा ख़फ़ा हम से चाहता क्या है बेवफ़ा हम से जब त'अल्लुक़ नहीं रहा हम से एक साया तुम्हारी क़ुर्ब का था छिन गया वो भी आसरा हम से वो बला-नोश हैं ज़माने में ख़ौफ़ खाती है हर बला हम से जिस ने दिल को जलाया था 'अर्शी' है वही तालिब-ए-दु’आ हम से

jab se tum ho ga.e judā ham se
Arshi Bastavi
Arshi Bastavi
Arshi Bastavi
poet12 quotes

More by Arshi Bastavi

View all →
Quote
"adhuraa 'ilm rakh kar khud ko jo kaamil samajhte hain safar mein miil ke patthar ko vo manzil samajhte hain jo khud ko ahmaqon ki bazm mein 'aaqil samajhte hain ham aise be-shu’uron ko faqat jaahil samajhte hain mohabbat se kare jo baat main ho jaataa huun us kaa bahut aasaan huun jaane aap kyon mushkil samajhte hain adab khud apni aankhon kaa kiyaa hai is liye ham ne hasin chehra tumhaaraa diid ke qaabil samajhte hain kisi bhi pal hamein ye chain se jiine nahin detaa tire gaalon ke til ko apnaa ham qaatil samajhte hain kisi ki khush-mizaaji us kaa gham zaahir nahin karti samundar kitnaa pyaasaa hai faqat saahil samajhte hain sazaa mazlum ko dete hain zaalim chhuT jaataa hai ham aise munsifon ko 'adl kaa qaatil samajhte hain shujaa'at kaa hamaari silsila to karbalaa tak hai ki ham mushkil-kushaa vaale kahaan mushkil samajhte hain taqaabul mat karo 'arshi' hamaaraa aise logon se jo buzdil hain hamein apni tarah buzdil samajhte hain"
Arshi BastaviArshi Bastavi
Quote
"bazm-e-'aalam ke raaz-daan hain ham yaa'ni aaina-e-jahaan hain ham baagh-e-urdu ke baaghbaan hain ham lafz-o-maa'ni ke tarjumaan hain ham ham se qaaem hain husn ki qadrein 'ishq ki gard-e-kaarvaan hain ham jis se vaaqif na ho saki duniyaa us mohabbat ki daastaan hain ham ham zamin-bos tum falak-andaaz tum kahaan par ho aur kahaan hain ham jo bhi kahnaa hai aaj kah lo tum kyunki is vaqt be-zabaan hain ham pur-fitan daur mein bhi ai 'arshi' raah-e-haq par ravaan-davaan hain ham"
Arshi BastaviArshi Bastavi
Quote
"maayus na ho ai dil-e-naakaam kisi din mil jaaegaa neki kaa tire daam kisi din ummid ye vaabasta hai farmaan-e-khudaa se milnaa hai hamein sabr kaa in'aam kisi din is shahr-e-sitam-gar mein ye e'laan karaa do aa'maal kaa sab paaeinge anjaam kisi din ham sabr-o-tahammul ke hi saae mein pale hain thak jaaegi tu gardish-e-ayyaam kisi din ai barq tiri zad pe ho taa'mir nasheman kar jaaeinge ham bhi ye baDaa kaam kisi din manzil bhi tire qadmon ko chumegi yaqinan tu baandh le gar 'azm kaa ehraam kisi din muddat se tiri surat-e-zebaa nahin dekhi qismat se jo aa jaate lab-e-baam kisi din raahon mein phiraa karte hain ulfat ke luTere luT jaao kahin tum na sar-e-'aam kisi din ai ziist tire tohfa-e-aalaam-o-mehan se mil jaaegaa 'arshi' ko bhi aaraam kisi din"
Arshi BastaviArshi Bastavi
Quote
"jis ko samjhe the masihaa vo sitamgar niklaa tiir joDe hue taane hue khanjar niklaa baal bikhre hue nam aankh labon par aahein mere nazdik se vo yuun sar-e-mahshar niklaa shaam-e-furqat jo tiri yaad mein Tapkaa thaa kabhi qatra-qatra mire us ashk kaa gauhar niklaa aap ne ru-e-munavvar se jo sarkaayaa naqaab goyaa zulmat mein koi nuur kaa paikar niklaa vo gadaa ho yaa tavangar yahi dekhaa ham ne jo bhi niklaa tire darbaar se ban kar niklaa ghumtaa phirtaa thaa jo haathon mein kashkol liye aaj vo 'arshi' muqaddar kaa sikandar niklaa"
Arshi BastaviArshi Bastavi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi