Quote
"tamaam nuskhe badal chukaa jab tab apni fitrat badal rahaa huun miri tabi'at ke hain mukhaalif main aise saanchon mein Dhal rahaa huun 'amal register ke likhne vaale ye do farishte mujhe bataaein ye kaun sab kuchh chalaa rahaa hai main kis ki marzi se chal rahaa huun kabhi to ban kar ke abr-e-baaraan main pyaase logon mein jaa barastaa magar main apni anaa kaa khaadim kuein ke jaisaa aTal rahaa huun vo ik nazariye se dekhtaa thaa so ab nazariya badal gayaa hai to us ko lagne lagaa hai jaise main rafta-rafta badal rahaa huun mukhaalifat ki khalish ne meri hayaat jab laa-‘ilaaj kar di jidhar ko duniyaa ki Dhaal thi ab usi taraf main phisal rahaa huun miri haqiqat pe thiin musallat vo saari partein udhaD rahi hain mujhe khabar bhi nahin thi yaaro main khud mein jaisaa nikal rahaa huun nayaa chalan hai ki hukmaraanon ko bad-gumaani ye ho gai hai ki ek adnaa ghulaam huun main aur un ke TukDon pe pal rahaa huun"
