SHAWORDS

jab tak itne qurb se dekhaa na thaa — Ehsan Ali Khan

HomeEhsan Ali KhanGhazal
"jab tak itne qurb se dekhaa na thaa faaslon ke husn ko samjhaa na thaa ziist to kyaa maut kaa yaaraa na thaa qabr mahngi thi kafan sastaa na thaa tujh se kyaa shikva ki aisi thi fazaa tu hi kyaa har aashnaa begaana thaa saikDon gham-haa-e-duniyaa kis liye kyaa tiraa gham haasil-e-duniyaa na thaa bik gae baazaar mein jism-o-dimaagh dil vo baaghi thaa ki bik saktaa na thaa kis ne kheme ki tanaabein kaaT diin dasht mein to koi ham-saaya na thaa"
Urdu

جب تک اتنے قرب سے دیکھا نہ تھا فاصلوں کے حسن کو سمجھا نہ تھا زیست تو کیا موت کا یارا نہ تھا قبر مہنگی تھی کفن سستا نہ تھا تجھ سے کیا شکوہ کہ ایسی تھی فضا تو ہی کیا ہر آشنا بیگانہ تھا سیکڑوں غم ہائے دنیا کس لیے کیا ترا غم حاصل دنیا نہ تھا بک گئے بازار میں جسم و دماغ دل وہ باغی تھا کہ بک سکتا نہ تھا کس نے خیمے کی طنابیں کاٹ دیں دشت میں تو کوئی ہمسایہ نہ تھا

Hindi

जब तक इतने क़ुर्ब से देखा न था फ़ासलों के हुस्न को समझा न था ज़ीस्त तो क्या मौत का यारा न था क़ब्र महँगी थी कफ़न सस्ता न था तुझ से क्या शिकवा कि ऐसी थी फ़ज़ा तू ही क्या हर आश्ना बेगाना था सैकड़ों ग़म-हा-ए-दुनिया किस लिए क्या तिरा ग़म हासिल-ए-दुनिया न था बिक गए बाज़ार में जिस्म-ओ-दिमाग़ दिल वो बाग़ी था कि बिक सकता न था किस ने खे़मे की तनाबें काट दीं दश्त में तो कोई हम-साया न था

jab tak itne qurb se dekhā na thā
E
Ehsan Ali Khan
Ehsan Ali Khan
poet7 quotes

More by Ehsan Ali Khan

View all →
Quote
"hamaari samt hain saare Dhalaav paDaa har sail kaa ham par dabaav mile hain saada-lauhi ki sazaa mein luTere naakhudaa kaaghaz ki naav vahaan bhi vahshatein tanhaaiyaan hain zaraa sahraa se vaapas ghar to jaao na jaane kab ye aag aa jaae baahar ki sinon mein dahakte hain alaav havaa kaa jis taraf rukh ho gayaa hai usi jaanib hai shaakhon kaa jhukaao zamin kyaa aasmaan bhi muntazir hai hisaar-e-zaat se baahar to aao kaheinge log 'ahsan' tum ko paagal mohabbat hai to ye tohmat uThaao"
E
Ehsan Ali Khan
Quote
"hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahbaan kuchh aur ho gayaa phulon se mahrum gulistaan kuchh aur luT ke sahme hue paudon ne ye sargoshi ki ab nigahbaanon pe rakkheinge nigahbaan kuchh aur shahr-e-dil kuchh to sajaa lein ki bharam rah jaae husn-e-faateh ko hain taaraaj ke armaan kuchh aur vaqt har saans ke badle mein pasina maange dil ye chaahe ki ho aasaan bhi aasaan kuchh aur shahr se phir koi vahshi idhar aayaa shaayad aaj sahraa mein hain andaaz-e-ghazaalaan kuchh aur jin ko mashshaatgi-e-zulf kaa daavaa thaa bahut kar gae gesu-e-geti vo pareshaan kuchh aur phir kabhi ho ki na ho milne ki surat paidaa chand saaat hi chale mahfil-e-yaaraan kuchh aur kuchh na hone pe bahut kuchh hai mayassar 'ahsan' kaash hote tire maamure mein insaan kuchh aur"
E
Ehsan Ali Khan

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer