SHAWORDS

jab tiri zaat ko phailaa huaa dariyaa samjhun — Farhat Abbas

HomeFarhat AbbasGhazal
"jab tiri zaat ko phailaa huaa dariyaa samjhun khud ko bhigi hui raaton mein akelaa samjhun naam likkhun main tiraa duur khalaaon mein kahin aur har lafz ko phir chaand se pyaaraa samjhun yaad ki jhiil mein jab aks nazar aae tiraa aankh se ashk bhi Tapke to sitaaraa samjhun dastakein detaa rahaa raat jo galiyon mein use zehn aavaara kahun niind kaa maaraa samjhun vo jo aa jaaein mire paas to un ko 'farhat' dukh ki baDhti hui baaraat kaa dulhaa samjhun"
Urdu

جب تری ذات کو پھیلا ہوا دریا سمجھوں خود کو بھیگی ہوئی راتوں میں اکیلا سمجھوں نام لکھوں میں ترا دور خلاؤں میں کہیں اور ہر لفظ کو پھر چاند سے پیارا سمجھوں یاد کی جھیل میں جب عکس نظر آئے ترا آنکھ سے اشک بھی ٹپکے تو ستارا سمجھوں دستکیں دیتا رہا رات جو گلیوں میں اسے ذہن آوارہ کہوں نیند کا مارا سمجھوں وہ جو آ جائیں مرے پاس تو ان کو فرحتؔ دکھ کی بڑھتی ہوئی بارات کا دولہا سمجھوں

Hindi

जब तिरी ज़ात को फैला हुआ दरिया समझूँ ख़ुद को भीगी हुई रातों में अकेला समझूँ नाम लिक्खूँ मैं तिरा दूर ख़लाओं में कहीं और हर लफ़्ज़ को फिर चाँद से प्यारा समझूँ याद की झील में जब अक्स नज़र आए तिरा आँख से अश्क भी टपके तो सितारा समझूँ दस्तकें देता रहा रात जो गलियों में उसे ज़ेहन आवारा कहूँ नींद का मारा समझूँ वो जो आ जाएँ मिरे पास तो उन को 'फ़रहत' दुख की बढ़ती हुई बारात का दूल्हा समझूँ

jab tirī zaat ko phailā huā dariyā samjhūñ
Farhat Abbas
Farhat Abbas
Farhat Abbas
poet29 quotes

More by Farhat Abbas

View all →
Quote
"ham se mil kar koi guftugu kijiye puuri dil ki yahi justuju kijiye aap ki dushmani kaa main huun mo'tarif vaar kiije magar du-badu kijiye daaman-e-dil ki laakhon huiin dhajjiyaan kijiye kijiye ab rafu kijiye phuul mausam mein kaanTon ke bevpaar se jism-o-jaan-o-jigar mat lahu kijiye zindagi ho magar dard-e-hijraan na ho aise jiine ki kyaa aarzu kijiye aap kitne hasin hain nahin jaante aaine ko zaraa ru-ba-ru kijiye 'farhat'-e-jaan ki kyuun justuju kijiye bujhte jivan ki kyaa ab numu kijiye"
Farhat AbbasFarhat Abbas
Quote
"shahr-dar-shahr dida-var bhaTke zoam-e-baatil mein taajvar bhaTke khud-sari mein jo mo'atabar bhaTke ham-safar un ke be-khabar bhaTke fan ki pagDanDiyon pe chalte hue kabhi bhaTke to be-hunar bhaTke ham jo bhaTke to naa-shanaasaa the raahbar kyuun idhar udhar bhaTke ek aalam ko jis ne bhaTkaayaa kabhi yuun ho ki vo nazar bhaTke apni manzil kaa ilm hote hue phir bhi ham jaan-bujh kar bhaTke zindagi ke libaas-e-khasta mein dhuup mein ham barahna-sar bhaTke kis mein himmat thi ham ko bhaTkaataa apni khvaahish pe umr-bhar bhaTke haae us gul-badan ki hasrat mein yuun bhaTaknaa na thaa magar bhaTke us ko bhi paa sake nahin 'farhat' jis ki khvaahish mein dar-ba-dar bhaTke"
Farhat AbbasFarhat Abbas
Quote
"jalva hai vo ki taab-e-nazar tak nahin rahi dekhaa use to apni khabar tak nahin rahi ehsaas par garaan rahaa ehsaas kaa tilism ye umr ki takaan safar tak nahin rahi jin par tumhaare aane se khilte rahe gulaab ab dil mein aisi raahguzar tak nahin rahi ik din vo ghar se nikle nahin sair ke liye ab khvaahish-e-numu mein sahar tak nahin rahi jis ko chhuaa thaa ham ne kaDi dhuup jhel kar vo chhaanv bhi to zer-e-shajar tak nahin rahi khush hai vo aankh kaar-e-masihaai chhoD kar taasir us ki zakhm-e-jigar tak nahin rahi tum kaise mausamon mein hamein milne aae ho peDon pe ab to shaakh-e-samar tak nahin rahi 'farhat' main dastakein liye haathon mein rah gayaa meri rasaai ab tire dar tak nahin rahi"
Farhat AbbasFarhat Abbas
Quote
"khayaal aatishin khvaabida suratein di hain sakhaa-e-hijr ne ab bhi numaaishein di hain ye ab jo khvaab zamaanon ne dastakein di hain pas-e-muraad haqaaeq ki manzilein di hain mire libaas ke paivand-e-muflisi pe na jaa mire junun ne mohabbat ko khilatein di hain mire mizaaj kaa mausam ajiib mausam hai ki jis ke gham ne bhi hasti ko raunaqein di hain ham ahl-e-ishq ne taavaan raahatein de kar hudud-e-arsa-e-vahshat ko vusatein di hain chalo ye baat ghalat hai to phir bataao mujhe har ek haath mein kis kis ne mishalein di hain shuur jaae to fursat se niind bhi aae fishaar-e-zaat ne 'farhat' ko ranjishein di hain"
Farhat AbbasFarhat Abbas

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi