SHAWORDS

jang jaari hai khaandaanon mein — Ameer Qazalbash

"jang jaari hai khaandaanon mein ghair mahfuz huun makaanon mein lafz pathraa gae hain honTon par log kyaa kah gae hain kaanon mein raat ghar mein thi sar-phiri aandhi sirf kaanTe hain phul-daanon mein maa'badon ki khabar nahin mujh ko khairiyat hai sharaab-khaanon mein ab sipar DhunD koi apne liye tiir kam rah gae kamaanon mein naakhudaa kyaa khudaa rakhe mahfuz vo havaaein hain baadbaanon mein daal chunne mein haath aaeinge jitne kankar hain kaar-khaanon mein DhunDtaa phir rahaa huun khaali haath jaane kyaa chiiz un dukaanon mein"
Urdu

جنگ جاری ہے خاندانوں میں غیر محفوظ ہوں مکانوں میں لفظ پتھرا گئے ہیں ہونٹوں پر لوگ کیا کہہ گئے ہیں کانوں میں رات گھر میں تھی سر پھری آندھی صرف کانٹے ہیں پھول دانوں میں معبدوں کی خبر نہیں مجھ کو خیریت ہے شراب خانوں میں اب سپر ڈھونڈ کوئی اپنے لیے تیر کم رہ گئے کمانوں میں ناخدا کیا خدا رکھے محفوظ وہ ہوائیں ہیں بادبانوں میں دال چننے میں ہاتھ آئیں گے جتنے کنکر ہیں کارخانوں میں ڈھونڈتا پھر رہا ہوں خالی ہاتھ جانے کیا چیز ان دکانوں میں

Hindi

जंग जारी है ख़ानदानों में ग़ैर महफ़ूज़ हूँ मकानों में लफ़्ज़ पथरा गए हैं होंटों पर लोग क्या कह गए हैं कानों में रात घर में थी सर-फिरी आँधी सिर्फ़ काँटे हैं फूलदानों में मा'बदों की ख़बर नहीं मुझ को ख़ैरियत है शराब-ख़ानों में अब सिपर ढूँड कोई अपने लिए तीर कम रह गए कमानों में नाख़ुदा क्या ख़ुदा रखे महफ़ूज़ वो हवाएँ हैं बादबानों में दाल चुनने में हाथ आएँगे जितने कंकर हैं कार-ख़ानों में ढूँडता फिर रहा हूँ ख़ाली हाथ जाने क्या चीज़ उन दुकानों में

jang jaarī hai ḳhāndānoñ meñ
Ameer Qazalbash
Ameer Qazalbash
Ameer Qazalbash
poet83 quotes

More by Ameer Qazalbash

View all →
Quote
"paain har ek raah-guzar par udaasiyaan nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan khvaabida shahr jaagne vaalaa hai lauT aao baiThi hui hain shaam se ghar par udaasiyaan main khauf se laraztaa rahaa paDh nahin sakaa phaili hui thiin ek khabar par udaasiyaan suraj ke haath sabz qabaaon tak aa gae ab hain yahaan har ek shajar par udaasiyaan apne bhi khatt-o-khaal nigaahon mein ab nahin is tarah chhaa gai hain nazar par udaasiyaan phailaa rahaa hai kaun kabhi sochtaa huun main khvaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan sab log ban gae hain agar ajnabi to kyaa chhoD aaeingi mujhe mire dar par udaasiyaan"
Ameer QazalbashAmeer Qazalbash
Quote
"vo ik lafz jo be-sadaa jaaegaa vahi muddaton tak sunaa jaaegaa koi hai jo mere taaaqub mein hai mujhe meraa chehra dikhaa jaaegaa vo ik shakhs jo dushman-e-jaan sahi magar phir bhi apnaa kahaa jaaegaa jalegi koi mishal-e-jaan abhi magar phir andheraa saa chhaa jaaegaa nafi-e-jurat-e-haq-numaai sahi magar kab kisi se kahaa jaaegaa yahaan ik shajar muntazir saa bhi hai ab aakhir kahaan tak chalaa jaaegaa main vo mishal-e-nim-shab huun 'amir' jise kal kaa suraj bujhaa jaaegaa"
Ameer QazalbashAmeer Qazalbash
Quote
"kahin salib kahin karbalaa nazar aae jidhar nigaah uThe zakhm saa nazar aae bujhi hai pyaas zamin ki to ye tapish kyuun hai vo abr hai to barastaa huaa nazar aae bajaa hai apni aqidat magar savaal ye hai vo aadmi ho to kyunkar khudaa nazar aae chalo ki gher lein us ko lahu lahu chehre har ek samt use aaina nazar aae hamin ne tan se judaa kar liyaa hai sar apnaa bas ek ham the jo sab se judaa nazar aae kahaan kahaan abhi imkaan-e-zindagi hai 'amir' dhuaan chhaTe to koi raasta nazar aae"
Ameer QazalbashAmeer Qazalbash

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri