Quote
"kotaah-qad hain ham to koi sar-kashida ho aavaaza ho kuchh aisaa ki har-kas shunida ho vo iltifaat-e-khaas pe maael huaa to kyaa phailaae kyaa vo shakhs jo daaman-darida ho us vaqt tak to shaakh mein rahnaa hi chaahiye jab tak ki koi ghuncha-e-gul nau-damida ho kaisi ye shaakh hai ki samar se jhuki nahin har shakhs dil mein kahtaa hai pyaari khamida ho ji chaahtaa hai khul ke kisi ki sanaa karein lekin ye sochte hain ki kis kaa qasida ho 'aarif' tamaam 'umr rahi dil mein aarzu jo likkhun chhap sake koi aisaa jarida ho"
