SHAWORDS

jazba-e-shauq miraa kuchh to baDhaate jaate — Ajmal Abullais

HomeAjmal AbullaisGhazal
"jazba-e-shauq miraa kuchh to baDhaate jaate chand baatein hi dilaase ki sunaate jaate taqviyat kuchh to mohabbat ko miri mil jaati kuchh to chaahat-bharaa andaaz dikhaate jaate main bhi honTon pe yahaan pyaas liye baiThaa huun koi paimaana mohabbat kaa baDhaate jaate lazzat-e-ishq kaa ehsaas tumhein bhi hotaa karb-e-tanhaai mein jab ashk bahaate jaate gham ki taariki se chhuTkaare ki surat banti shaadmaani kaa diyaa dil mein jalaate jaate main akelaa hi nahin aur bhi hain meri tarah us ke kuche mein nazar aaeinge aate-jaate bach gae ishq ke aazaar se 'ajmal' varna tum lahu dil kaa shab-e-vasl jalaate jaate"
Urdu

جذبۂ شوق مرا کچھ تو بڑھاتے جاتے چند باتیں ہی دلاسے کی سناتے جاتے تقویت کچھ تو محبت کو مری مل جاتی کچھ تو چاہت بھرا انداز دکھاتے جاتے میں بھی ہونٹوں پہ یہاں پیاس لئے بیٹھا ہوں کوئی پیمانہ محبت کا بڑھاتے جاتے لذت عشق کا احساس تمہیں بھی ہوتا کرب تنہائی میں جب اشک بہاتے جاتے غم کی تاریکی سے چھٹکارے کی صورت بنتی شادمانی کا دیا دل میں جلاتے جاتے میں اکیلا ہی نہیں اور بھی ہیں میری طرح اس کے کوچے میں نظر آئیں گے آتے جاتے بچ گئے عشق کے آزار سے اجملؔ ورنہ تم لہو دل کا شب وصل جلاتے جاتے

Hindi

जज़्बा-ए-शौक़ मिरा कुछ तो बढ़ाते जाते चंद बातें ही दिलासे की सुनाते जाते तक़्वियत कुछ तो मोहब्बत को मिरी मिल जाती कुछ तो चाहत-भरा अंदाज़ दिखाते जाते मैं भी होंटों पे यहाँ प्यास लिए बैठा हूँ कोई पैमाना मोहब्बत का बढ़ाते जाते लज़्ज़त-ए-इश्क़ का एहसास तुम्हें भी होता कर्ब-ए-तन्हाई में जब अश्क बहाते जाते ग़म की तारीकी से छुटकारे की सूरत बनती शादमानी का दिया दिल में जलाते जाते मैं अकेला ही नहीं और भी हैं मेरी तरह उस के कूचे में नज़र आएँगे आते-जाते बच गए इश्क़ के आज़ार से 'अजमल' वर्ना तुम लहू दिल का शब-ए-वस्ल जलाते जाते

jazba-e-shauq mirā kuchh to baḌhāte jaate
Ajmal Abullais
Ajmal Abullais
Ajmal Abullais
poet17 quotes

More by Ajmal Abullais

View all →
Quote
"jo ba-rang-e-sahar dikhaai diyaa us kaa husn-e-nazar dikhaai diyaa jis taraf bhi nigaah dauDaai sirf raqs-e-sharar dikhaai diyaa sab ke haathon mein aa gae patthar jab shajar baa-samar dikhaai diyaa umr bhar jis kaa intizaar rahaa mujh se vo be-khabar dikhaai diyaa us ki khushiyaan na puchhiye jis ko baa'd muddat ke ghar dikhaai diyaa dil se yak-baargi duaa nikli jab pareshaan bashar dikhaai diyaa aaj teri gali mein charchaa hai ek aashufta-sar dikhaai diyaa baat mahlon ki kar rahaa thaa magar us ke andar khanDar dikhaai diyaa kar ke mujh ko asir-e-gham 'ajmal' vo sitamgar na phir dikhaai diyaa"
Ajmal AbullaisAjmal Abullais
Quote
"khud ko sanvaar lene ki haajat use bhi thi shaayad ki rang-o-bu ki zarurat use bhi thi majburiyon ne kar diyaa paaband kuchh use rasm-e-vafaa nibhaane ki chaahat use bhi thi yuun pher li nigaah ki pahchaantaa na ho kitni shadid mujh se rifaaqat use bhi thi kis ke khayaal-o-khvaab ki dahliz par sadaa har shab guzaarne ki ijaazat use bhi thi kirdaar ki bulandi kaa vo bhi hai mo'tarif maanaa ki teri zaat se vahshat use bhi thi garche anaa-parast vo 'ajmal' balaa kaa hai bebaakiyon pe meri to hairat use bhi thi"
Ajmal AbullaisAjmal Abullais
Quote
"aasaan zindagaani kaa koi safar nahin manzil hai raasta hai magar raahbar nahin jis ke khayaal-o-khvaab mein duniyaa se kaT gayaa us ko mire vajud ki koi khabar nahin raanaai-e-jamaal hai mauzu-e-guftugu haalaat-e-haazira pe tumhaari nazar nahin ye raqs-e-tirgi hai yaa mearaaj-e-zindagi mahfuz koi gaanv koi rah-guzar nahin ye roz-o-shab ki saari tag-o-dau fuzul hai gar zindagi ke baab mein soz-e-jigar nahin gauhar-shanaas bazm se shaayad ki jaa chuke kyon aaj koi qimat-e-dast-e-hunar nahin jis ko har ek shakhs hi naa-mo'tabar lage 'ajmal' miri nigaah mein vo mo'atabar nahin"
Ajmal AbullaisAjmal Abullais
Quote
"aasaan zindagaani kaa koi safar nahin manzil hai raasta hai magar raahbar nahin jis ke khayaal-o-khvaab mein duniyaa se kaT gayaa us ko mire vajud ki koi khabar nahin raanaai-e-jamaal hai mauzu-e-guftugu haalaat-e-haazira pe tumhaari nazar nahin ye raqs-e-tirgi hai yaa mearaaj-e-zindagi mahfuz koi gaanv koi rahguzar nahin ye roz-o-shab ki saari tag-o-dau fuzul hai gar zindagi ke baab mein soz-e-jigar nahin gauhar-shanaas bazm se shaayad ki jaa chuke kyon aaj koi qimat-e-dast-e-hunar nahin jis ko har ek shakhs hi naa-mo'tabar lage 'ajmal' miri nigaah mein vo mo'atabar nahin"
Ajmal AbullaisAjmal Abullais
Quote
"phir tire ochhe khayaalaat ne dil toD diyaa tanz mein Duube khitaabaat ne dil toD diyaa lab-kushaai ki zarurat thi to khaamosh rahe be-sabab ramz-o-ishaaraat ne dil toD diyaa main to ab lafz-e-mohabbat se laraz uThtaa huun teri is darja inaayaat ne dil toD diyaa main samajhtaa thaa tire dil mein makin huun lekin tere andaaz-e-mudaaraat ne dil toD diyaa teri ghazlon mein nae daur ke uslub nahin tere farsuda khayaalaat ne dil toD diyaa mustaqil kaun tiraa saath nibhaaegaa yahaan ek do pal ke tire saath ne dil toD diyaa aap ki zaat se thi mujh ko tasalli ki umiid aap ke ashkon ki barsaat ne dil toD diyaa vo miraa dost bhi ho saktaa hai jaani dushman kyaa bataaun mire khadshaat ne dil toD diyaa jin se ho jaati hai imaan se duuri 'ajmal' aise afkaar-o-nazaryaat ne dil toD dayaa"
Ajmal AbullaisAjmal Abullais
Quote
"paabandi-e-izhaar ki laanat hi alag hai khaamosh zabaanon ki hikaayat hi alag hai jo tum ne sitam Dhaae hain vo aur hain lekin is dard-e-judaai ki aziyyat hi alag hai tum ne to adaaon se bahut qatl kiye hain andaaz-e-taghaaful ki qayaamat hi alag hai honTon se to hote hain adaa harf-e-mohabbat aankhon ke ishaare ki vazaahat hi alag hai taa-hadd-e-nazar diid ke qaabil hain nazaare lekin tire didaar ki hasrat hi alag hai ishrat-kada-e-dahr mein kyaa kyaa nahin lekin tere lab-o-rukhsaar ki jannat hi alag hai paDhte hain baDe shauq se arbaab-e-tahaffuz 'ajmal' tire ashaar ki nudrat hi alag hai"
Ajmal AbullaisAjmal Abullais

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri