SHAWORDS

jazbaat ki shiddat se nikhartaa hai bayaan aur — Ehsan Jafri

HomeEhsan JafriGhazal
"jazbaat ki shiddat se nikhartaa hai bayaan aur ghairon se mohabbat mein sanvarti hai zabaan aur ehsaas ki palkon mein tiri yaad kaa partav ghamgin banaa detaa hai mahfil kaa samaan aur guzre hue haalaat se banti hai kahaani girte hue taaron se munavvar hai makaan aur mujh ko na bataa ziist ke imkaan bahut hain miTTi mein nami ho to ubharte hain nishaan aur aangan hi mein khushbu ko muqayyad na karo tum parvaaz se mil jaaeinge insaan ko jahaan aur"
Urdu

جذبات کی شدت سے نکھرتا ہے بیاں اور غیروں سے محبت میں سنورتی ہے زباں اور احساس کی پلکوں میں تری یاد کا پرتو غمگین بنا دیتا ہے محفل کا سماں اور گزرے ہوئے حالات سے بنتی ہے کہانی گرتے ہوئے تاروں سے منور ہے مکاں اور مجھ کو نہ بتا زیست کے امکان بہت ہیں مٹی میں نمی ہو تو ابھرتے ہیں نشاں اور آنگن ہی میں خوشبو کو مقید نہ کرو تم پرواز سے مل جائیں گے انساں کو جہاں اور

Hindi

जज़्बात की शिद्दत से निखरता है बयाँ और ग़ैरों से मोहब्बत में सँवरती है ज़बाँ और एहसास की पलकों में तिरी याद का परतव ग़मगीन बना देता है महफ़िल का समाँ और गुज़रे हुए हालात से बनती है कहानी गिरते हुए तारों से मुनव्वर है मकाँ और मुझ को न बता ज़ीस्त के इम्कान बहुत हैं मिट्टी में नमी हो तो उभरते हैं निशाँ और आँगन ही में ख़ुशबू को मुक़य्यद न करो तुम परवाज़ से मिल जाएँगे इंसाँ को जहाँ और

jazbāt kī shiddat se nikhartā hai bayāñ aur
Ehsan Jafri
Ehsan Jafri
Ehsan Jafri
poet11 quotes

More by Ehsan Jafri

View all →
Quote
"apnon ne ujaaDaa hai chaman jaan gae hain pardon mein chhupaa kaun hai pahchaan gae hain tapti hui saDkon pe safar ham ne kiyaa hai ab barf jo dekhi hai to ausaan gae hain vishvaas ki girti hui divaar ke saae qadmon se kuchalte hue imaan gae hain maanaa ki diyaa us ne hamein rutba-e-aali jannat se nikaale bhi to insaan gae hain ghar apnaa samajh kar jo rahe farsh-e-zamin par rote hue duniyaa se vo mehmaan gae hain jo phuul ki khushbu ko chhupaane mein lage the naakaam mohabbat mein vo insaan gae hain un se to na thi koi hamein bughz-o-adaavat be-kaar si baaton ko buraa maan gae hain"
Ehsan JafriEhsan Jafri
Quote
"tum achchhe masihaa ho davaa kyon nahin dete be-nur jo hai sham' bujhaa kyon nahin dete be-naam huun be-nang huun zaahir to hai tum par gar rabt nahin dil se bhulaa kyon nahin dete khushbu ki tarah phuul ki uThungaa chaman se tum phuul ko zulfon se giraa kyon nahin dete pahunchungaa kashaakash mein jahaan tum ne bulaayaa tum hashr ke maidaan se sadaa kyon nahin dete mahfil mein agar raunaq-e-mahfil hai koi aur ye baat bhi mahfil ko bataa kyon nahin dete ik buund si larzaan hai sar-e-chashm-e-tamannaa naayaab nahin aab giraa kyon nahin dete naa-karda gunaahon ki sazaa maut mili hai phir karda gunaahon ki sazaa kyon nahin dete zakhmon ko mire dil pe agar dekh liyaa hai daaman se vafaaon ki havaa kyon nahin dete dekhaa thaa kabhi ham ne mohabbat kaa janaaza baaqi hai agar kuchh to dikhaa kyon nahin dete har lamha hamaaraa hi fasaana hai zabaan par ham kuchh bhi nahin hain to bhulaa kyon nahin dete kar leinge har ik manzil-e-dushvaar ko sar ham ik jaam mohabbat kaa pilaa kyon nahin dete"
Ehsan JafriEhsan Jafri
Quote
"zindagi ik aag hai vo aag jalnaa chaahiye be-hisi ik barf hai is ko pighalnaa chaahiye maut bhi hai zindagi aur maut se Darnaa fuzul maut se aankhein milaa kar muskuraanaa chaahiye valvale tufaan-o-aandhi barq-o-baaraan zalzale in nae saanchon mein ham ko aaj Dhalnaa chaahiye bhuuk bekaari ke shikve un se karnaa hai fuzul un ke aage taan kar siina nikalnaa chaahiye ne diyaa hai aur na deinge ye masaaib kaa javaab ab hamein taqdir apni khud badalnaa chaahiye ho gali kuche mein charchaa baat ye kaafi nahin dushmanon ke paanv ki dharti dahalnaa chaahiye"
Ehsan JafriEhsan Jafri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari