SHAWORDS

jiinaa kab tak muhaal hogaa — A G Josh

HomeA G JoshGhazal
"jiinaa kab tak muhaal hogaa aakhir ik din visaal hogaa gar na TuuTe ye shisha-e-dil teraa husn kamaal hogaa tum to taDpaa ke jaa rahe ho dil ye kaise bahaal hogaa chhune vaalaa tiri jabin ko meraa dast-e-khayaal hogaa tere lab pe rahe khamoshi mere lab pe savaal hogaa us ki nibhti bhi hai kisi se 'josh' kyaa teraa haal hogaa"
Urdu

جینا کب تک محال ہوگا آخر اک دن وصال ہوگا گر نہ ٹوٹے یہ شیشۂ دل تیرا حسن کمال ہوگا تم تو تڑپا کے جا رہے ہو دل یہ کیسے بحال ہوگا چھونے والا تری جبیں کو میرا دست خیال ہوگا تیرے لب پہ رہے خموشی میرے لب پہ سوال ہوگا اس کی نبھتی بھی ہے کسی سے جوشؔ کیا تیرا حال ہوگا

Hindi

जीना कब तक मुहाल होगा आख़िर इक दिन विसाल होगा गर न टूटे ये शीशा-ए-दिल तेरा हुस्न कमाल होगा तुम तो तड़पा के जा रहे हो दिल ये कैसे बहाल होगा छूने वाला तिरी जबीं को मेरा दस्त-ए-ख़याल होगा तेरे लब पे रहे ख़मोशी मेरे लब पे सवाल होगा उस की निभती भी है किसी से 'जोश' क्या तेरा हाल होगा

jiinā kab tak muhāl hogā
A G Josh
A G Josh
A G Josh
poet25 quotes

More by A G Josh

View all →
Quote
"har mulaaqaat mein lagte hain vo begaane se faaeda kyaa hai bhalaa aison ke yaaraane se kuchh jo samjhaa to mujhe sab ne hi aashiq samjhaa baat ye khuub nikaali mire afsaane se zindagi apni nazar aane lagi sirf saraab kabhi guzre jo dil-e-zaar ke viraane se ek pal bhi na Thahar paaoge ai sang-zano koi patthar kabhi lauT aayaa jo divaane se tum ko marnaa hai to marnaa mire gul hone par shama kahti rahi shab-bhar yahi parvaane se phir na dekhaa tujhe ai 'josh' sukun se baiThaa jab se uTThaa hai tu is shokh ke kaashaane se"
A G JoshA G Josh
Quote
"na sochnaa ki zamaane se Dar gae ham bhi tiri talaash mein ghairon ke ghar gae ham bhi churaa liin ham se bhi us khud-parast ne aankhein dil-e-habib se aakhir agar gae ham bhi pasijaa dil na kisi kaa hamaare ashkon se har aastaan pe liye chashm-e-tar gae ham bhi jo dekhaa kaliyon ko tujh par nisaar hote hue to rang ban ke fazaa mein bikhar gae ham bhi jab us ki zauq-e-nazar kaa huaa bahut charchaa vufur-e-shauq se ek din sanvar gae ham bhi bahut se ishq ki raahon mein pul-siraat aae tumhaaraa naam liyaa aur guzar gae ham bhi muhaal thaa ki ham ai 'josh' zinda rah sakte firaaq-e-yaar mein ik roz mar gae ham bhi"
A G JoshA G Josh

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud