"jafaaein hain un ki miraa zabt-e-gham hai mohabbat kaa un ki bhi kaisaa karam hai sar-e-bazm un ki hain aankhon mein aansu labon par mire meri rudaad-e-gham hai unhein husn kaa apne ehsaas hai jo miri hi nigaahon kaa samjho karam hai tiri be-rukhi bhi hai goyaa qayaamat tiraa ruuTh jaanaa bhi goyaa sitam hai nigaahein milaa kar ataa mujh ko karnaa tiraa jaam mere liye jaam-e-jam hai 'asar' dil ki duniyaa hai sarshaar is dam nigaahon ke aage dayaar-e-sanam hai"
jis ko ehsaas-e-gham nahin hotaa — Hamiid Khan Asar
"jis ko ehsaas-e-gham nahin hotaa vo kabhi chashm-e-nam nahin hotaa yuun to azmat mein ik farishte se koi insaan bhi kam nahin hotaa ishq mein daagh-e-dil khudaa rakkhe chaand suraj se kam nahin hotaa ashk mizhgaan pe hi larazte hain qatra dariyaa mein zam nahin hotaa marg-e-bulbul pe aaj gulshan mein dida-e-gul bhi nam nahin hotaa chaarasaazon ki ab tasalli se sadma-e-hijr kam nahin hotaa bevafaa to zamaana rahtaa hai baa-vafaa bhi sanam nahin hotaa ishq aasaan nahin kisi kaa 'asar' kis ki zulfon mein kham nahin hotaa"
جس کو احساس غم نہیں ہوتا وہ کبھی چشم نم نہیں ہوتا یوں تو عظمت میں اک فرشتے سے کوئی انساں بھی کم نہیں ہوتا عشق میں داغ دل خدا رکھے چاند سورج سے کم نہیں ہوتا اشک مژگاں پہ ہی لرزتے ہیں قطرہ دریا میں ضم نہیں ہوتا مرگ بلبل پہ آج گلشن میں دیدۂ گل بھی نم نہیں ہوتا چارہ سازوں کی اب تسلی سے صدمۂ ہجر کم نہیں ہوتا بے وفا تو زمانہ رہتا ہے با وفا بھی صنم نہیں ہوتا عشق آساں نہیں کسی کا اثرؔ کس کی زلفوں میں خم نہیں ہوتا
जिस को एहसास-ए-ग़म नहीं होता वो कभी चश्म-ए-नम नहीं होता यूँ तो अज़्मत में इक फ़रिश्ते से कोई इंसाँ भी कम नहीं होता इश्क़ में दाग़-ए-दिल ख़ुदा रक्खे चाँद सूरज से कम नहीं होता अश्क मिज़्गाँ पे ही लरज़ते हैं क़तरा दरिया में ज़म नहीं होता मर्ग-ए-बुलबुल पे आज गुलशन में दीदा-ए-गुल भी नम नहीं होता चारासाज़ों की अब तसल्ली से सदमा-ए-हिज्र कम नहीं होता बेवफ़ा तो ज़माना रहता है बा-वफ़ा भी सनम नहीं होता इश्क़ आसाँ नहीं किसी का 'असर' किस की ज़ुल्फ़ों में ख़म नहीं होता
More by Hamiid Khan Asar
View all →"har nafas vajh-e-khushi hai aaj-kal kyaa suhaani zindagi hai aaj-kal lamha-lamha kaif mein Duubaa huaa main huun meri mai-kashi hai aaj-kal bujh gae kab se umidon ke charaagh daagh-e-dil ki raushni hai aaj-kal jis jagah rahti thi bu-e-gul vahin khaak si kuchh uD rahi hai aaj-kal kam nahin gham se tire duniyaa kaa gham ik musibat jiite ji hai aaj-kal luuT lo mil kar bahaar-e-gulsitaan lo shagufta har kali hai aaj-kal"
"teri mahfil se uTh ke divaane chal diye phir kahaan khudaa jaane kis ko maalum thaa khushi ke liye dard-o-gham bhi paDeinge apnaane jin se muddat ki thi shanaasaai aaj vo bhi bane hain begaane ye fasaane kabhi ke miT jaate baat rakh li mire masihaa ne jin kaa gham ke sivaa koi na huaa vo khushi ko chale hain apnaane phir huaa aaj mehrbaan saaqi phir chhalakne lage hain paimaane kitni mohtaat thiin miri nazrein ban gae phir bhi kitne afsaane na milaa ai 'asar' vo but ab tak go hazaaron mile sanam-khaane"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"