SHAWORDS

jism jab baadal kaa saada ho gayaa — Aulad

HomeAuladGhazal
"jism jab baadal kaa saada ho gayaa zehn suraj kaa kushaada ho gayaa chashm-e-manzar se jo niklaa hai lahu zard pipal kaa labaada ho gayaa har taraf chhaane lagin madhoshiyaan ashk-e-bulbul jab ki baada ho gayaa saare meve gir gae us peD se bojh kis shai kaa ziyaada ho gayaa qatra-e-naachiz 'qudsi' shaad hai siip kaa siina kushaada ho gayaa"
Urdu

جسم جب بادل کا سادہ ہو گیا ذہن سورج کا کشادہ ہو گیا چشم منظر سے جو نکلا ہے لہو زرد پیپل کا لبادہ ہو گیا ہر طرف چھانے لگیں مدہوشیاں اشک بلبل جب کہ بادہ ہو گیا سارے میوے گر گئے اس پیڑ سے بوجھ کس شے کا زیادہ ہو گیا قطرۂ ناچیز قدسیؔ شاد ہے سیپ کا سینہ کشادہ ہو گیا

Hindi

जिस्म जब बादल का सादा हो गया ज़ह्न सूरज का कुशादा हो गया चश्म-ए-मंज़र से जो निकला है लहू ज़र्द पीपल का लबादा हो गया हर तरफ़ छाने लगीं मदहोशियाँ अश्क-ए-बुलबुल जब कि बादा हो गया सारे मेवे गिर गए उस पेड़ से बोझ किस शय का ज़ियादा हो गया क़तरा-ए-नाचीज़ 'क़ुदसी' शाद है सीप का सीना कुशादा हो गया

jism jab bādal kā saada ho gayā
A
Aulad
Aulad
poet16 quotes

More by Aulad

View all →
Quote
"dil kaa gulshan jalaa gae kaanTe un ki yaadein miTaa gae kaanTe ab zarurat nahin rahi gul ki itni kasrat se aa gae kaanTe ziist mein rah gai chubhan hi chubhan aisaa qabza jamaa gae kaanTe gul hi kyaa gulsitaan bhi hairaan hai is qadar mujh ko bhaa gae kaanTe ab to khushiyon ki bu nahin milti har taraf gham ke chhaa gae kaanTe un pe kaliyaan bhi ho gaiin shaidaa os mein yuun nahaa gae kaanTe kyaa kiyaa tum ne ajnabi mohsin raah se kyon haTaa gae kaanTe ab phaTaa jaa rahaa hai meraa dimaagh kaisi khushbu basaa gae kaanTe main to mohsin unhein samajhtaa rahaa nafratein kyon baDhaa gae kaanTe mujh ko ehsaas tak na ho paayaa dost ban kar samaa gae kaanTe ham tumhaare bane rahe ham-dam khuub ehsaan jataa gae kaanTe roz-o-shab kaa rahaa na farq koi niind aisi sulaa gae kaanTe kam nahin ham pe un kaa ye ehsaan ramz-e-duniyaa bataa gae kaanTe kaise azbar kitaab hoti mujhe har sabaq phir bhulaa gae kaanTe jaise saathi janam ke hon 'qudsi' yuun gale se lagaa gae kaanTe"
A
Aulad
Quote
"kahtaa hai kaun sang-o-shajar bolte nahin vo bolte hain jab to bashar bolte nahin taamil-e-hukm-e-rab mein hain masruf raat-din is vaaste ye shams-o-qamar bolte nahin gaanv ke zarre zarre mein hai shor-o-ghul magar baazaar chup hai aur nagar bolte nahin pal pal ki hai khabar inhein phir bhi na jaane kyon divaar be-zabaan hai dar bolte nahin paDhte rahe darud hai dasht-e-arab gavaah ye baat hai ghalat ki hajar bolte nahin be-jaan se bhi hote hain vo mahv-e-guftugu kyaa jaane mujh se kyon vo magar bolte nahin qatron ko roz dete hain ye dars-e-ijtihaad phir kaise maan luun ki guhar bolte nahin"
A
Aulad
Quote
"dil ke safhon mein jaal lafzon kaa jaan par hai vabaal lafzon kaa kaise mahfuz hon usul-e-huruf baDh rahaa hai zalaal lafzon kaa uljhe rahte hain sab ibaarat mein hai ajab ye kamaal lafzon kaa harf to harf kaT gae nuqte allah allah jalaal lafzon kaa ab qayaamat zabaan pe aaegi ho rahaa hai qitaal lafzon kaa hai kitaabon mein dimakon kaa hisaar aa gayaa ab zavaal lafzon kaa biich raahon mein saut ke hamraah luT gayaa saaraa maal lafzon kaa tum to sheron mein kho gae 'qudsi' aur ham ko malaal lafzon kaa"
A
Aulad
Quote
"is daur mein jismon ke kharidaar bahut hain har samt gunaahon ke bhi baazaar bahut hain baalidgiyaan ruh-e-adab mein to sameTo aslaaf ke is hind mein aasaar bahut hain tahqiq tumhaari ye adhuri hi rahegi qudrat ke jahaan mein abhi asraar bahut hain tum shauq se shahron ke ujaalon se ho mahzuz mere liye paataal ziyaa-baar bahut hain gulzaar-e-rivaayat se zaraa zehn ko moDo jiddat ke bayaabaan mein ashjaar bahut hain sab par gul-e-raanaa ki to hoti hai navaazish kyaa mere muqaddar ke liye khaar bahut hain 'qudsi' to akelaa nahin maidaan-e-sukhan mein har kucha-o-baazaar mein fan-kaar bahut hain"
A
Aulad
Quote
"vo ek shakhs miraa ham-mizaaj pahle thaa badal gayaa vahi kal mein jo aaj pahle thaa bashar ki pyaas bashar ke lahu se bujhti hai jahaan mein kyaa yahi khuni rivaaj pahle thaa tamaam vaqt guzartaa hai laghviyaat mein ab hamaare sar pe bahut kaam kaaj pahle thaa ye aisaa daur ki insaaniyat bilakti hai sukun se par baDaa saada samaaj pahle thaa na dekhi dahr ne us ki tarah ziyaa ab tak ajiib bujhtaa huaa ik siraaj pahle thaa ghubaar-o-khaak mein vo sab badal gae 'qudsi' javaaharaat kaa ghar bhar anaaj pahle thaa"
A
Aulad
Quote
"uDaa ghubaar havaaon ki anjuman mein hai dhuaan dhuaan saa fazaaon ki anjuman mein hai nigaah-e-manzar-e-dilkash mein chhaa gai surkhi mai-e-khumaar sadaaon ki anjuman mein hai libaas-posh ki khvaahish mein lag gayaa hai zang shikasta daagh qabaaon ki anjuman mein hai tum us se duur raho niind uD na jaae kahin thakan khamida ridaaon ki anjuman mein hai nizaam-e-vaqt kaa ab khuun nichoDnaa hogaa ki sang-e-sakht adaaon ki anjuman mein hai darinde karb ke manDlaa rahe hain us ke gird ye kaun khufta-balaaon ki anjuman mein hai bashar ki ziist mulavvis hai raakh se 'qudsi' sulagti aag vafaaon ki anjuman mein hai"
A
Aulad

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer