SHAWORDS

jo 'adu meri jaan ke nikle — Naqi Naqvi

HomeNaqi NaqviGhazal
"jo 'adu meri jaan ke nikle mere hi khaandaan ke nikle vo to ban hi gae the apne vakil ham hi kachche zabaan ke nikle phir rahe hain vo ho ke khaana-ba-dosh vo jo maalik makaan ke nikle vo bhi vahm-o-gumaan ke nikle ham bhi vahm-o-gumaan ke nikle un ke jaane se mujh ko khatra hai vo jabhi yaan se jaan ke nikle us ke badle the der se tevar par achaanak zamaan ke nikle kar gae hain nishaana apnaa khataa tiir dil ki kamaan ke nikle dil ki baatein 'naqi' ki sun bhi liin vo bahut tez kaan ke nikle"
Urdu

جو عدو میری جان کے نکلے میرے ہی خاندان کے نکلے وہ تو بن ہی گئے تھے اپنے وکیل ہم ہی کچے زبان کے نکلے پھر رہے ہیں وہ ہو کے خانہ بدوش وہ جو مالک مکان کے نکلے وہ بھی وہم و گمان کے نکلے ہم بھی وہم و گمان کے نکلے ان کے جانے سے مجھ کو خطرہ ہے وہ جبھی یاں سے جان کے نکلے اس کے بدلے تھے دیر سے تیور پر اچانک زمان کے نکلے کر گئے ہیں نشانہ اپنا خطا تیر دل کی کمان کے نکلے دل کی باتیں نقیؔ کی سن بھی لیں وہ بہت تیز کان کے نکلے

Hindi

जो 'अदू मेरी जान के निकले मेरे ही ख़ानदान के निकले वो तो बन ही गए थे अपने वकील हम ही कच्चे ज़बान के निकले फिर रहे हैं वो हो के ख़ाना-ब-दोश वो जो मालिक मकान के निकले वो भी वहम-ओ-गुमान के निकले हम भी वहम-ओ-गुमान के निकले उन के जाने से मुझ को ख़तरा है वो जभी याँ से जान के निकले उस के बदले थे देर से तेवर पर अचानक ज़मान के निकले कर गए हैं निशाना अपना ख़ता तीर दिल की कमान के निकले दिल की बातें 'नक़ी' की सुन भी लीं वो बहुत तेज़ कान के निकले

jo 'adū merī jaan ke nikle
Naqi Naqvi
Naqi Naqvi
Naqi Naqvi
poet11 quotes

More by Naqi Naqvi

View all →
Quote
"main baagh thaa bahaar ne viraan kiyaa mujhe is 'ishq ne to kaafi pareshaan kiyaa mujhe main aisi nahr huun jahaan aate the tishna-lab phir apni pyaas ne hi bayaabaan kiyaa mujhe anmol itnaa huun ki kharidaa nahin gayaa phir khud dukaan-daar ne arzaan kiyaa mujhe main us mein khud ko dekhtaa huun misl-e-aaina us ne kuchh aise aankhon mein pinhaan kiyaa mujhe karni hai jang 'ishq ke maidaan mein use parde ke pichhe khud hai numaayaan kiyaa mujhe main us ko jaantaa huun ki vo hai fareb-deh lekin tumhaare sach ne bhi hairaan kiyaa mujhe"
Naqi NaqviNaqi Naqvi
Quote
"ruuTh jaane kaa hai ghurur mujhe jabki haasil nahin 'ubur mujhe ik ghazal aur jab likhi main ne ranj ne de diyaa surur mujhe 'ishq ke aaine pe maar ke sang kar diyaa us ne chur-chur mujhe jitnaa aataa rahaa mire nazdik mujh se kartaa rahaa vo duur mujhe aur phir tu ne kar liyaa apnaa ek din khud pe thaa ghurur mujhe tire khurshid se bhi baDh kar hai meri qindil kaa ye nuur mujhe main ne us ko bhulaa diyaa dil se ab vo yaad aaegaa zarur mujhe teri aankhon mein kho na jaaun 'naqi' is adaa se to tu na ghuur mujhe"
Naqi NaqviNaqi Naqvi

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil