"sab ko meri tarah niDhaal karo 'ishq mushkil hai aur muhaal karo 'ishq bachpan se sunte aae hain qaaem ab bughz ki misaal karo us ne puchhaa ta'aaruf-e-ulfat main ye bolaa nayaa savaal karo main tiri diid ko tarastaa huun khvaab mein hi sahi visaal karo main ik aasaan aadmi huun 'naqi' meraa jiinaa bahut vabaal karo"
main baagh thaa bahaar ne viraan kiyaa mujhe — Naqi Naqvi
"main baagh thaa bahaar ne viraan kiyaa mujhe is 'ishq ne to kaafi pareshaan kiyaa mujhe main aisi nahr huun jahaan aate the tishna-lab phir apni pyaas ne hi bayaabaan kiyaa mujhe anmol itnaa huun ki kharidaa nahin gayaa phir khud dukaan-daar ne arzaan kiyaa mujhe main us mein khud ko dekhtaa huun misl-e-aaina us ne kuchh aise aankhon mein pinhaan kiyaa mujhe karni hai jang 'ishq ke maidaan mein use parde ke pichhe khud hai numaayaan kiyaa mujhe main us ko jaantaa huun ki vo hai fareb-deh lekin tumhaare sach ne bhi hairaan kiyaa mujhe"
میں باغ تھا بہار نے ویراں کیا مجھے اس عشق نے تو کافی پریشاں کیا مجھے میں ایسی نہر ہوں جہاں آتے تھے تشنہ لب پھر اپنی پیاس نے ہی بیاباں کیا مجھے انمول اتنا ہوں کہ خریدا نہیں گیا پھر خود دکان دار نے ارزاں کیا مجھے میں اس میں خود کو دیکھتا ہوں مثل آئنہ اس نے کچھ ایسے آنکھوں میں پنہاں کیا مجھے کرنی ہے جنگ عشق کے میدان میں اسے پردے کے پیچھے خود ہے نمایاں کیا مجھے میں اس کو جانتا ہوں کہ وہ ہے فریب دہ لیکن تمھارے سچ نے بھی حیراں کیا مجھے
मैं बाग़ था बहार ने वीराँ किया मुझे इस 'इश्क़ ने तो काफ़ी परेशाँ किया मुझे मैं ऐसी नहर हूँ जहाँ आते थे तिश्ना-लब फिर अपनी प्यास ने ही बयाबाँ किया मुझे अनमोल इतना हूँ कि ख़रीदा नहीं गया फिर ख़ुद दुकान-दार ने अर्ज़ां किया मुझे मैं उस में ख़ुद को देखता हूँ मिस्ल-ए-आइना उस ने कुछ ऐसे आँखों में पिंहाँ किया मुझे करनी है जंग 'इश्क़ के मैदान में उसे पर्दे के पीछे ख़ुद है नुमायाँ किया मुझे मैं उस को जानता हूँ कि वो है फ़रेब-देह लेकिन तुम्हारे सच ने भी हैराँ किया मुझे

More by Naqi Naqvi
View all →"us kaa ik ik guzar nahin bhulaa aaj tak vo safar nahin bhulaa meraa khud par bhi ikhtiyaar nahin main tujhe chaah kar nahin bhulaa apnaa fan tu bhi kho nahin paayaa main bhi apnaa hunar nahin bhulaa ek pal mein bhulaa diyaa us ne main jise 'umr bhar nahin bhulaa meri jaanib na aanaa phir se ki main tere jaane kaa Dar nahin bhulaa mujh ko maan ki du'aaein yaad nahin lekin un kaa asar nahin bhulaa ye mohabbat nahin to kyaa hai 'naqi' duur rah kar agar nahin bhulaa"
"tiir bhi khud ko maar letaa huun main hi khud ko sanvaar letaa huun dusron kaa udhaar denaa hai dusron se udhaar letaa huun maut jab tak mujhe nahin aati zindagi hi guzaar letaa huun rizq-e-ulfat nahin khilaa mujh ko peT bhar ke Dakaar letaa huun jitnaa chaahtaa huun main sab se is liye sab se haar letaa huun us ko vaapas bhi phir nahin detaa jab kisi se main pyaar letaa huun roz ulfat ke aasmaan se 'naqi' ek taaraa utaar letaa huun"
"ruuTh jaane kaa hai ghurur mujhe jabki haasil nahin 'ubur mujhe ik ghazal aur jab likhi main ne ranj ne de diyaa surur mujhe 'ishq ke aaine pe maar ke sang kar diyaa us ne chur-chur mujhe jitnaa aataa rahaa mire nazdik mujh se kartaa rahaa vo duur mujhe aur phir tu ne kar liyaa apnaa ek din khud pe thaa ghurur mujhe tire khurshid se bhi baDh kar hai meri qindil kaa ye nuur mujhe main ne us ko bhulaa diyaa dil se ab vo yaad aaegaa zarur mujhe teri aankhon mein kho na jaaun 'naqi' is adaa se to tu na ghuur mujhe"
"jo 'adu meri jaan ke nikle mere hi khaandaan ke nikle vo to ban hi gae the apne vakil ham hi kachche zabaan ke nikle phir rahe hain vo ho ke khaana-ba-dosh vo jo maalik makaan ke nikle vo bhi vahm-o-gumaan ke nikle ham bhi vahm-o-gumaan ke nikle un ke jaane se mujh ko khatra hai vo jabhi yaan se jaan ke nikle us ke badle the der se tevar par achaanak zamaan ke nikle kar gae hain nishaana apnaa khataa tiir dil ki kamaan ke nikle dil ki baatein 'naqi' ki sun bhi liin vo bahut tez kaan ke nikle"
"sikhaa gayaa hai vo kyaa kyaa mujhe 'adaavat mein miraa vo ek 'adu dost thaa haqiqat mein tab us ne khul ke nibhaai thi dushmani apni main ho gayaa thaa giraftaar jab mohabbat mein thaa kis pe apni sakhaa kaa baDaa ghamanD mujhe main apnaa aap kise de gayaa sakhaavat mein yahaan pe itni bhi imaan-daari achchhi nahin zaraa saa jhuuT milaayaa karo sadaaqat mein"
More on Khudi
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"