Quote
"bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai havaa darakhton se kahti hai dukh ke lahje mein abhi mujhe kai sahraaon se guzarnaa hai main manzaron ke ghane-pan se khauf khaataa huun fanaa ko dast-e-mohabbat yahaan bhi dharnaa hai talaash-e-rizq mein dariyaa ke panchhiyon ki tarah tamaam umr mujhe Dubnaa ubharnaa hai udaasiyon ke khad-o-khaal se jo vaaqif ho ik aise shakhs ko aksar talaash karnaa hai"
