SHAWORDS

jo bhi min-jumla-e-ashjaar nahin ho saktaa — Abbas Tabish

HomeAbbas TabishGhazal
"jo bhi min-jumla-e-ashjaar nahin ho saktaa kuchh bhi ho jaae miraa yaar nahin ho saktaa ik mohabbat to kai baar bhi ho sakti hai ek hi shakhs kai baar nahin ho saktaa jis se puchhein tire baare mein yahi kahtaa hai khubsurat hai vafaadaar nahin ho saktaa"
Urdu

جو بھی من جملۂ اشجار نہیں ہو سکتا کچھ بھی ہو جائے مرا یار نہیں ہو سکتا اک محبت تو کئی بار بھی ہو سکتی ہے ایک ہی شخص کئی بار نہیں ہو سکتا جس سے پوچھیں ترے بارے میں یہی کہتا ہے خوب صورت ہے وفادار نہیں ہو سکتا

Hindi

जो भी मिन-जुम्ला-ए-अश्जार नहीं हो सकता कुछ भी हो जाए मिरा यार नहीं हो सकता इक मोहब्बत तो कई बार भी हो सकती है एक ही शख़्स कई बार नहीं हो सकता जिस से पूछें तिरे बारे में यही कहता है ख़ूबसूरत है वफ़ादार नहीं हो सकता

jo bhī min-jumla-e-ashjār nahīñ ho saktā
Abbas Tabish
Abbas Tabish
Abbas Tabish
poet195 quotes

More by Abbas Tabish

View all →
Quote
"dukhon kaa dasht aankhon kaa samundar chhoD aayaa huun jo ghar mein laa na sakta thaa vo baahar chhoD aayaa huun tum agli baarishon ke baa'd jaakar dekhnaa pyaare tumhaaraa naam divaaron pe likh kar chhoD aayaa huun mohabbat ki hai us ghar mein rihaaish to nahin ki hai abhi to sirf darvaaze pe bistar chhoD aayaa huun tiri baanhon mein aa kar bhi yahi mahsus hotaa hai ki khud ko vaqt ke rahm-o-karam par chhoD aayaa huun abhi kuchh der mein phailegi khushbu saari basti mein vahaan ke ik dariche mein gul-e-tar chhoD aaya huun khudaa-na-khvaasta main bhi agar banbaas luun 'taabish' vahaan kis ko bataaungaa bharaa ghar chhoD aaya huun"
Abbas TabishAbbas Tabish
Quote
"koi Takraa ke subuk-sar bhi to ho saktaa hai meri taamir mein patthar bhi to ho saktaa hai kyuun na ai shakhs tujhe haath lagaa kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho saktaa hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniyaa teraa shak aur kisi par bhi to ho saktaa hai ye jo hai phuul hatheli pe ise phuul na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saktaa hai shaakh par baiThe parinde ko uDaane vaale peD ke haath mein patthar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki baahar hi numu ho meri meraa khilnaa mire andar bhi to ho saktaa hai ye jo hai ret kaa Tiila mire qadmon ke tale koi dam mein mire uupar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki ham haar ke jitein 'taabish' ishq kaa khel baraabar bhi to ho saktaa hai"
Abbas TabishAbbas Tabish
Quote
"isi liye to ye shaamein ujaDne lagti hain ki lau baDhaa ke havaaein sukaDne lagti hain main kaise apne tavaazun ko barqaraar rakhun qadam jamaaun to saansein ukhaDne lagti hain yunhi nahin mujhe dariyaa ko dekhne se gurez sunaa hai paani mein shaklein bigaDne lagti hain isi liye to havaa apne ghar nahin jaati ki us ke baa'd ye galiyaan ujaDne lagti hain rahein khamosh to honTon se khuun Tapaktaa hai karein kalaam to khaalein udhaDne lagti hain agar main saans bhi aahista se na luun 'taabish' mire badan mein daraaDein si paDne lagti hain"
Abbas TabishAbbas Tabish
Quote
"yuun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain baiThne lagtaa hai dil junhi qadam uThte hain ham to is razm-gah-e-vaqt mein rahte hain jahaan haath kaT jaaein to daanton se alam uThte hain sahl angaar-tabiat kaa buraa ho jis se naaz uThte hain tire aur na sitam uThte hain koi raunde to uThaate hain nigaahein apni varna miTTi ki tarah raah se kam uThte hain niind jaati hi nahin arz-e-hunar se aage daftar-e-gham hi sadaa kar ke raqam uThte hain din ki aaghosh-e-razaaat se nikal kar 'taabish' raat ki raat kaf-e-khaak se ham uThte hain"
Abbas TabishAbbas Tabish

More on Mohabbat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud