SHAWORDS

jo sayyaad the baaghbaan ho gae — Hina Shaheedi

HomeHina ShaheediGhazal
"jo sayyaad the baaghbaan ho gae haqaaeq jo the daastaan ho gae jo kal tak the ai dost gum-karda-raah vahi rahbar-e-kaarvaan ho gae chaman se jinhein vaasta hi na thaa chaman ke vahi paasbaan ho gae har ik aastaan par thi jin ki jabin vahi saahib-e-aastaan ho gae vo bijli ho aandhi ho yaa zalzale har ik dushman-e-aashiyaan ho gae jinhein guftugu kaa saliqa na thaa 'hinaa' ab vo aatish-bayaan ho gae"
Urdu

جو صیاد تھے باغباں ہو گئے حقائق جو تھے داستاں ہو گئے جو کل تک تھے اے دوست گم کردہ راہ وہی رہبر کارواں ہو گئے چمن سے جنہیں واسطہ ہی نہ تھا چمن کے وہی پاسباں ہو گئے ہر اک آستاں پر تھی جن کی جبیں وہی صاحب آستاں ہو گئے وہ بجلی ہو آندھی ہو یا زلزلے ہر اک دشمن آشیاں ہو گئے جنہیں گفتگو کا سلیقہ نہ تھا حناؔ اب وہ آتش بیاں ہو گئے

Hindi

जो सय्याद थे बाग़बाँ हो गए हक़ाएक़ जो थे दास्ताँ हो गए जो कल तक थे ऐ दोस्त गुम-कर्दा-राह वही रहबर-ए-कारवाँ हो गए चमन से जिन्हें वास्ता ही न था चमन के वही पासबाँ हो गए हर इक आस्ताँ पर थी जिन की जबीं वही साहिब-ए-आस्ताँ हो गए वो बिजली हो आँधी हो या ज़लज़ले हर इक दुश्मन-ए-आशियाँ हो गए जिन्हें गुफ़्तुगू का सलीक़ा न था 'हिना' अब वो आतिश-बयाँ हो गए

jo sayyād the bāġhbāñ ho ga.e
H
Hina Shaheedi
Hina Shaheedi
poet2 quotes

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer