SHAWORDS

kaaenaat-e-aarzu mein ham basar karne lage — Chitransh Khare

"kaaenaat-e-aarzu mein ham basar karne lage sab bahut nafrat se kyuun ham par nazar karne lage tere har lamhe kaa ham ne aaj tak rakkhaa hisaab ye alag hai baat khud ko be-khabar karne lage zindagi ko alvidaaa kah kar chalaa jaaungaa main jab miri tanhaai mujh ko dar-ba-dar karne lage mulk ki barbaadiyaan us vaqt tai ho jaaeingi jab buri tahzib bachchon par asar karne lage yaa-khudaa raah-e-vafaa par rahbari karnaa meri jab mujhe gumraah meraa ham-safar karne lage chhoD kar us vaqt ohde khud chalaa jaaungaa main shak jahaan koi mire imaan par karne lage ishq ke us moD ko sab log kahte hain junun dil kisi ko yaad jab shaam-o-sahar karne lage"
Urdu

کائنات آرزو میں ہم بسر کرنے لگے سب بہت نفرت سے کیوں ہم پر نظر کرنے لگے تیرے ہر لمحہ کا ہم نے آج تک رکھا حساب یہ الگ ہے بات خود کو بے خبر کرنے لگے زندگی کو الوداع کہہ کر چلا جاؤں گا میں جب مری تنہائی مجھ کو در بدر کرنے لگے ملک کی بربادیاں اس وقت طے ہو جائیں گی جب بری تہذیب بچوں پر اثر کرنے لگے یا خدا راہ وفا پر رہبری کرنا میری جب مجھے گمراہ میرا ہم سفر کرنے لگے چھوڑ کر اس وقت عہدہ خود چلا جاؤں گا میں شک جہاں کوئی مرے ایمان پر کرنے لگے عشق کے اس موڑ کو سب لوگ کہتے ہیں جنوں دل کسی کو یاد جب شام و سحر کرنے لگے

Hindi

काएनात-ए-आरज़ू में हम बसर करने लगे सब बहुत नफ़रत से क्यूँ हम पर नज़र करने लगे तेरे हर लम्हे का हम ने आज तक रक्खा हिसाब ये अलग है बात ख़ुद को बे-ख़बर करने लगे ज़िंदगी को अलविदा'अ कह कर चला जाऊँगा मैं जब मिरी तन्हाई मुझ को दर-ब-दर करने लगे मुल्क की बर्बादियाँ उस वक़्त तय हो जाएँगी जब बुरी तहज़ीब बच्चों पर असर करने लगे या-ख़ुदा राह-ए-वफ़ा पर रहबरी करना मेरी जब मुझे गुमराह मेरा हम-सफ़र करने लगे छोड़ कर उस वक़्त ओहदे ख़ुद चला जाऊँगा मैं शक जहाँ कोई मिरे ईमान पर करने लगे इश्क़ के उस मोड़ को सब लोग कहते हैं जुनूँ दिल किसी को याद जब शाम-ओ-सहर करने लगे

kā.enāt-e-ārzū meñ ham basar karne lage
Chitransh Khare
Chitransh Khare
Chitransh Khare
poet7 quotes

More by Chitransh Khare

View all →
Quote
"hamaare sabr kaa ik imtihaan baaqi hai isi liye to abhi tak ye jaan baaqi hai vo nafraton ki imaarat bhi gir gai dekho mohabbaton kaa ye kachchaa makaan baaqi hai miraa usuul hai ghazlon mein sach bayaan karnaa main mar gayaa to miraa khaandaan baaqi hai main chaand par huun magar mutmain nahin huun main mire paron mein abhi bhi uDaan baaqi hai miTaa do jism se meri nishaaniyaan lekin tumhaari ruuh pe meraa nishaan baaqi hai tumhein to sach ko ugalne ki thi baDi aadat tumhaare munh mein abhi tak zabaan baaqi hai hamaari maut ko barson guzar gae lekin badan kaa khaak se ab tak milaan baaqi hai"
Chitransh KhareChitransh Khare
Quote
"donon ki aarzu mein chamak barqaraar hai main us taraf huun aur vo dariyaa ke paar hai duniyaa samajh rahi hai ki us ne bhulaa diyaa sach ye hai us ko ab bhi miraa intizaar hai shaayad mujhe bhi 'ishq ne shaadaab kar diyaa mere dil-o-dimaagh mein har pal khumaar hai kyuun main ne us ke pyaar mein duniyaa ujaaD li is baat se vo shakhs bahut sharmsaar hai tu ne adaa se dekh ke majbur kar diyaa tir-e-nigaah dil ke mire aar-paar hai daulat se to zaraa bhi mohabbat nahin mujhe phir bhi mire nasib mein ye be-shumaar hai"
Chitransh KhareChitransh Khare
Quote
"mohabbat ki gali se ham jahaan ho kar nikal aae ghazal kahne ke tab se khud-ba-khud manzar nikal aae hamaare haal par koi bhi hotaa ji nahin paataa ghazal ne haath jab pakDaa to ham bach kar nikal aae ye sarkaari mahal bhi kis qadar kachche nikalte hai zaraa baarish hui buniyaad ke patthar nikal aae sifaarish ke binaa jab bhi chale ham hasratein le kar hui jab shaam to maayus apne ghar nikal aae zaraa si der ham ne narm lahja kyaa kiyaa apnaa hamaare dushmanon ke kaise kaise par nikal aae"
Chitransh KhareChitransh Khare
Quote
"jo meri chhat kaa rasta chaand ne dekhaa nahin hotaa to shaayad chaandni le kar yahaan utraa nahin hotaa duaaein do tumhein mashhur ham ne kar diyaa varna nazar-andaaz kar dete to ye jalvaa nahin hotaa abhi to aur bhi mausam paDe hai mere saae mein main bargad kaa shajar huun muddaton buDhaa nahin hotaa hasinon se tamannaa-e-vafaa kam-zarf rakhte hain ye aisaa khvaab hai jo umr-bhar puuraa nahin hotaa baDe ehsaan hain mujh par tiri maasum yaadon ke main tanhaa raasto mein bhi kabhi tanhaa nahin hotaa main jab jab sher ki gahraaiyon mein Duub jaataa huun sivaa tere mire dil mein koi chehra nahin hotaa"
Chitransh KhareChitransh Khare

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar