"kabhi baatil ko haq aur haq ko ham baatil samajhte hain muraad-e-ahl-e-dil ko sirf ahl-e-dil samajhte hain dil-e-be-muddaaa hi muddaaa-e-zist hai apnaa isi be-haasili ko ziist kaa haasil samajhte hain ye teraa nuur vo teraa makaan dil kyaa nazar kyaa hai nazar ko ham nazar samjhe na dil ko dil samajhte hain kinaaron par jo uThte hain vo tufaan koi kyaa jaane hamein to kam-nazar aasuda-e-saahil samajhte hain yahi apnaa aqida hai koi kuchh bhi kahe ham to ghazal kahnaa bhi kaar-e-khair mein daakhil samajhte hain jilaa mahsus hoti hai 'naim' aaina-e-dil par kisi ki ham nigaah-e-lutf ko shaamil samajhte hain"
kabhi sarsar hai kabhi baad-e-sabaa hai saaqi — Naim Hamid Ali
"kabhi sarsar hai kabhi baad-e-sabaa hai saaqi zindagi silsila-e-bim-o-rajaa hai saaqi na kudurat hai kisi se na gila hai saaqi main ne khud apne muqaddar ko likhaa hai saaqi apne maahaul mein shaamil huun main auron ki tarah mere jiine kaa magar taur judaa hai saaqi meraa chehra mire jazbaat kaa akkaas nahin meraa dil dekh jahaan hashr bapaa hai saaqi kuchh kahein ahl-e-khirad fikr nahin hai mujh ko mere aamaal khudaa dekh rahaa hai saaqi mufti-o-mohtasib-o-vaaiz-o-qaazi-o-faqih teri aankhon se kahin koi bachaa hai saaqi vaaqif-e-raaz hai mai-khaana-e-hasti kaa 'naim' us ke honTon pe magar qufl-e-vafaa hai saaqi"
کبھی صرصر ہے کبھی باد صبا ہے ساقی زندگی سلسلۂ بیم و رجا ہے ساقی نہ کدورت ہے کسی سے نہ گلہ ہے ساقی میں نے خود اپنے مقدر کو لکھا ہے ساقی اپنے ماحول میں شامل ہوں میں اوروں کی طرح میرے جینے کا مگر طور جدا ہے ساقی میرا چہرہ مرے جذبات کا عکاس نہیں میرا دل دیکھ جہاں حشر بپا ہے ساقی کچھ کہیں اہل خرد فکر نہیں ہے مجھ کو میرے اعمال خدا دیکھ رہا ہے ساقی مفتی و محتسب و واعظ و قاضی و فقیہ تیری آنکھوں سے کہیں کوئی بچا ہے ساقی واقف راز ہے مے خانۂ ہستی کا نعیمؔ اس کے ہونٹوں پہ مگر قفل وفا ہے ساقی
कभी सरसर है कभी बाद-ए-सबा है साक़ी ज़िंदगी सिलसिला-ए-बीम-ओ-रजा है साक़ी न कुदूरत है किसी से न गिला है साक़ी मैं ने ख़ुद अपने मुक़द्दर को लिखा है साक़ी अपने माहौल में शामिल हूँ मैं औरों की तरह मेरे जीने का मगर तौर जुदा है साक़ी मेरा चेहरा मिरे जज़्बात का अक्कास नहीं मेरा दिल देख जहाँ हश्र बपा है साक़ी कुछ कहें अहल-ए-ख़िरद फ़िक्र नहीं है मुझ को मेरे आ'माल ख़ुदा देख रहा है साक़ी मुफ़्ती-ओ-मोहतसिब-ओ-वाइज़-ओ-क़ाज़ी-ओ-फ़क़ीह तेरी आँखों से कहीं कोई बचा है साक़ी वाक़िफ़-ए-राज़ है मय-ख़ाना-ए-हस्ती का 'नईम' उस के होंटों पे मगर क़ुफ़्ल-ए-वफ़ा है साक़ी

More by Naim Hamid Ali
View all →"tilism-e-shams-o-nujum-o-qamar se guzre hain dayaar-e-husn ki har rahguzar se guzre hain koi bhi qalb-o-nazar ko asiir kar na sakaa hazaar rang ke jalve nazar se guzre hain har imtihaan-e-azimat se tere divaane bahut vaqaar baDe karr-o-far se guzre hain Thahar gai hain vahin gardishein zamaane ki balaa-kashaan-e-mohabbat jidhar se guzre hain 'naim' jin se ibaarat hai zindagi kaa sukun vo haadsaat bhi meri nazar se guzre hain"
"salaamat ishq afsaane bahut hain junun ki khair viraane bahut hain khirad-mandon ne chhoDaa saath to kyaa miri jaan tere divaane bahut hain nahin hai gar koi apnaa to kyaa gham khudaa kaa shukr begaane bahut hain main sab kaa martaba rakhtaa huun malhuz ki mere zehn mein khaane bahut hain 'naim' aashufta-dil tum hi nahin ho sataayaa jin ko duniyaa ne bahut hain"
"karishma-saaz-o-saraapaa-bahaar hai ki nahin shabaab-o-husn-e-ghazal baa-vaqaar hai ki nahin khizaan kaa daur sahi ye bataao ahl-e-chaman yaqin-e-aamad-e-fasl-e-bahaar hai ki nahin bajaa ki mai-kada viraan hai masjidein aabaad rais-e-shahr bhi parhez-gaar hai ki nahin zabaan khatib ki mazmun rais-e-shahr kaa hai namaaziyon pe ye raaz aashkaar hai ki nahin nigaah chaahiye tahlil-o-tajziye ke liye khizaan kaa daur naved-e-bahaar hai ki nahin hamaaraa maazi-o-haazir bhi ik muamma hai bahaar thi ki nahin thi bahaar hai ki nahin ghazal to kahte hain sab ham magar ye dekhte hain vo karb-e-asr ki aaina-daar hai ki nahin hijaab maane-e-jalva sahi naved bhi hai khizaan naqaab-e-nigaar-e-bahaar hai ki nahin madaar bakhshish-o-pursish kaa hai niyat pe 'naim' umid-e-rahmat-e-parvardigaar hai ki nahin"
"agar shaane pe din ke raat kaa parcham nahin hotaa ye aalam kuchh bhi hotaa khushnumaa aalam nahin hotaa kisi surat Tapaktaa zakhm dil kaa kam nahin hotaa ye zakhm-e-dil hai ye minnat-kash-e-marham nahin hotaa masarrat se masarrat aur gham se gham nahin hotaa ajab hotaa hai aalam jab koi aalam nahin hotaa bharosa naakhudaa pe karne vaalaa Duub jaataa hai pukaare jo khudaa ko gharq-e-mauj-e-yam nahin hotaa shahaadat paai hai dil ne fidaa-e-gul-rukhaan ho kar shahidon kaa hamaare diin mein maatam nahin hotaa zahe-qismat ki aaghosh-e-haram hai aur ham varna gunaahon kaa sila to saaghar-e-zamzam nahin hotaa 'naim' apnaa liyaa hai ham ne gham saare zamaane kaa ki jab had se guzar jaataa hai gham phir gham nahin hotaa"
"na the ranj-o-alam aah-o-fughaan kal shab jahaan main thaa bahaarein thiin na thaa khauf-e-khizaan kal shab jahaan mein thaa jahaan-e-saabit-o-sayyaar thaa gard-e-safar meri mire zer-e-qadam thi kahkashaan kal shab jahaan main thaa pari-paikar nigaare sarv-qadde laala-rukhsaare hasin ik ik se baDh kar the vahaan kal shab jahaan main thaa moaddab saf-ba-saf karrubiyaan taa'zim dete the sarir-aaraa the shaah-e-do-jahaan kal shab jahaan main thaa ataa-e-ahl-e-dil hai is ko ahl-e-dil samajhte the main pahunchaa kis tarah kaise vahaan kal shab jahaan main thaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"