Quote
"kabhi sarsar hai kabhi baad-e-sabaa hai saaqi zindagi silsila-e-bim-o-rajaa hai saaqi na kudurat hai kisi se na gila hai saaqi main ne khud apne muqaddar ko likhaa hai saaqi apne maahaul mein shaamil huun main auron ki tarah mere jiine kaa magar taur judaa hai saaqi meraa chehra mire jazbaat kaa akkaas nahin meraa dil dekh jahaan hashr bapaa hai saaqi kuchh kahein ahl-e-khirad fikr nahin hai mujh ko mere aamaal khudaa dekh rahaa hai saaqi mufti-o-mohtasib-o-vaaiz-o-qaazi-o-faqih teri aankhon se kahin koi bachaa hai saaqi vaaqif-e-raaz hai mai-khaana-e-hasti kaa 'naim' us ke honTon pe magar qufl-e-vafaa hai saaqi"
