"'alam uThaae hue mash'alein jalaae hue vafaa ke 'ahd-shanaason pe likh rahe hain ham nazar mili hi nahin tishnagi chali aai usi nazar ki talaashon pe likh rahe hain ham hai intisaab hamaaraa ba-naam-e-ahl-e-vafaa jafaa ke khel tamaashon pe likh rahe hain ham zaraa sanbhal ke tumhein aable bhi bannaa hai abhi badan ki kharaashon pe likh rahe hain ham ye din kisi ki adaaon pe she'r kahne ke the ye kyaa sitam hai ki laashon pe likh rahe hain ham bane the zinat-e-akhbaar jis ki surkhi se usi khabar ke taraashon pe likh rahe hain ham"
kahaan suntaa hai vo rudaad meri — Hammad Younus
"kahaan suntaa hai vo rudaad meri rahegi gunjti fariyaad meri sitaare Dhal rahe hain saath mere kaTi ik aur shab barbaad meri main ‘aql-e-naa-rasaa kaa kyaa karungaa rahe divaangi aabaad meri bahut rusvaa rahegaa naam teraa sadaa jab tak rahi aazaad meri yahaan main qaatilon mein ghir gayaa huun khudaayaa jald kar imdaad meri ye meri saltanat ye meri shaahi yahin pe masnad-e-irshaad meri main rukhsat ho rahaa huun shahr-e-jaan se yahaan rakkhi rahegi yaad meri main bujh kar raakh hotaa jaa rahaa huun sahar tak thi faqat mi'aad meri shikasta hai tiri shamshir lekin jabin par kham nahin jallaad meri nahin 'hammaad' main is aaine mein koi tasvir hai ham-zaad meri"
کہاں سنتا ہے وہ روداد میری رہے گی گونجتی فریاد میری ستارے ڈھل رہے ہیں ساتھ میرے کٹی اک اور شب برباد میری میں عقل نارسا کا کیا کروں گا رہے دیوانگی آباد میری بہت رسوا رہے گا نام تیرا صدا جب تک رہی آزاد میری یہاں میں قاتلوں میں گھر گیا ہوں خدایا جلد کر امداد میری یہ میری سلطنت یہ میری شاہی یہیں پہ مسند ارشاد میری میں رخصت ہو رہا ہوں شہر جاں سے یہاں رکھی رہے گی یاد میری میں بجھ کر راکھ ہوتا جا رہا ہوں سحر تک تھی فقط میعاد میری شکستہ ہے تری شمشیر لیکن جبیں پر خم نہیں جلاد میری نہیں حمادؔ میں اس آئنے میں کوئی تصویر ہے ہمزاد میری
कहाँ सुनता है वो रूदाद मेरी रहेगी गूँजती फ़रियाद मेरी सितारे ढल रहे हैं साथ मेरे कटी इक और शब बर्बाद मेरी मैं ‘अक़्ल-ए-ना-रसा का क्या करूँगा रहे दीवानगी आबाद मेरी बहुत रुस्वा रहेगा नाम तेरा सदा जब तक रही आज़ाद मेरी यहाँ मैं क़ातिलों में घिर गया हूँ ख़ुदाया जल्द कर इमदाद मेरी ये मेरी सल्तनत ये मेरी शाही यहीं पे मसनद-ए-इरशाद मेरी मैं रुख़्सत हो रहा हूँ शहर-ए-जाँ से यहाँ रक्खी रहेगी याद मेरी मैं बुझ कर राख होता जा रहा हूँ सहर तक थी फ़क़त मीआ'द मेरी शिकस्ता है तिरी शमशीर लेकिन जबीं पर ख़म नहीं जल्लाद मेरी नहीं 'हम्माद' मैं इस आइने में कोई तस्वीर है हम-ज़ाद मेरी

More by Hammad Younus
View all →"kyaa zulm hai ki zulm pe koi fughaan na ho lab hon nazar ho kaan hon lekin zabaan na ho ik saaebaan aur kahin DhunDhtaa huun main mumkin hai kal uDaan ko ye aasmaan na ho dekho jahaan-panaah zamaane ki gardishein tum ko mile panaah jahaan vo makaan na ho sab saarbaan rakht-e-safar baandhne ko hain kuchh dhaDkanon ki baat hai yuun sargiraan na ho yuun lauh-e-dil pe sabt kiyaa hai tumhaaraa 'aks ojhal sahi nigaah se lekin nihaan na ho ye ehtiyaat 'ishq mein laazim hai har ghaDi aankhon ki vaardaat zabaan se bayaan na ho paakiza main ne jaam ko thaamaa hai mohtasib paakizgi ki baat hai to bad-gumaan na ho 'hammaad' ke nasib mein ye fursatein kahaan barkhaa ki rut ho aur tumhaaraa dhiyaan na ho"
"mujhe zindagi se shikaayat rahi hai zaraa kam mire paas mohlat rahi hai baDi der tak yaad rakkheinge tum ko baDi der tak ye 'adaavat rahi hai zaraa mushk-baari si hai mere dil mein yahaan meri pahli mohabbat rahi hai mire munh pe kyon is qadar silvaTein hain mujhe muskuraane ki 'aadat rahi hai kabhi ru-baru baiTh kar baat karte dilaa kyaa ghazab tujh ko hasrat rahi hai kisi naam par dard baDh saa gayaa hai usi naam par ek raahat rahi hai tujhe kaun 'hammaad' yaad aa gayaa thaa baDi muztarib teri haalat rahi hai"
"ye shab mujh se kinaara kar rahi hai baDaa ghaaTe kaa saudaa kar rahi hai na puchho meri rusvaai kaa 'aalam chalo khilqat tamaashaa kar rahi hai hujum-e-shahr-e-naa-pursaan mein ham ko mohabbat kaise tanhaa kar rahi hai main Dhalti shaam kaa manzar huaa huun sahar ab mujh se parda kar rahi hai zaraa chakh lijiye naa hazrat-e-shaikh ye mai kab se taqaazaa kar rahi hai nigaah-e-shauq kaa 'aalam na puchho tavaaf-e-ru-e-zebaa kar rahi hai nahin 'hammaad' chaarasaaz koi shab-e-gham khud dilaasa kar rahi hai"
"zindagi ko sazaa samajhte ho dard ko laa-davaa samajhte ho main to samjhaa thaa mukhtalif ho tum tum bhi mujh ko buraa samajhte ho main tumhaari talab karungaa kyaa yaar tum khud ko kyaa samajhte ho ek aansu bhi bah nahin paayaa zabt ki intihaa samajhte ho us ke haathon hi naav Dubegi tum jise naakhudaa samajhte ho main shikasta bhi huun to shisha huun jaise ik aaina samajhte ho khaa rahaa huun main aarzu kaa fareb aagahi kaa sila samajhte ho"
"furaat-e-dahr se aage saraab dekh zaraa hisaab maang rahe hain janaab dekh zaraa jahaan-jahaan bhi bahaaron pe tere pahre hain vahaan-vahaan pe khileinge gulaab dekh zaraa miTe miTe ye mazaamin muDe muDe auraaq khuli hai 'umr-e-ravaan ki kitaab dekh zaraa kisi ke naam hui ibtidaa kisi pe tamaam hayaat saari hui intisaab dekh zaraa siyaah raat ke daaman se jhaanktaa kaabus mujhe pukaar ke kahtaa hai khvaab dekh zaraa kise qubul nahin shahr-e-aarzu kaa fareb magar dayaar-e-tamanna ke baab dekh zaraa niraa fareb hai nairangi-e-khayaal ki rau hubaab dekh zaraa iztiraab dekh zaraa ki sar-burida hain 'hammaad' munkir-e-bai'at ye ahd-naama-e-'izzat-maaab dekh zaraa"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"