SHAWORDS

'alam uThaae hue mash'alein jalaae hue — Hammad Younus

HomeHammad YounusGhazal
"'alam uThaae hue mash'alein jalaae hue vafaa ke 'ahd-shanaason pe likh rahe hain ham nazar mili hi nahin tishnagi chali aai usi nazar ki talaashon pe likh rahe hain ham hai intisaab hamaaraa ba-naam-e-ahl-e-vafaa jafaa ke khel tamaashon pe likh rahe hain ham zaraa sanbhal ke tumhein aable bhi bannaa hai abhi badan ki kharaashon pe likh rahe hain ham ye din kisi ki adaaon pe she'r kahne ke the ye kyaa sitam hai ki laashon pe likh rahe hain ham bane the zinat-e-akhbaar jis ki surkhi se usi khabar ke taraashon pe likh rahe hain ham"
Urdu

علم اٹھائے ہوئے مشعلیں جلائے ہوئے وفا کے عہد شناسوں پہ لکھ رہے ہیں ہم نظر ملی ہی نہیں تشنگی چلی آئی اسی نظر کی تلاشوں پہ لکھ رہے ہیں ہم ہے انتساب ہمارا بنام اہل وفا جفا کے کھیل تماشوں پہ لکھ رہے ہیں ہم ذرا سنبھل کے تمہیں آبلے بھی بننا ہے ابھی بدن کی خراشوں پہ لکھ رہے ہیں ہم یہ دن کسی کی اداؤں پہ شعر کہنے کے تھے یہ کیا ستم ہے کہ لاشوں پہ لکھ رہے ہیں ہم بنے تھے زینت اخبار جس کی سرخی سے اسی خبر کے تراشوں پہ لکھ رہے ہیں ہم

Hindi

'अलम उठाए हुए मश'अलें जलाए हुए वफ़ा के 'अह्द-शनासों पे लिख रहे हैं हम नज़र मिली ही नहीं तिश्नगी चली आई उसी नज़र की तलाशों पे लिख रहे हैं हम है इंतिसाब हमारा बनाम-ए-अहल-ए-वफ़ा जफ़ा के खेल तमाशों पे लिख रहे हैं हम ज़रा सँभल के तुम्हें आबले भी बनना है अभी बदन की ख़राशों पे लिख रहे हैं हम ये दिन किसी की अदाओं पे शे'र कहने के थे ये क्या सितम है कि लाशों पे लिख रहे हैं हम बने थे ज़ीनत-ए-अख़बार जिस की सुर्ख़ी से उसी ख़बर के तराशों पे लिख रहे हैं हम

'alam uThā.e hue mash'aleñ jalā.e hue
Hammad Younus
Hammad Younus
Hammad Younus
poet14 quotes

More by Hammad Younus

View all →
Quote
"kyaa zulm hai ki zulm pe koi fughaan na ho lab hon nazar ho kaan hon lekin zabaan na ho ik saaebaan aur kahin DhunDhtaa huun main mumkin hai kal uDaan ko ye aasmaan na ho dekho jahaan-panaah zamaane ki gardishein tum ko mile panaah jahaan vo makaan na ho sab saarbaan rakht-e-safar baandhne ko hain kuchh dhaDkanon ki baat hai yuun sargiraan na ho yuun lauh-e-dil pe sabt kiyaa hai tumhaaraa 'aks ojhal sahi nigaah se lekin nihaan na ho ye ehtiyaat 'ishq mein laazim hai har ghaDi aankhon ki vaardaat zabaan se bayaan na ho paakiza main ne jaam ko thaamaa hai mohtasib paakizgi ki baat hai to bad-gumaan na ho 'hammaad' ke nasib mein ye fursatein kahaan barkhaa ki rut ho aur tumhaaraa dhiyaan na ho"
Hammad YounusHammad Younus
Quote
"kahaan suntaa hai vo rudaad meri rahegi gunjti fariyaad meri sitaare Dhal rahe hain saath mere kaTi ik aur shab barbaad meri main ‘aql-e-naa-rasaa kaa kyaa karungaa rahe divaangi aabaad meri bahut rusvaa rahegaa naam teraa sadaa jab tak rahi aazaad meri yahaan main qaatilon mein ghir gayaa huun khudaayaa jald kar imdaad meri ye meri saltanat ye meri shaahi yahin pe masnad-e-irshaad meri main rukhsat ho rahaa huun shahr-e-jaan se yahaan rakkhi rahegi yaad meri main bujh kar raakh hotaa jaa rahaa huun sahar tak thi faqat mi'aad meri shikasta hai tiri shamshir lekin jabin par kham nahin jallaad meri nahin 'hammaad' main is aaine mein koi tasvir hai ham-zaad meri"
Hammad YounusHammad Younus
Quote
"mujhe zindagi se shikaayat rahi hai zaraa kam mire paas mohlat rahi hai baDi der tak yaad rakkheinge tum ko baDi der tak ye 'adaavat rahi hai zaraa mushk-baari si hai mere dil mein yahaan meri pahli mohabbat rahi hai mire munh pe kyon is qadar silvaTein hain mujhe muskuraane ki 'aadat rahi hai kabhi ru-baru baiTh kar baat karte dilaa kyaa ghazab tujh ko hasrat rahi hai kisi naam par dard baDh saa gayaa hai usi naam par ek raahat rahi hai tujhe kaun 'hammaad' yaad aa gayaa thaa baDi muztarib teri haalat rahi hai"
Hammad YounusHammad Younus
Quote
"ye shab mujh se kinaara kar rahi hai baDaa ghaaTe kaa saudaa kar rahi hai na puchho meri rusvaai kaa 'aalam chalo khilqat tamaashaa kar rahi hai hujum-e-shahr-e-naa-pursaan mein ham ko mohabbat kaise tanhaa kar rahi hai main Dhalti shaam kaa manzar huaa huun sahar ab mujh se parda kar rahi hai zaraa chakh lijiye naa hazrat-e-shaikh ye mai kab se taqaazaa kar rahi hai nigaah-e-shauq kaa 'aalam na puchho tavaaf-e-ru-e-zebaa kar rahi hai nahin 'hammaad' chaarasaaz koi shab-e-gham khud dilaasa kar rahi hai"
Hammad YounusHammad Younus
Quote
"furaat-e-dahr se aage saraab dekh zaraa hisaab maang rahe hain janaab dekh zaraa jahaan-jahaan bhi bahaaron pe tere pahre hain vahaan-vahaan pe khileinge gulaab dekh zaraa miTe miTe ye mazaamin muDe muDe auraaq khuli hai 'umr-e-ravaan ki kitaab dekh zaraa kisi ke naam hui ibtidaa kisi pe tamaam hayaat saari hui intisaab dekh zaraa siyaah raat ke daaman se jhaanktaa kaabus mujhe pukaar ke kahtaa hai khvaab dekh zaraa kise qubul nahin shahr-e-aarzu kaa fareb magar dayaar-e-tamanna ke baab dekh zaraa niraa fareb hai nairangi-e-khayaal ki rau hubaab dekh zaraa iztiraab dekh zaraa ki sar-burida hain 'hammaad' munkir-e-bai'at ye ahd-naama-e-'izzat-maaab dekh zaraa"
Hammad YounusHammad Younus

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb