"shohratein de 'izzatein de taaliyaan de shaa'iri haan magar is se bhi pahle roTiyaan de shaa'iri is jahaan mein pyaar ko miltaa nahin hai pyaar hi mere lahje mein balaa ki talkhiyaan de shaa'iri vaaqa'i jo naam-levaa hain tire sansaar mein kam se kam un ko to mat gum-naamiyaan de shaa'iri kab talak dekhein yahaan dekhi dikhaai zindagi zindagi mein nit nai hairaaniyaan de shaa'iri ab ke bhi tyauhaar par vo she'r hi sun ro paDi kaan mein beTi ke ab ke baaliyaan de shaa'iri jin charaaghon ne tiraa ghar raushni se bhar diyaa un ko ujrat mein bhalaa kyuun aandhiyaan de shaa'iri jin se teri mahfilein aabaad hain shaadaab hain un ko tohfe mein na yuun barbaadiyaan de shaa'iri vaaqa'i 'kaamil' banaanaa chaahti hai gar mujhe to mujhe zakhm-e-hunar ki sipiyaan de shaa'iri"
kasmasaati taDphaDaati zindagi ke saath hain — Deepak Kamil
"kasmasaati taDphaDaati zindagi ke saath hain phir bhi dekho lab hamaare khaamoshi ke saath hain puchhtaa koi jo ham se to bataate ham use kyon bhalaa ham hi khushi se naa-khushi ke saath hain daad diije hausle ki aur hamaare zabt ki zindagi ko jaan kar bhi zindagi ke saath hain haal apnaa kyaa sunaaein tum faqat ye jaan lo raushni ke shahr se hain tirgi ke saath hain zakhm dene vaale koi chaand se aate nahin vo yahin maujud hain aur aap hi ke saath hain"
کسمساتی تڑپھڑاتی زندگی کے ساتھ ہیں پھر بھی دیکھو لب ہمارے خاموشی کے ساتھ ہیں پوچھتا کوئی جو ہم سے تو بتاتے ہم اسے کیوں بھلا ہم ہی خوشی سے ناخوشی کے ساتھ ہیں داد دیجے حوصلے کی اور ہمارے ضبط کی زندگی کو جان کر بھی زندگی کے ساتھ ہیں حال اپنا کیا سنائیں تم فقط یہ جان لو روشنی کے شہر سے ہیں تیرگی کے ساتھ ہیں زخم دینے والے کوئی چاند سے آتے نہیں وہ یہیں موجود ہیں اور آپ ہی کے ساتھ ہیں
कसमसाती तड़फड़ाती ज़िंदगी के साथ हैं फिर भी देखो लब हमारे ख़ामोशी के साथ हैं पूछता कोई जो हम से तो बताते हम उसे क्यों भला हम ही ख़ुशी से ना-ख़ुशी के साथ हैं दाद दीजे हौसले की और हमारे ज़ब्त की ज़िंदगी को जान कर भी ज़िंदगी के साथ हैं हाल अपना क्या सुनाएँ तुम फ़क़त ये जान लो रौशनी के शह्र से हैं तीरगी के साथ हैं ज़ख़्म देने वाले कोई चाँद से आते नहीं वो यहीं मौजूद हैं और आप ही के साथ हैं

More by Deepak Kamil
View all →"chalne do jaise chalti hai bahti hui havaa saansein ukhaaD deti hai Thahri hui havaa un ke hunar kaa shor bhi qaabil hai daad ke jin ko mili nasib mein sahmi hui havaa is se vafaa ki chhoD dein ummid aap bhi is ki hui na ye kabhi us ki hui havaa chup si khaDi havaa ko na aankhein dikhaaiye pagDi uchhaal degi ye bigDi hui havaa behad khushi se kaaTiye peDon ko aap to dekhi nahin hai aap ne jalti hui havaa"
"jangalon kaa saahilon kaa vaadiyon kaa kyaa karein jab maza hai raaston mein manzilon kaa kyaa karein aadmi kaa kyaa karein ye sochti hain 'auratein aadmi ye sochte hain 'auraton kaa kyaa karein zindagi kaa aaina jab har ghaDi ho saamne ghar mein rakh kar ham bhalaa phir aainon kaa kyaa karein ham bhi auron ki tarah mahfuz ji lete magar kyaa karein ham kyaa karein in hauslon kaa kyaa karein 'aadatan kar hi diyaa ham ne to un kaa zikr phir dil ko to ham rok lein par 'aadaton kaa kyaa karein dosti ko chhoD kar har kaam yaaron ne kiyaa aap hi batlaaiye in doston kaa kyaa karein aap kyuun karte nahin hain karne vaale kaam ko aap ki 'kaamil' inhin ham ghaflaton kaa kyaa karein"
"parinde ko bharam hai uD rahaa hai uDaane vaalaa koi dusraa hai gharaz ki Dor se lipTe hain varna jahaan mein kaun kis ko chaahtaa hai unhein bas bhuul hi sakte nahin ham agarche bhulne kaa qaa'eda hai bhalaa is dil saa paaji kaun hogaa hamaare saath hai aur laapata hai bharosa toDne vaalaa yahaan par 'ajab hai ki bharosa chaahtaa hai hamaare khaatme kaa sochnaa hi tumhaare khaatme ki ibtidaa hai yaqinan raaste to hain kai par khamoshi raaston kaa raastaa hai baDaa mushkil hai kuchh vo DhunDhnaa jo hamaare paas hai aur kaam kaa hai bhalaa vo baadshah kaise banegaa ghulaamon ki tarah jo sochtaa hai agar hai dusron par to hai ghaatak bharosa khud pe hai to kaam kaa hai muqaddar khinch laaya ham ko varna khushi se kaun ghar ko chhoDtaa hai kisi bhi vaar se dushman ko 'kaamil' nazar-andaaz karnaa maartaa hai"
"jo nahin rakhni thiin vo sab chuppiyaan mahfuz hain aap ko bheji nahin jo chiTThiyaan mahfuz hain jism se zinda huun lekin man miraa hai mar chukaa yaa'ni bal to jal chuke hain rassiyaan mahfuz hain aa gayaa daftar mein kyon main ghar se bach kar aaj bhi jab ki meri saal bhar ki chhuTTiyaan mahfuz hain tab talak dene paDeinge paas hone ke subut duriyaan jab tak hamaare darmiyaan mahfuz hain muflison ko di thiin jitni aap ne vo sab ki sab naama-e-aa'maal mein vo siskiyaan mahfuz hain sochtaa huun yaad aanaa aap kaa aakhir hai kyaa jal chukaa hai peD to kyon pattiyaan mahfuz hain dil mein teri yaad ki jo bas gai hain bastiyaan jal rahaa hai dil magar vo bastiyaan mahfuz hain is qadar khud ko sataanaa zakhm khaanaa bhulnaa aap mein 'kaamil' ye kaisi khubiyaan mahfuz hain"
"log samajhte rah jaaeinge ek paheli ho jaaegi bhiiD ko main ne chhoD diyaa to bhiiD akeli ho jaaegi divaanon ki sohbat mein yuun aur to kuchh ho naa ho lekin itnaa tai hai nindein bairi raat saheli ho jaaegi 'ishq mein rusvaa 'ishq mein tanhaa hone vaale jhuThe hain sab kar ke dekho subh-e-banaaras shaam-e-bareli ho jaaegi jis pal bhi dekhegi tujh ko us pal se main Dartaa huun aankh miri ziddi bachche ki band hatheli ho jaaegi"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"