"ye koi baagh nahin phuul khilaae jaaein dasht mein aae hain to khaak uDaae jaaein sab biThaate hain hamein mansab-o-masnad pe magar ham ye chaahein ki tire saath biThaae jaaein ungliyaan kaan mein Thunse hue phirte hain sabhi aap aavaaz lagaate hain lagaae jaaein bas isi shart pe aankhein tumhein de saktaa huun in ko dekhe hue manzar na dikhaae jaaein inhin yaadon ke sahaare hi tiraa hijr kaTe ye parinde miri chhat se na uDaae jaaein aasmaan chhune kaa haq aap kaa taslim hamein kuchh ta'alluq to zamin se bhi nibhaae jaaein"
khaamoshi tiri chikh se ye bhed khulaa hai — Faisal Tufail
"khaamoshi tiri chikh se ye bhed khulaa hai sannaaTe se bhi lipTi hui koi sadaa hai ai zauq-e-nazar dekh tire saamne kyaa hai kohna hi sahi aankh pe manzar to nayaa hai vo chaand na niklaa to sitaare bhi the gum-sum suraj bhi bahut der se bedaar huaa hai chal tujh ko liye jaataa huun dikhlaane samundar dariyaa miri kashti mein jo tu baiTh gayaa hai vaajib hai ise chuum ke aankhon se lagaaun ik harf jo tasbih-e-mohabbat se giraa hai manzil se kabhi meri shanaasaai nahin thi rasta hi miraa yaar thaa jo ruuTh gayaa hai charchaa hai bahut shahr mein jis mauj-e-numu kaa vo khvaab miri aankh se hi Tapkaa huaa hai ai surat-e-mahtaab tiraa haath bhi aakhir lahron ki ravaani mein kahin chhuT gayaa hai"
خاموشی تری چیخ سے یہ بھید کھلا ہے سناٹے سے بھی لپٹی ہوئی کوئی صدا ہے اے ذوق نظر دیکھ ترے سامنے کیا ہے کہنہ ہی سہی آنکھ پہ منظر تو نیا ہے وہ چاند نہ نکلا تو ستارے بھی تھے گم صم سورج بھی بہت دیر سے بیدار ہوا ہے چل تجھ کو لئے جاتا ہوں دکھلانے سمندر دریا مری کشتی میں جو تو بیٹھ گیا ہے واجب ہے اسے چوم کے آنکھوں سے لگاؤں اک حرف جو تسبیح محبت سے گرا ہے منزل سے کبھی میری شناسائی نہیں تھی رستہ ہی مرا یار تھا جو روٹھ گیا ہے چرچا ہے بہت شہر میں جس موج نمو کا وہ خواب مری آنکھ سے ہی ٹپکا ہوا ہے اے صورت مہتاب ترا ہاتھ بھی آخر لہروں کی روانی میں کہیں چھوٹ گیا ہے
ख़ामोशी तिरी चीख़ से ये भेद खुला है सन्नाटे से भी लिपटी हुई कोई सदा है ऐ ज़ौक़-ए-नज़र देख तिरे सामने क्या है कोहना ही सही आँख पे मंज़र तो नया है वो चाँद न निकला तो सितारे भी थे गुमसुम सूरज भी बहुत देर से बेदार हुआ है चल तुझ को लिए जाता हूँ दिखलाने समंदर दरिया मिरी कश्ती में जो तू बैठ गया है वाजिब है इसे चूम के आँखों से लगाऊँ इक हर्फ़ जो तस्बीह-ए-मोहब्बत से गिरा है मंज़िल से कभी मेरी शनासाई नहीं थी रस्ता ही मिरा यार था जो रूठ गया है चर्चा है बहुत शहर में जिस मौज-ए-नुमू का वो ख़्वाब मिरी आँख से ही टपका हुआ है ऐ सूरत-ए-महताब तिरा हाथ भी आख़िर लहरों की रवानी में कहीं छूट गया है

More by Faisal Tufail
View all →"zabaan se kuchh na kahaa an-kahi ne saath diyaa kali se milte hue bekali ne saath diyaa ye baat sunte hi aansu nikal paDe the mire mileinge phir se agar zindagi ne saath diyaa udaas shaam akele main jheltaa kaise tumhaari yaad thi aur baansuri ne saath diyaa guzarnaa jaan se aasaan to nahin thaa magar bhalaa ho yaar jo is be-dili ne saath diyaa safar to khair safar thaa guzar hi jaanaa thaa jo tum na aae to ik ajnabi ne saath diyaa vo mujh ko chhoD ke jaataa to mar na jaataa main chalaa gayaa hai magar phir usi ne saath diyaa tumhein ye kis ne kahaa hai diyaa diye se jale main jal rahaa thaa to meraa kisi ne saath diyaa main nasl-e-tirgi ke vaar sah rahaa thaa bahut phir ik charaagh jani raushni ne saath diyaa"
"ik baar jo milaa thaa to khoyaa nahin gayaa is tarh vo gayaa hai ki goyaa nahin gayaa kal raat teri yaad thi kamre mein yaa ki tu is darja raushni thi ki soyaa nahin gayaa mujh ko ye e'tiraaf hai ki naa-tavaan huun main mujh se miraa vujud bhi Dhoyaa nahin gayaa aansu Thahar gae hain mire us ke gaal par shabnam se is gulaab ko dhoyaa nahin gayaa phir main ne qahqahe kaa sahaaraa liyaa hai aaj dukh is qadar ziyaada thaa royaa nahin gayaa vo lutf-e-'ishq ho ki sitam-haa-e-rozgaar mujh ko kisi laDi mein piroyaa nahin gayaa phir kis samar ki tum ho tamanna liye hue gar khud ko bhi zamin mein boyaa nahin gayaa"
"vaqt ki rau ko ravaani se nikaalaa jaae chand lamhon ko giraani se nikaalaa jaae mujh ko to khinch liyaa dast-e-junun ne lekin ab miraa 'aks bhi paani se nikaalaa jaae muddaton us ki raqaabat ko sahaa hai ham ne ab ye kirdaar kahaani se nikaalaa jaae zahr-aalud hui jaati hai khushbu is se saanp ko raat ki raani se nikaalaa jaae phir huaa lashkar-e-fir'aun muqaabil 'faisal' raasta phir koi paani se nikaalaa jaae"
"kaise kaise kamaal kartaa huun sang ko ham-khayaal kartaa huun khvaab khud ro hain saare aankhon mein main faqat dekh-bhaal kartaa huun ek hi kaam thaa mohabbat kaa vo bhi ab khaal-khaal kartaa huun kyaa mujhe raaegaan hi jaanaa hai khud se aksar savaal kartaa huun sab manaazir se bach nikalne ko ik takhayyul ko Dhaal kartaa huun meraa ronaa misaal hai lekin raqs bhi be-misaal kartaa huun raushni bhar gai hai yuun mujh mein chaand ko dil khayaal kartaa huun"
"duniyaa ki rah pe yaar hamaaraa bhi chal paDaa jis Tek par the ham vo sahaaraa bhi chal paDaa aankhein bandhi hui thiin manaazir ki Dor se kashti chali to saath kinaaraa bhi chal paDaa haalaanki aazmaayaa huaa thaa vo ek baar lekin main us ke saath dubaara bhi chal paDaa mushkil thaa intizaar so suraj ko DhunDne hamraah mere subh kaa taaraa bhi chal paDaa dil mein jo aag thi vahi honTon pe aa gai lafzon ki aaD le ke sharaara bhi chal paDaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"