SHAWORDS

khud ki hi qurbaani hai — Amit Satpal Tanwar

"khud ki hi qurbaani hai mujh ko iid manaani hai tauba tauba tauba haae ishq baDaa man-maani hai raste raste kaanTe hain kaise jaan bachaani hai dariyaa dariyaa sukhaa-pan sab ki aankhein paani hai tere ishq ki havaa chale apni khaak uDaani hai meri aankhein chamak uThi vo chehra nuraani hai mere pichhe ik laDki raadhaa si divaani hai"
Urdu

خود کی ہی قربانی ہے مجھ کو عید منانی ہے توبہ توبہ توبہ ہائے عشق بڑا من مانی ہے رستے رستے کانٹے ہیں کیسے جان بچانی ہے دریا دریا سوکھا پن سب کی آنکھیں پانی ہے تیرے عشق کی ہوا چلے اپنی خاک اڑانی ہے میری آنکھیں چمک اٹھی وہ چہرہ نورانی ہے میرے پیچھے اک لڑکی رادھا سی دیوانی ہے

Hindi

ख़ुद की ही क़ुर्बानी है मुझ को ईद मनानी है तौबा तौबा तौबा हाए इश्क़ बड़ा मन-मानी है रस्ते रस्ते काँटे हैं कैसे जान बचानी है दरिया दरिया सूखा-पन सब की आँखें पानी है तेरे इश्क़ की हवा चले अपनी ख़ाक उड़ानी है मेरी आँखें चमक उठी वो चेहरा नूरानी है मेरे पीछे इक लड़की राधा सी दीवानी है

ḳhud kī hī qurbānī hai
Amit Satpal Tanwar
Amit Satpal Tanwar
Amit Satpal Tanwar
poet7 quotes

More by Amit Satpal Tanwar

View all →
Quote
"kahin zamin ke paar aur aasmaan ke paar parinde DhunD rahe hain ghar is jahaan ke paar main thak chukaa huun tiraa intizaar karte hue magar pukaar rahaa hai koi thakaan ke paar bichhaD ke ro rahaa hai is qadar kahaani se pahunch gayaa thaa vo kirdaar daastaan ke paar main tere vasl ki shiddat se khuub vaaqif huun mujhe milo to milo jism ke makaan ke paar tumhaare zikr kaa meaar khuub gahraa hai khamoshiyon se kahin aage is zabaan ke paar yaqin kaa haath pakaD lo ye mashvara hai miraa bas ek ujDaa huaa dasht hai gumaan ke paar"
Amit Satpal TanwarAmit Satpal Tanwar
Quote
"ye sannaaTaa hai main huun chaandni mein mazaa bhi khuub hai aavaargi mein labon par muskuraahaT gaal giile tiraa gham ghul gayaa meri khushi mein zaraa si der ko khiDki jo khole farishte ghumeinge us ki gali mein ghaDi ke pair thakte hi nahin kyaa ghaDi ijaad ki thi kis ghaDi mein jo miTTi ke banaae the khudaa ne ye aise log hai kuza-gari mein jo but-khaane mein tujh ko soch lein to bhaTak jaate hain rasta bandagi mein miri pahli mohabbat tum thi jaanaan tumhein zinda rakhungaa shaairi mein"
Amit Satpal TanwarAmit Satpal Tanwar
Quote
"laash ki tarah ho chukaa huun main jaane kis tarah ji rahaa huun main khud ke andar hi qaid ho baiThaa apne pinjre mein hi paDaa huun main sirf yaadein mileingi kamre mein ab yahaan se chalaa gayaa huun main kaun mujh ko ghumaataa rahtaa hai kis ki ungli pe naachtaa huun main main jo manzil pe khud nahin pahunchaa usi manzil kaa raasta huun main aansu meri hansi uDaate hai muskuraahaT pe ro liyaa huun main zahr yuun hi piyegaa ab mujh ko huaa yuun zahr pi chukaa huun main ruuh se kuchh kharidnaa hai mujhe jism ko saansein bechtaa huun main kho diyaa raushni mein apnaa vujud ab andheron mein DhunDhtaa huun main mere pichhe koi na roegaa maut ke saath jaa rahaa huun main"
Amit Satpal TanwarAmit Satpal Tanwar

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar