SHAWORDS

khud ko masruf-e-ibaadat kar diyaa — Dard Sironji

HomeDard SironjiGhazal
"khud ko masruf-e-ibaadat kar diyaa hasraton ko dil se rukhsat kar diyaa ho gaiin aasaan saari manzilein dil ko paaband-e-shariat kar diyaa tujh se pahle meri qimat kuchh na thi tu ne mujh ko besh-qimat kar diyaa muflisi mein thi muravvat dosto maal-o-zar ne be-muravvat kar diyaa dard ban kar zindagi ne ek din raahaton ko ghar se rukhsat kar diyaa"
Urdu

خود کو مصروف عبادت کر دیا حسرتوں کو دل سے رخصت کر دیا ہو گئیں آسان ساری منزلیں دل کو پابند شریعت کر دیا تجھ سے پہلے میری قیمت کچھ نہ تھی تو نے مجھ کو بیش قیمت کر دیا مفلسی میں تھی مروت دوستو مال و زر نے بے مروت کر دیا درد بن کر زندگی نے ایک دن راحتوں کو گھر سے رخصت کر دیا

Hindi

ख़ुद को मसरूफ़-ए-इबादत कर दिया हसरतों को दिल से रुख़्सत कर दिया हो गईं आसान सारी मंज़िलें दिल को पाबंद-ए-शरीअ'त कर दिया तुझ से पहले मेरी क़ीमत कुछ न थी तू ने मुझ को बेश-क़ीमत कर दिया मुफ़्लिसी में थी मुरव्वत दोस्तो माल-ओ-ज़र ने बे-मुरव्वत कर दिया दर्द बन कर ज़िंदगी ने एक दिन राहतों को घर से रुख़्सत कर दिया

ḳhud ko masrūf-e-ibādat kar diyā
Dard Sironji
Dard Sironji
Dard Sironji
poet20 quotes

More by Dard Sironji

View all →
Quote
"zamaane ko khud se na anjaan rakh koi munfarid apni pahchaan rakh mahak jaae khushbu se saaraa jahaan sajaa kar mohabbat kaa gul-daan rakh jo hai kaamyaabi ki chaahat tujhe nazar apni manzil pe har aan rakh tiraa kyaa bigaaDegaa zaalim jahaan tu himmat ki siine mein chaTTaan rakh rag-e-jaan hai biivi agarche tiri tu maan-baap kaa bhi magar dhyaan rakh dikhaaegaa tujh ko khudaa ek din madine kaa dil mein tu armaan rakh phir ehsaas hogaa tujhe 'dard' kaa dar-e-dil pe khun-rang darbaan rakh"
Dard SironjiDard Sironji
Quote
"gulshan mein thi bahaar abhi kal ki baat hai phulon pe thaa nikhaar abhi kal ki baat hai tum hi hamaare vaaste takte the rah-guzar karte the intizaar abhi kal ki baat hai phulon ki tarah jin ko rakhaa jaan se 'aziz ban kar chhupe hain khaar abhi kal ki baat hai us ne bahut chhupaae magar gham na chhup sake aankhein thiin ashk-baar abhi kal ki baat hai vo zindagi se meri bahut duur ho gayaa thaa meraa gham-gusaar abhi kal ki baat hai ai 'dard' tu bhi meri nigaahon se gir gayaa kartaa thaa tujh ko pyaar abhi kal ki baat hai"
Dard SironjiDard Sironji
Quote
"hamesha maannaa ai yaar mashvara dil kaa kabhi ghalat nahin hotaa hai faisla dil kaa baDaa ajiib hai yaaro moaamla dil kaa gham-o-alam se hai din raat vaasta dil kaa alaava is ke na hamdam na koi rahbar hai hujum-e-gham liye phirtaa hai qaafila dil kaa kabhi khushi se kabhi gham mein kyon dhaDaktaa hai samajh mein kuchh nahin aataa hai falsafa dil kaa tamaam jism ke aazaa pe hukmraani hai khudaa ne khuub banaayaa hai martaba dil kaa milein to milne ki rahti hai aarzu dil mein ulajh rahaa hai kai din se masala dil kaa tujhe banaaeinge apnaa banaaeinge apnaa koi badal nahin saktaa hai faisla dil kaa agar aziiz hai tum ko sukun-e-dil yaaro banaae rakhnaa hasinon se faasla dil kaa ghamon kaa bojh masaaib hon yaa pareshaani kabhi na chhoDnaa ai 'dard' hausla dil kaa"
Dard SironjiDard Sironji

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb