"zamaane ko khud se na anjaan rakh koi munfarid apni pahchaan rakh mahak jaae khushbu se saaraa jahaan sajaa kar mohabbat kaa gul-daan rakh jo hai kaamyaabi ki chaahat tujhe nazar apni manzil pe har aan rakh tiraa kyaa bigaaDegaa zaalim jahaan tu himmat ki siine mein chaTTaan rakh rag-e-jaan hai biivi agarche tiri tu maan-baap kaa bhi magar dhyaan rakh dikhaaegaa tujh ko khudaa ek din madine kaa dil mein tu armaan rakh phir ehsaas hogaa tujhe 'dard' kaa dar-e-dil pe khun-rang darbaan rakh"
hamesha maannaa ai yaar mashvara dil kaa — Dard Sironji
"hamesha maannaa ai yaar mashvara dil kaa kabhi ghalat nahin hotaa hai faisla dil kaa baDaa ajiib hai yaaro moaamla dil kaa gham-o-alam se hai din raat vaasta dil kaa alaava is ke na hamdam na koi rahbar hai hujum-e-gham liye phirtaa hai qaafila dil kaa kabhi khushi se kabhi gham mein kyon dhaDaktaa hai samajh mein kuchh nahin aataa hai falsafa dil kaa tamaam jism ke aazaa pe hukmraani hai khudaa ne khuub banaayaa hai martaba dil kaa milein to milne ki rahti hai aarzu dil mein ulajh rahaa hai kai din se masala dil kaa tujhe banaaeinge apnaa banaaeinge apnaa koi badal nahin saktaa hai faisla dil kaa agar aziiz hai tum ko sukun-e-dil yaaro banaae rakhnaa hasinon se faasla dil kaa ghamon kaa bojh masaaib hon yaa pareshaani kabhi na chhoDnaa ai 'dard' hausla dil kaa"
ہمیشہ ماننا اے یار مشورہ دل کا کبھی غلط نہیں ہوتا ہے فیصلہ دل کا بڑا عجیب ہے یارو معاملہ دل کا غم و الم سے ہے دن رات واسطہ دل کا علاوہ اس کے نہ ہمدم نہ کوئی رہبر ہے ہجوم غم لئے پھرتا ہے قافلہ دل کا کبھی خوشی سے کبھی غم میں کیوں دھڑکتا ہے سمجھ میں کچھ نہیں آتا ہے فلسفہ دل کا تمام جسم کے اعضا پہ حکمرانی ہے خدا نے خوب بنایا ہے مرتبہ دل کا ملیں تو ملنے کی رہتی ہے آرزو دل میں الجھ رہا ہے کئی دن سے مسئلہ دل کا تجھے بنائیں گے اپنا بنائیں گے اپنا کوئی بدل نہیں سکتا ہے فیصلہ دل کا اگر عزیز ہے تم کو سکون دل یارو بنائے رکھنا حسینوں سے فاصلہ دل کا غموں کا بوجھ مصائب ہوں یا پریشانی کبھی نہ چھوڑنا اے دردؔ حوصلہ دل کا
हमेशा मानना ऐ यार मशवरा दिल का कभी ग़लत नहीं होता है फ़ैसला दिल का बड़ा अजीब है यारो मोआमला दिल का ग़म-ओ-अलम से है दिन रात वास्ता दिल का अलावा इस के न हमदम न कोई रहबर है हुजूम-ए-ग़म लिए फिरता है क़ाफ़िला दिल का कभी ख़ुशी से कभी ग़म में क्यों धड़कता है समझ में कुछ नहीं आता है फ़ल्सफ़ा दिल का तमाम जिस्म के आ'ज़ा पे हुक्मरानी है ख़ुदा ने ख़ूब बनाया है मर्तबा दिल का मिलें तो मिलने की रहती है आरज़ू दिल में उलझ रहा है कई दिन से मसअला दिल का तुझे बनाएँगे अपना बनाएँगे अपना कोई बदल नहीं सकता है फ़ैसला दिल का अगर अज़ीज़ है तुम को सुकून-ए-दिल यारो बनाए रखना हसीनों से फ़ासला दिल का ग़मों का बोझ मसाइब हों या परेशानी कभी न छोड़ना ऐ 'दर्द' हौसला दिल का

More by Dard Sironji
View all →"aish-o-ishrat bhare ayyaam se Dar lagtaa hai zindagaani tire anjaam se Dar lagtaa hai ji rahaa huun magar is darja haraasaan ho kar subh hoti hai to phir shaam se Dar lagtaa hai be-khudi le ke chali hai mujhe manzil ki taraf ab mujhe hosh ke paighaam se Dar lagtaa hai ungliyaan uThne na lag jaaein kahin ghairon ki rahne do aap ke inaam se Dar lagtaa hai dard baDh jaae na is tir-e-nazar ko roko aap ke saath to anjaam se Dar lagtaa hai"
"us zulf-e-girah-gir kaa bal khaanaa nayaa hai is bazm mein shaayad koi divaana nayaa hai aayaa hai baDe shauq se mahfil mein sitamgar ai shama zaraa soch le parvaana nayaa hai dekhein hain zamaane mein hasin aur bhi lekin us ghairat-e-gul-naaz kaa itraanaa nayaa hai ai rind qadam apnaa zaraa soch ke rakhnaa saaqi bhi nayaa aur ye mai-khaana nayaa hai afsaane bahut dard ke duniyaa ne sune hain ai 'dard' tire dard kaa afsaana nayaa hai"
"gulshan mein thi bahaar abhi kal ki baat hai phulon pe thaa nikhaar abhi kal ki baat hai tum hi hamaare vaaste takte the rah-guzar karte the intizaar abhi kal ki baat hai phulon ki tarah jin ko rakhaa jaan se 'aziz ban kar chhupe hain khaar abhi kal ki baat hai us ne bahut chhupaae magar gham na chhup sake aankhein thiin ashk-baar abhi kal ki baat hai vo zindagi se meri bahut duur ho gayaa thaa meraa gham-gusaar abhi kal ki baat hai ai 'dard' tu bhi meri nigaahon se gir gayaa kartaa thaa tujh ko pyaar abhi kal ki baat hai"
"har tamanna puuri kar de jo hamaare dil mein hai aane vaale ab to aa jaa zindagi mushkil mein hai kis tarah bhuleinge tujh ko bhulnaa mumkin nahin teri yaadon kaa diyaa raushan hamaare dil mein hai hasrat-o-ummid ke is baar shaayad gul khilein dekh vo ghuncha-dahan jaan-e-chaman mahfil mein hai yuun to kahne ko use kahti hai duniyaa be-gunaah khun-e-dil kaa daagh lekin daaman-e-qaatil mein hai dekhnaa ai 'dard' ho jaaeinge dil kitne asiir zulf-e-pechaan aaj vo khole hue mahfil mein hai"
"aa jaao mohabbat ke ye mausam na mileinge mausam jo palaT aae to phir ham na mileinge is tarh agar khuun se kheli gai holi zakhmon ke liye phir kahin marham na mileinge 'aasi huun gunahgaar huun bakhshish kaa talabgaar daftar mire 'isyaan ke tujhe kam na mileinge duniyaa ki har ik shai vahaan mil jaaegi lekin jannat mein kabhi ham ko magar gham na mileinge jis daur mein ehsaas ke siine pe lagein zakhm is daur mein ai 'dard' tujhe ham na mileinge"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"