"har dost ko aazmaa rahaa huun daanista fareb khaa rahaa huun jaada na koi nishaan-e-manzil kis samt qadam baDhaa rahaa huun vo aur nigaah-e-lutf mujh par kis vahm mein mubtalaa rahaa huun kyaa yuun palaT aaegaa vo bachpan kyon ret ke ghar banaa rahaa huun ik zarra-e-khaak huun main lekin suraj se nazar milaa rahaa huun 'aabid' ye hai be-hison ki mahfil haal apnaa kahaan sunaa rahaa huun"
khud savaal aap hi javaab huun main — Abid Munavari
"khud savaal aap hi javaab huun main zindagi ki khuli kitaab huun main yuun to ik jura-e-sharaab huun main gardish-e-vaqt kaa javaab huun main justaju-e-sukun-e-dil thi mujhe gharq-e-dariyaa-e-iztiraab huun main meri qimat hai pyaar ke do-bol kitne saste mein dastiyaab huun main kabhi naghma-taraaz thaa main bhi aaj TuuTaa huaa rabaab huun main ranj gham dard be-kasi hasrat 'mir' kaa jaise intikhaab huun main kaun mujh par yaqin laaegaa apni nazron mein khud saraab huun main pahle sailaab se pareshaan thaa ab ki mahv-e-talaash-e-aab huun main mukhtalif rang hain mire 'aabid' kabhi jalva kabhi hijaab huun main"
خود سوال آپ ہی جواب ہوں میں زندگی کی کھلی کتاب ہوں میں یوں تو اک جرعۂ شراب ہوں میں گردش وقت کا جواب ہوں میں جستجوئے سکون دل تھی مجھے غرق دریائے اضطراب ہوں میں میری قیمت ہے پیار کے دو بول کتنے سستے میں دستیاب ہوں میں کبھی نغمہ طراز تھا میں بھی آج ٹوٹا ہوا رباب ہوں میں رنج غم درد بے کسی حسرت میرؔ کا جیسے انتخاب ہوں میں کون مجھ پر یقین لائے گا اپنی نظروں میں خود سراب ہوں میں پہلے سیلاب سے پریشاں تھا اب کہ محو تلاش آب ہوں میں مختلف رنگ ہیں مرے عابدؔ کبھی جلوہ کبھی حجاب ہوں میں
ख़ुद सवाल आप ही जवाब हूँ मैं ज़िंदगी की खुली किताब हूँ मैं यूँ तो इक जुरआ-ए-शराब हूँ मैं गर्दिश-ए-वक़्त का जवाब हूँ मैं जुस्तजू-ए-सुकून-ए-दिल थी मुझे ग़र्क़-ए-दरिया-ए-इज़्तिराब हूँ मैं मेरी क़ीमत है प्यार के दो-बोल कितने सस्ते में दस्तियाब हूँ मैं कभी नग़्मा-तराज़ था मैं भी आज टूटा हुआ रबाब हूँ मैं रंज ग़म दर्द बे-कसी हसरत 'मीर' का जैसे इंतिख़ाब हूँ मैं कौन मुझ पर यक़ीन लाएगा अपनी नज़रों में ख़ुद सराब हूँ मैं पहले सैलाब से परेशाँ था अब कि महव-ए-तलाश-ए-आब हूँ मैं मुख़्तलिफ़ रंग हैं मिरे 'आबिद' कभी जल्वा कभी हिजाब हूँ मैं
More by Abid Munavari
View all →"muqaddar mein saahil kahaan hai miyaan miri naav be-baadbaan hai miyaan jo barq-e-tapaan se munavvar rahe vahi aashiyaan aashiyaan hai miyaan kahaan jaaiye mai-kada chhoD kar yahi ek jaa-e-amaan hai miyaan abad tak mukammal na ho paaegi shab-e-gham ki ye daastaan hai miyaan kahaan paaon rakkhun pareshaan huun zamin surat-e-aasmaan hai miyaan muqaddas sahi kaarobaar-e-vafaa magar is mein nuqsaan-e-jaan hai miyaan ajab phiki phiki si hai chaandni udaas aaj kyuun chandramaan hai miyaan jahaan dil ke badle mein miltaa hai dil vo duniyaa na jaane kahaan hai miyaan nahin mujh se 'aabid' vo kuchh khaas duur faqat zindagi darmiyaan hai miyaan"
"aur kis kaa ghar kushaada hai kahaan Thahregi raat mujh ko hi mehmaan-navaazi kaa sharaf bakhshegi raat niind aaegi na un be-khvaab aankhon mein kabhi mujh ko thapki dete dete aap so jaaegi raat shaam hargiz din ke siine mein na khanjar ghonpti ye agar maa'lum hotaa khun-bahaa maangegi raat aansuon se tar-ba-tar ho jaaegaa aangan tamaam karb-e-tanhaai pe apne phuuT kar roegi raat chaand-taaron ko chhupaa bhi lein ghane baadal agar jhilmilaate jugnuon se raasta puchhegi raat apne apne lutf se donon navaazeinge mujhe zakhm-e-dil bakhshegaa din us par namak chhiDkegi raat suraj apne rath ko phir aakaash par dauDaaegaa subh kaa taaraa nikalte hi simaT jaaegi raat jab tire juuDe kaa gajraa yaad aaegaa mujhe raat-ki-raani ke phulon se mahak uTThegi raat ghar palaT kar jaaungaa rukh par liye din-bhar ki dhuul mujh ko ai 'aabid' baDi mushkil se pahchaanegi raat"
"jab aasmaan par mah-o-akhtar palaT kar aae ham rukh pe din ki dhuup liye ghar palaT kar aae nazzaara jin kaa baais-e-rahm-e-nigaah thaa aankhon ke saamne vahi manzar palaT kar aae har ghar sulag rahaa thaa ajab sard aag mein jab arsa-gaah-e-jang se lashkar palaT kar aae sad-rashk-e-iltifaat thaa jab us kaa jaur bhi ji kyuun na chaahe phir vo sitamgar palaT kar aae jo baat guftani thi vahi an-kahi rahi be-ras jo tazkire the zabaan par palaT kar aae duniyaa se ho gae na hon aazurda-dil kahin phir is zamin par na payambar palaT kar aae ye baat agar hai sach ki palaTtaa nahin hai vaqt lamhaat-e-gham mire liye kyuun kar palaT kar aae kahte hain us ne dekhi thi kal ek jal-pari har lab pe hai duaa ki shanaavar palaT kar aae ai 'aabid' aasmaan pe na kuchh bhi asar huaa mujh par hi meri aah ke patthar palaT kar aae"
"be-tamannaa huun khasta-jaan huun main ek ujDaa huaa makaan huun main jang to ho rahi hai sarhad par apne ghar mein lahuluhaan huun main gham-o-aalaam bhi hain mujh ko aziiz qadr-daanon kaa qadr-daan huun main zabt tahzib hai mohabbat ki vo samajhte hain be-zabaan huun main lab pe ikhlaas haath mein khanjar kaise yaaron ke darmiyaan huun main chhed hi chhed hain faqat jis mein aisi kashti kaa baadbaan huun main jo kisi ko bhi aaj yaad nahin bhuli-bisri vo daastaan huun main yaa giraan-gosh hai nagar kaa nagar yaa kisi dasht mein azaan huun main shaairi ho ki aashiqi 'aabid' har rivaayat kaa paasbaan huun main"
"vaaizo ye sharaab-khaana hai ham faqiron kaa aastaana hai 'ishq mein jaan dene vaalon ne maut ko bhi hayaat jaanaa hai raat ko khvaab mein ye dekhaa thaa khuld mein bhi sharaab-khaana hai ruThnaa zindagi se ai 'aabid' maut kaa hausla baDhaanaa hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"