Quote
"muqaddar mein saahil kahaan hai miyaan miri naav be-baadbaan hai miyaan jo barq-e-tapaan se munavvar rahe vahi aashiyaan aashiyaan hai miyaan kahaan jaaiye mai-kada chhoD kar yahi ek jaa-e-amaan hai miyaan abad tak mukammal na ho paaegi shab-e-gham ki ye daastaan hai miyaan kahaan paaon rakkhun pareshaan huun zamin surat-e-aasmaan hai miyaan muqaddas sahi kaarobaar-e-vafaa magar is mein nuqsaan-e-jaan hai miyaan ajab phiki phiki si hai chaandni udaas aaj kyuun chandramaan hai miyaan jahaan dil ke badle mein miltaa hai dil vo duniyaa na jaane kahaan hai miyaan nahin mujh se 'aabid' vo kuchh khaas duur faqat zindagi darmiyaan hai miyaan"
A
Abid Munavari