SHAWORDS

kis qadar mukhtasar saa milte ho — Basharat Gill

HomeBasharat GillGhazal
"kis qadar mukhtasar saa milte ho tum bhi naa zindagi ke jaise ho aur kuchh hi guzarti hai ham par jab kahin aur muskuraate ho mashghala bhi 'ajib rakkhaa hai jab bhi aate ho lauT jaate ho farq karnaa muhaal hai saahib bolte ho ki gungunaate ho"
Urdu

کس قدر مختصر سا ملتے ہو تم بھی نا زندگی کے جیسے ہو اور کچھ ہی گزرتی ہے ہم پر جب کہیں اور مسکراتے ہو مشغلہ بھی عجیب رکھا ہے جب بھی آتے ہو لوٹ جاتے ہو فرق کرنا محال ہے صاحب بولتے ہو کہ گنگناتے ہو

Hindi

किस क़दर मुख़्तसर सा मिलते हो तुम भी ना ज़िंदगी के जैसे हो और कुछ ही गुज़रती है हम पर जब कहीं और मुस्कुराते हो मश्ग़ला भी 'अजीब रक्खा है जब भी आते हो लौट जाते हो फ़र्क़ करना मुहाल है साहिब बोलते हो कि गुनगुनाते हो

kis qadar muḳhtasar sā milte ho
Basharat Gill
Basharat Gill
Basharat Gill
poet9 quotes

More by Basharat Gill

View all →
Quote
"agar jaanaa zaruri thaa to chupke se chale jaate ki ik khush-fahmi si rahti sahaare jis ke ji paate abhi bhi vaqt lagtaa hai abhi bhi fan nahin kaamil agarche 'umr guzri hai hamein is dil ko bahlaate raho apne hi ghar mein tum paraae fard ke maanind sitam dekho taqaaza hai raho is par bhi itraate samaa'at ne Duboyaa hai gulon ki siskiyaan sun kar na kaanon tak sadaa aati na aansu aankh tak aate ye ‘ahd-e-kam-nigaahi hai yahaan shikva nahin kaafi kahaan shikve shikaayat hain kisi patthar ko kumhlaate"
Basharat GillBasharat Gill

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb