SHAWORDS

kisi tarah bhi jo is reg-zaar-e-hasti par — Ameer Raza Mazhari

"kisi tarah bhi jo is reg-zaar-e-hasti par ubhar sakaa jo na puuraa vo naqsh-e-paa huun main jo har taraf se havaaon ki Thokarein khaae dar-e-qubul ki rad-karda vo duaa huun main na hauslon mein tamavvuj na valvalon mein kharosh isi kaa naam hai jiinaa to ji rahaa huun main vafaa pe tanz hai aavaargi-e-shauq nahin har aastaan pe jo sajde bikhertaa huun main badal saki jise ab tak na be-rukhi teri vahi vafaa kaa sataayaa huaa 'razaa' huun main"
Urdu

کسی طرح بھی جو اس ریگ زار ہستی پر ابھر سکا جو نہ پورا وہ نقش پا ہوں میں جو ہر طرف سے ہواؤں کی ٹھوکریں کھائے در قبول کی رد کردہ وہ دعا ہوں میں نہ حوصلوں میں تموج نہ ولولوں میں خروش اسی کا نام ہے جینا تو جی رہا ہوں میں وفا پہ طنز ہے آوارگیٔ شوق نہیں ہر آستاں پہ جو سجدے بکھیرتا ہوں میں بدل سکی جسے اب تک نہ بے رخی تیری وہی وفا کا ستایا ہوا رضاؔ ہوں میں

Hindi

किसी तरह भी जो इस रेग-ज़ार-ए-हस्ती पर उभर सका जो न पूरा वो नक़्श-ए-पा हूँ मैं जो हर तरफ़ से हवाओं की ठोकरें खाए दर-ए-क़ुबूल की रद-कर्दा वो दुआ हूँ मैं न हौसलों में तमव्वुज न वलवलों में ख़रोश इसी का नाम है जीना तो जी रहा हूँ मैं वफ़ा पे तंज़ है आवारगी-ए-शौक़ नहीं हर आस्ताँ पे जो सज्दे बिखेरता हूँ मैं बदल सकी जिसे अब तक न बे-रुख़ी तेरी वही वफ़ा का सताया हुआ 'रज़ा' हूँ मैं

kisī tarah bhī jo is reg-zār-e-hastī par
Ameer Raza Mazhari
Ameer Raza Mazhari
Ameer Raza Mazhari
poet20 quotes

More by Ameer Raza Mazhari

View all →
Quote
"hai muamma miri mohabbat bhi shukr ke saath hai shikaayat bhi dil ko pyaari hai jis ki nafrat bhi kyaa ho gar vo kare mohabbat bhi dushman-e-e'tibaar hoti hai baaz haalaat mein haqiqat bhi isi maamure mein banaa li hai saada-lauhon ne apni jannat bhi is mohabbat pe naaz kyaa kiije ho mili jis mein kuchh muravvat bhi aag dil ki kisi tarah na bujhi pi ke dekhi mai-e-mohabbat bhi tere kuche mein jaaein kis munh se kho chuke ham tiri amaanat bhi ho basaarat se kyaa umiid 'razaa' dhoke deti hai jab basirat bhi"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"sunein bahaar ki rangin-bayaaniyaan kyaa kyaa kahin tabassum-e-gul ne kahaaniyaan kyaa kyaa dayaa javaab na kuchh muskuraa ke rah gae phuul zabaan-e-khaar ne kiin bad-zabaaniyaan kyaa kyaa baDhaa na naaqa-e-lailaa baghair naala-e-qais hunar dikhaati rahin saarbaaniyaan kyaa kyaa mizaaj-e-sang na pighlaa ki thaa na soz-e-kalim asaa paTakti rahin qahar-maaniyaan kyaa kyaa zabaan-e-aql pe kuchh hai zabaan-e-ishq pe kuchh tire sukut se niklin kahaaniyaan kyaa kyaa na detaa husn agar dil ko ishq kaa shoala khud apni aag mein jaltin javaaniyaan kyaa kyaa mizaaj-e-ishq ne pakDaa na e'tibaar kaa rang sharik-e-vahm rahin khush-gumaaniyaan kyaa kyaa jaras bhi chup rahaa TuuTi na kaarvaan ki bhi niind sukut-e-dasht ne kiin nauha-khvaaniyaan kyaa kyaa pukaarti hai 'razaa' gard-e-kaarvaan lekin bani hain baar-e-safar sargiraaniyaan kyaa kyaa"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"idhar se bhi to havaa-e-bahaar guzri hai kuchh ek baar nahin baar baar guzri hai gilaa nahin ye faqat arz-e-haal hai ai dost tire baghair bahut be-qaraar guzri hai vahi to meri hayaat-e-safar ki punji hai vo zindagi jo sar-e-rahguzaar guzri hai qalam liye hue sochaa kiye ki kyaa likhein kuchh is tarah bhi shab-e-intizaar guzri hai bhulaa sakeinge na us ko qafas mein ai sayyaad vo do ghaDi jo sar-e-shaakh-saar guzri hai kabhi kabhi to miri bar-mahal khamoshi bhi unhein fughaan ki tarah naagavaar guzri hai huiin jo dil se mire bad-gumaaniyaan un ko to shaairi bhi miri naagavaar guzri hai khizaan mein bhi na kisi ki khudaa kare guzre vo jis tarah miri fasl-e-bahaar guzri hai ubhar gai hai kahin par 'razaa' jo talkhi-e-fikr mire mizaaj-e-ghazal par vo baar guzri hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"rahguzar-baashon ko saae ki bhi kyaa haajat nahin puchhte hain aalam-e-nau tere meamaaron se ham kyaa khabar thi aa ke manzil par vo hogaa chaak chaak jo bachaa laae the daaman raah ke khaaron se ham jaise saaya bhi gunaahon kaa nahin ham par paDaa kis qadar daaman-kashida hain gunahgaaron se ham dam na leinge jab talak ye saamne se haT na jaaein Takkarein lete raheinge unchi divaaron se ham aap gham-khvaari ki zahmat mat gavaaraa kijiye iltijaa karte hain ab ye apne gham-khvaaron se ham apni naadaari se khud apni nazar mein hain subuk is qadar marub hain daulat ke ambaaron se ham ho rahe hain hausle puure mashiyyat ke 'razaa' le rahe hain baaj mehr-o-maah se taaron se ham"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"mire sajda-e-haa-e-niyaaz ko tire aastaan ki talaash hai kisi fard ki ye talab nahin ye to ik jahaan ki talaash hai nai sarzamin ki hai justuju nae aasmaan ki talaash hai jo makaan bhi Thiik na rakh sake unhein laa-makaan ki talaash hai mire paa-e-shauq-e-safar mein hain abhi raah-o-rasm ki bandishein mujhe naqsh-e-paa ki hai justuju mujhe kaarvaan ki talaash hai jo khizaan-nasib azal ke hain unhein fasl-e-gul ki hai aarzu vo jo thak chuke hain bahaar se unhein ab khizaan ki talaash hai ye miraa kamaal-e-musavvari ye miraa shuur-e-sanam-gari abhi zauq husn-e-kasif hai ise jism-o-jaan ki talaash hai miri zindagi kaa fasaana kyaa jo sinaaon shauq se aap ko kisi mehrbaan ki talaash thi kisi mehrbaan ki talaash hai jo qafas se chhuT ke aae ham kisi shaakh ne bhi jagah na di hain chaman mein aa ke bhi be-navaa hamein aashiyaan ki talaash hai abhi qarz un ki nazar pe hai tire jalva-haa-e-majaaz kaa jo haqiqaton se guzar chuke unhein daastaan ki talaash hai tire dushmanon ki safon pe ye kisi daur mein na chamak saki tiri tegh-e-naaz ki aaj tak sar-e-dostaan ki talaash hai khas-o-khaar ko bhi jo diye 'razaa' tar-o-taaza rahne kaa hausla usi baaghbaan ki hai aarzu usi gulsitaan ki talaash hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"agarche sho'la ayaan nahin hai agarche lab par dhuaan nahin hai nihaan jise ham samajh rahe hain vo aag dil ki nihaan nahin hai ye raah vo hai ki har musaafir ke tajrabe jis mein mukhtalif hain vo kaun insaan hai zindagi jis ki ik nai daastaan nahin hai kidhar ko jaaein kise pukaarein muDein ki aage hi baDhte jaaein ghubaar kaa bhi tire sahaaraa hamein to ai kaarvaan nahin hai zaraa ye sahraa ko jaane vaalon se koi puchhe kahaan chale tum kahin hai koi zamin aisi jahaan pe ye aasmaan nahin hai vo mehrbaan ho to vasvasa ye ki mehrbaani ye dafatan kyon vo sargiraan hai to hai ye hasrat ki haae vo mehrbaan nahin hai ye dil ki paiham si be-qaraari nazar ki harkaat-e-iztiraari aur us pe israar-e-parda-daari ki jaise vo raaz-daan nahin hai vahi hikaayat dil-o-nazar ki vahi kahaani hai chashm-e-tar ki 'razaa' ye meri ghazal-saraai nai koi daastaan nahin hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari

More on Dua

View all →
Quote
"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ilaahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbaar aam hogaa miri baghal mein suraahi hogi zabaan par teraa naam hogaa nasib tujh ko nahin ye neamat to zahmat-e-tur kar gavaaraa yahaan to hote hain roz jalve kalim tujh ko kalaam hogaa nigah rahe aasmaan pe teri hai taair-e-arsh-aashiyaan tu nazar mein jis ki zamin hogi vahi giraftaar-e-daam hogaa qubul kar markaz-e-haqiqat tiraa makaan laa-makaan hai ai dil majaaz ke daaere mein aakar fuzul paaband-e-naam hogaa harim-e-kaaba-o-dair donon hain qaabil-e-ehtiraam lekin nazaaa-e-baaham ke hon na markaz to phir dili-ehtiraam hogaa tu nashsha-e-zohd kaa hai taalib tujhe kahaan vajd-e-jaavedaani jo rind-e-mast-e-mudaam hogaa vo raazdaar-e-davaam hogaa shuur kahte hain jis ko aaqil vo roz mehvar badal rahaa hai jo aa gayaa jaada-e-junun mein sukun mein us kaa qiyaam hogaa na hongi hal mushkilaat 'aiman' fuzul sab koshishein hain teri khudaa se imdaad ki duaa kar baghair is ke na kaam hogaa"
A
Aiman Amritsari
Quote
"dam-ba-khud meri anaa teri adaa bhi dam-ba-khud tere pahlu mein rahaa main aur rahaa bhi dam-ba-khud dekhiye pahle lahu Tapke ki phailein kirchiyaan dam-ba-khud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-khud itnaa sannaaTaa ki jaise avvalin shaam-e-firaaq dam-ba-khud hai aasmaan bhi aur havaa bhi dam-ba-khud yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab rah gai thi dafatan teri hayaa bhi dam-ba-khud ek se aalam mein donon mukhtalif asbaab se dam-ba-khud teraa karam meri duaa bhi dam-ba-khud aisaa lagtaa hai ki donon se nahin nisbat mujhe dam-ba-khud umr-e-ravaan sail-e-fanaa bhi dam-ba-khud khauf-e-tajdid-e-taaluq darmiyaan haail rahaa dam-ba-khud teraa sitam meraa galaa bhi dam-ba-khud yuun gumaan hotaa hai donon ki tavaqqoa ek thi dam-ba-khud teri vafaa meri sazaa bhi dam-ba-khud jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhnaa dam-ba-khud naa-aashnaa bhi aashnaa bhi dam-ba-khud"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"yaar ke bhes mein mahbub sitamgar niklaa phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklaa ek roTi ke evaz de gayaa jannat ki duaa mere kuche kaa bhikaari bhi mukhayyar niklaa aaj-kal aankh kaa dekhaa bhi ghalat hotaa hai jis ko samjhe the apaahij vo tavangar niklaa vaqt kamzor ko shah-zor banaa detaa hai shaam ko Duubaa magar subh mein khaavar niklaa ghar badalne se bhi taqdir badal jaati hai siip mein paani paDaa ban ke vo gauhar niklaa jo mire zehn-o-takhayyul mein bahut unchaa thaa us kaa qad taalib-e-duniyaa ke baraabar niklaa jis ke zimme thi mire ghar ki hifaazat 'muztar' dushmanon kaa mire vo shakhs bhi ham-sar niklaa"
Muztar AzmiMuztar Azmi