"tujh se ik haath kyaa milaa liyaa hai shahr ne vaaqia banaa liyaa hai ham to ham the ki us pari-ru ne aaine kaa bhi dil churaa liyaa hai varna ye sail-e-aab le jaataa shahr ko aag ne bachaa liyaa hai aisi naav mein kyaa safar karnaa jis ne dariyaa ko dukh sunaa liyaa hai kuza-gar ne hamaari miTTi se kyaa banaanaa thaa kyaa banaa liyaa hai dekhiye pahle kaun martaa hai saanp ne aadmi ko khaa liyaa hai jaane vaalon ko ab ijaazat hai ham ne apnaa diyaa bujhaa liyaa hai jab koi baat hi nahin 'aami' aasmaan sar pe kyuun uThaa liyaa hai"
koi majnun koi farhaad banaa phirtaa hai — Imran Aami
"koi majnun koi farhaad banaa phirtaa hai ishq mein har koi ustaad banaa phirtaa hai jis se taa'bir ki ik iinT uThaai na gai khvaab ke shahr ki buniyaad banaa phirtaa hai pahle kuchh log parindon ke shikaari the yahaan ab to har aadmi sayyaad banaa phirtaa hai dhuup mein itni suhulat bhi ghanimat hai mujhe ek saaya miraa ham-zaad banaa phirtaa hai baagh mein aisi havaaon kaa chalan aam huaa phuul saa haath bhi faulaad banaa phirtaa hai naqsh-bar-aab to ham dekhte aae lekin naqsh ye kaun saa barbaad banaa phirtaa hai"
کوئی مجنوں کوئی فرہاد بنا پھرتا ہے عشق میں ہر کوئی استاد بنا پھرتا ہے جس سے تعبیر کی اک اینٹ اٹھائی نہ گئی خواب کے شہر کی بنیاد بنا پھرتا ہے پہلے کچھ لوگ پرندوں کے شکاری تھے یہاں اب تو ہر آدمی صیاد بنا پھرتا ہے دھوپ میں اتنی سہولت بھی غنیمت ہے مجھے ایک سایہ مرا ہم زاد بنا پھرتا ہے باغ میں ایسی ہواؤں کا چلن عام ہوا پھول سا ہاتھ بھی فولاد بنا پھرتا ہے نقش بر آب تو ہم دیکھتے آئے لیکن نقش یہ کون سا برباد بنا پھرتا ہے
कोई मजनूँ कोई फ़रहाद बना फिरता है इश्क़ में हर कोई उस्ताद बना फिरता है जिस से ता'बीर की इक ईंट उठाई न गई ख़्वाब के शहर की बुनियाद बना फिरता है पहले कुछ लोग परिंदों के शिकारी थे यहाँ अब तो हर आदमी सय्याद बना फिरता है धूप में इतनी सुहूलत भी ग़नीमत है मुझे एक साया मिरा हम-ज़ाद बना फिरता है बाग़ में ऐसी हवाओं का चलन आम हुआ फूल सा हाथ भी फ़ौलाद बना फिरता है नक़्श-बर-आब तो हम देखते आए लेकिन नक़्श ये कौन सा बर्बाद बना फिरता है

More by Imran Aami
View all →"zakhm ab tak vahi siine mein liye phirtaa huun kuufe vaalon ko madine mein liye phirtaa huun jaane kab kis ki zarurat mujhe paD jaae kahaan aag aur khaak safine mein liye phirtaa huun ret ki tarah phisalte hain miri aankhon se khvaab aise bhi khazine mein liye phirtaa huun ek naakaam mohabbat miraa sarmaaya hai aur kyaa khaak dafine mein liye phirtaa huun dil pe likkhaa hai kisi aur pari-zaad kaa naam naqsh ik aur nagine mein liye phirtaa huun is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami' mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun"
"is dasht se aage bhi koi dasht-e-gumaan hai lekin ye yaqin kaun dilaaegaa kahaan hai ye ruuh kisi aur ilaaqe ki makin hai ye jism kisi aur jazire kaa makaan hai kartaa hai vahi kaam jo karnaa nahin hotaa jo baat main kahtaa huun ye dil suntaa kahaan hai kashti ke musaafir pe yunhi taari nahin khauf Thahraa huaa paani kisi khatre kaa nishaan hai jo kuchh bhi yahaan hai tire hone se hai varna manzar mein jo khiltaa hai vo manzar mein kahaan hai is raakh se uThti hui khushbu ne bataayaa marte hue logon ki kahaan jaa-e-amaan hai ye kaar-e-sukhan kaar-e-abas to nahin 'aami' ye qaafiya-paimaai nahin husn-e-bayaan hai"
"ehtiyaatan use chhuaa nahin hai aadmi hai koi khudaa nahin hai dasht mein aate jaate rahte hain ye hamaare liye nayaa nahin hai tum samajhte ho naakhudaa khud ko tum pe dariyaa abhi khulaa nahin hai jis kaa hal sochne mein vaqt lage vo mohabbat hai masala nahin hai baagh par sher kahne vaalon kaa ek misraa haraa-bharaa nahin hai ret hi ret hai tah-e-dariyaa yaani sahraa abhi miraa nahin hai aao chalte hain ab khalaa ki taraf sun rahe hain vahaan khalaa nahin hai"
"jitne paani mein koi Duub ke mar saktaa hai utnaa paani to miri ok mein bhar saktaa hai ye to main roz kinaare pe khaDaa sochtaa huun pyaas baDh sakti hai dariyaa bhi utar saktaa hai ik diyaa aur to kuchh kar nahin saktaa lekin shab ki divaar mein darvaaza to kar saktaa hai husn-e-tartib se rakkhi hui yaadon ki taraf dekhne vaalaa kisi roz bikhar saktaa hai is kaa titli saa badan duur se dekhaa jaae vo kisi haath mein aate hue mar saktaa hai tum zaraa soch ke us shakhs pe takiya karnaa vo farishta nahin vaade se makr saktaa hai dil ko aankhon se ulajhne nahin detaa 'aami' varna dariyaa se samundar bhi guzar saktaa hai"
"baat dil ko mire lagi nahin hai mere bhaai ye shaaeri nahin hai jaanti hai mire charaagh ki lau kaun se ghar mein raushni nahin hai vo taalluq bhi mustaqil nahin thaa ye mohabbat bhi daaimi nahin hai main jo qissa sunaa chukaa to khulaa koi divaar bolti nahin hai dekhne vaali aankh bhi to ho kaun dariyaa mein jal-pari nahin hai buzdilaa chhup ke vaar kartaa hai tujh ko tahzib-e-dushmani nahin hai kyaa karun is bahisht ko jis mein ek botal sharaab ki nahin hai tujh se milnaa bhi hai nahin bhi mujhe aur tabiat ulajh rahi nahin hai kaun se shahr ke charaagh ho tum tum mein dam bhar ki raushni nahin hai jis kaa charchaa hai shahr mein 'aami' vo ghazal to abhi kahi nahin hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"