Quote
"khvaabon mein bhi paanaa use aasaan nahin hai par thoDi si koshish mein bhi nuqsaan nahin hai maanaa ki miri zindagi aasaan nahin hai hai kaun yahaan vo jo pareshaan nahin hai ham ne to lahu se likhi us ke liye ghazlein phir bhi use lagtaa hain abhi jaan nahin hai shaayad ye miri zindagi kaa aakhiri pal hai jis mein koi khvaahish koi armaan nahin hai giitaa kabhi quraan ki kyon khaate hain qasmein jin kaa koi mazhab koi imaan nahin hai qurbaani tirange ke liye sab ki baraabar is mein koi hindu yaa musalmaan nahin hai"
K
Kefi