Quote
"kuza-gar main tire kis khvaab kaa chehra ho jaaun sirf ik jism ki mohlat hai main kyaa kyaa ho jaaun tujh mein aur mujh mein bas ik farq vafaa hi kaa hai main agar tark vafaa kar duun to tujh saa ho jaaun mujh ko mere hi andhere ne chhupaa rakkhaa hai jo tiri zaat mein aa jaaun sitaara ho jaaun sochte sab hain kahaani to mukammal ho jaae chaahtaa koi nahin hai ki main us kaa ho jaaun chaar din qaid mein rah kar ye tamannaa bhi gai pahle lagtaa thaa ki ai kaash parinda ho jaaun main to bas ek tasavvur huun vahi rahne de aise bhi soch na mujh ko ki main chehra ho jaaun sab ki aankhon mein khaTakti hai hamaari qurbat shahr kaa shahr lagaa hai ki akelaa ho jaaun ishq mein saaraa kamaal asl mein furqat kaa hai jo bhi ho jaae judaa mujh se main us kaa ho jaaun"
