SHAWORDS

kuchh saamne huaa hai to kuchh raaz mein huaa — Baqar Naqvi

HomeBaqar NaqviGhazal
"kuchh saamne huaa hai to kuchh raaz mein huaa aaghaaz-e-zindagi 'ajab andaaz mein huaa kaaTe gae gulaab lagaae gae gulaab jo kuchh huaa bahaar ke e'zaaz mein huaa jo faisle hue pas-e-parda usi ke the e'laan jo huaa miri aavaaz mein huaa jo mo’jize hue tiri takhil mein hue jo saaniha huaa miri parvaaz mein huaa vo meri khalvaton mein thaa duuri ke baavajud ye mo'jiza firaaq ke aaghaaz mein huaa"
Urdu

کچھ سامنے ہوا ہے تو کچھ راز میں ہوا آغاز زندگی عجب انداز میں ہوا کاٹے گئے گلاب لگائے گئے گلاب جو کچھ ہوا بہار کے اعزاز میں ہوا جو فیصلے ہوئے پس پردہ اسی کے تھے اعلان جو ہوا مری آواز میں ہوا جو معجزے ہوئے تری تخئیل میں ہوئے جو سانحہ ہوا مری پرواز میں ہوا وہ میری خلوتوں میں تھا دوری کے باوجود یہ معجزہ فراق کے آغاز میں ہوا

Hindi

कुछ सामने हुआ है तो कुछ राज़ में हुआ आग़ाज़-ए-ज़िंदगी 'अजब अंदाज़ में हुआ काटे गए गुलाब लगाए गए गुलाब जो कुछ हुआ बहार के ए'ज़ाज़ में हुआ जो फ़ैसले हुए पस-ए-पर्दा उसी के थे ए'लान जो हुआ मिरी आवाज़ में हुआ जो मो'जिज़े हुए तिरी तख़्ईल में हुए जो सानिहा हुआ मिरी परवाज़ में हुआ वो मेरी ख़ल्वतों में था दूरी के बावजूद ये मो'जिज़ा फ़िराक़ के आग़ाज़ में हुआ

kuchh sāmne huā hai to kuchh raaz meñ huā
Baqar Naqvi
Baqar Naqvi
Baqar Naqvi
poet26 quotes

More by Baqar Naqvi

View all →
Quote
"karo kuchh aur qayaamat kaa intizaar abhi miri zamin kaa ujDaa nahin singhaar abhi 'ataa kiye hain bahut bebasi ke dastaane umiid kitni lagaae hain shahryaar abhi zamin agarche nae qaht ki lapeT mein hai rukaa nahin hai magar dast-e-kirdgaar abhi chalo du'aa ke charaaghon ki lau baDhaate chalein mileinge aur bhi dasht-e-siyaahkaar abhi abhi se kaise shab-e-hijr ki sazaa de dein ki us ki god mein hai shaam ki bahaar abhi qabaa pe rang paDaa hai to itni vahshat kyaa libaas-e-jild bhi honaa hai taar-taar abhi gharib aankh ki putli ki himmaton ke nisaar huaa nahin hai andheron pe inhisaar abhi koi sune na sune tu sunaae jaa 'baaqar' tire sitaar mein baaqi hai ek taar abhi"
Baqar NaqviBaqar Naqvi
Quote
"khiDkiyon se bhi agar dhuup na aai hoti ham ne din hote hue sham' jalaai hoti apni aankhon ko agar ham bhi bachaa le jaate saans lete hue manzar se buraai hoti log mar’ub bahut hain tiri mehraabon se bel hi koi sutunon pe chaDhaai hoti meri aankhon ke darichon mein sabhi rang us ke dil ki divaar bhi kaash us ne sajaai hoti ham ko manzur na thi qaid-e-vafaadaari-e-shah varna pairon mein bhi zanjir-e-tilaai hoti saare tehvaar guzar jaate hain suune suune ye 'imaarat bhi kabhi tum ne sajaai hoti"
Baqar NaqviBaqar Naqvi
Quote
"subuk-sari mein bhi andesha-e-havaa rakhnaa sulag uThe ho to jalne kaa hausla rakhnaa nai fazaa mein nae par nikaalne honge falak ko zer-e-zamin ko gurez-paa rakhnaa tumhaare jism ke sandal ki aabru hai bahut hujum-e-shauq mein rah kar bhi faasla rakhnaa zamin phuul fazaa nuur aasmaan dhanak inhin mein rahnaa magar rang bhi judaa rakhnaa tumhaare shahr ke lab-basta shaairon mein se huun mire liye bhi koi harf-e-be-navaa rakhnaa ye zinatein bhi ajab hain ye saadgi bhi ajab riyaa ke saare hunar jism par sajaa rakhnaa na jaane kaun saa kis vaqt kaam aa jaae so ek jeb mein but ek mein khudaa rakhnaa"
Baqar NaqviBaqar Naqvi
Quote
"koi to thaa dhanak dhanak khvaab mein yaa khayaal mein rang 'ajib ghul gae kaifiyyat-e-malaal mein mohr thi mire nutq par tere labon ki naghmagi varna javaab the chhupe tere har ik savaal mein bol tu soch soch kar chal tu sambhal sambhal ke chal ki hai bahut gulo ki baat ham ne tiri misaal mein sard dinon ki tarah gum ho gai apni zindagi farq kahaan rahaa koi maah mein aur saal mein mere rivaaq-e-dil mein tu chaltaa thaa kitne naaz se aa gai kaise ab lachak teri sabaa si chaal mein mere firaaq mein tiri 'umr Thahar gai thi kyaa baal safed ho gae mere tire khayaal mein mausam-e-taaza ho kabhi meri taraf bhi ik nazar utre koi nayaa parind mere ghamon ke taal mein apne kinaara kar na ab 'baaqar'-e-khush-misaal se be-hunari sharik thi us ki tire kamaal mein"
Baqar NaqviBaqar Naqvi
Quote
"khet se bach kar guzre basti ko viraani de vo dariyaa kyaa dariyaa jo saagar ko paani de sher sunaa koi aisaa jis se lage badan mein aag niind uD jaae jis se aisi koi kahaani de suukh rahe hain baagh-baghiche nahrein ret huiin ai mausam ke maalik ik mausam baaraani de khud banvaae mahal do-mahle ham ko sunaae hadis khud to pahne abaa qabaa ham ko uryaani de toD gai dam aakhir pyaasi raat amaavas ki pyaare suraj ab to apne chaand ko paani de kaun sunegaa teraa qissa rone-dhone kaa lailaa majnun shaamil kar koi raajaa raani de ab tak tum ne 'baaqar' aise kaun se kaam kiye kis ummid pe maalik tum ko nai javaani de"
Baqar NaqviBaqar Naqvi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi