"aise hairaan hain ki hairat ki koi had hi nahin aks TuuTaa hai magar aaine pe zad hi nahin ham tire zarf ki qaamat se bahut chhoTe hain tere rutbe ke baraabar to yahaan qad hi nahin ab yahi aakhiri hal hai ki madine pahunchun ik vahi dar hai ki jis dar pe koi rad hi nahin har buDhaape ko buzurgi bhi nahin mil sakti tang-galiyon ke nasibon mein ye bargad hi nahin apne lahje ke talaffuz se ye tashdid haTaa dekh alfaaz ke chehron pe kahin shad hi nahin"
kyaa hogaa andaaza thoDi hotaa hai — Babar Ali Asad
"kyaa hogaa andaaza thoDi hotaa hai ham ne vaqt banaayaa thoDi hotaa hai mere saath khaDi shahzaadi lagti thi har koi shahzaada thoDi hotaa hai ham ne maal-e-muft samajh barbaad kiyaa jiinaa khel tamaashaa thoDi hotaa hai vo jis baat pe jiinaa mushkil ho jaae ab is baat pe marnaa thoDi hotaa hai maalik apni marzi kaa bhi maalik hai maalik ne batlaanaa thoDi hotaa hai logon ko bas baatein karnaa aati hain logon ko kuchh karnaa thoDi hotaa hai ham ne bhi thak haar ke aakhir maan liyaa vaqt ne haath mein aanaa thoDi hotaa hai darvaaze par aankhein rakhne vaalon ke darvaazon par taalaa thoDi hotaa hai"
کیا ہوگا اندازہ تھوڑی ہوتا ہے ہم نے وقت بنایا تھوڑی ہوتا ہے میرے ساتھ کھڑی شہزادی لگتی تھی ہر کوئی شہزادہ تھوڑی ہوتا ہے ہم نے مال مفت سمجھ برباد کیا جینا کھیل تماشا تھوڑی ہوتا ہے وہ جس بات پہ جینا مشکل ہو جائے اب اس بات پہ مرنا تھوڑی ہوتا ہے مالک اپنی مرضی کا بھی مالک ہے مالک نے بتلانا تھوڑی ہوتا ہے لوگوں کو بس باتیں کرنا آتی ہیں لوگوں کو کچھ کرنا تھوڑی ہوتا ہے ہم نے بھی تھک ہار کے آخر مان لیا وقت نے ہاتھ میں آنا تھوڑی ہوتا ہے دروازے پر آنکھیں رکھنے والوں کے دروازوں پر تالا تھوڑی ہوتا ہے
क्या होगा अंदाज़ा थोड़ी होता है हम ने वक़्त बनाया थोड़ी होता है मेरे साथ खड़ी शहज़ादी लगती थी हर कोई शहज़ादा थोड़ी होता है हम ने माल-ए-मुफ़्त समझ बर्बाद किया जीना खेल तमाशा थोड़ी होता है वो जिस बात पे जीना मुश्किल हो जाए अब इस बात पे मरना थोड़ी होता है मालिक अपनी मर्ज़ी का भी मालिक है मालिक ने बतलाना थोड़ी होता है लोगों को बस बातें करना आती हैं लोगों को कुछ करना थोड़ी होता है हम ने भी थक हार के आख़िर मान लिया वक़्त ने हाथ में आना थोड़ी होता है दरवाज़े पर आँखें रखने वालों के दरवाज़ों पर ताला थोड़ी होता है

More by Babar Ali Asad
View all →"tiri aavaaz par ruke hi nahin so kai vaaqiye hue hi nahin us ne jitne diye main le aayaa muft ke saans the gine hi nahin moajize vaqt par nahin hote saanehe vaqt dekhte hi nahin jhuTh hai dil-ba-dar kiye gae hain sach kahein ham vahaan pe the hi nahin sab haqiqat-pasand ho gae hain log ab khvaab dekhte hi nahin jo tire naam mein nahin aate aise harfon ko jaante hi nahin ris rahe hain jagah jagah se 'asad' us ne kuchh zakhm to siye hi nahin"
"saanson ki ravaani mein khalal aane lagaa hai Thahro ki bichhaD jaane kaa pal aane lagaa hai kahte ho to lahje ki kamar sidhi na kar luun maanaa ki mire ijz pe phal aane lagaa hai ye kyaa ki har ik vaqt ki bezaar samaaat har lafz ki peshaani pe bal aane lagaa hai laao miri aavaaz ki dastaar uThaa kar kam-zarf koi had se nikal aane lagaa hai lo khatm hui umr-e-mah-o-saal ki ginti tamhid thi jis ki vahi kal aane lagaa hai"
"havaa se rabt zaraa soch kar banaanaa thaa hamein zamin pe utarnaa thaa ghar banaanaa thaa khushi banaani thi pahle kisi taalluq ki phir is khushi ko bachaane kaa Dar banaanaa thaa hamaari aankh ko ab tak samajh nahin aai ki pahle ashk yaa pahle kohar banaanaa thaa are ye ishq bhi to manchale kaa saudaa hai hamaare bas mein jo hotaa kidhar banaanaa thaa havaa to roz sunaati thi dhuup rauzan se magar hamein yahaan suraj saa dar banaanaa thaa suno ye aib kisi rang se nahin chhupne bas ek hal thaa hamein toD kar banaanaa thaa muaaf karnaa tujhe khul ke likh nahin paae hamein ye qissa zaraa mukhtasar banaanaa thaa"
"ham aakhiri hain hamaare jaise so ab hamaaraa khalaa banegaa na main hi baar-e-digar huun mumkin na tujh saa hi dusraa banegaa ye tang zehnon se baat kar ke rukaavaTein hi na duur kar lein kai mizaajon ki khair hogi agar ye rasta khulaa banegaa qasam tiri be-niyaaziyon ki main sab ye pahle hi jaantaa thaa mujhe kisi ne kahaa huaa thaa ye tere haathon khudaa banegaa nahin mohabbat vo kaar-e-imkaan duaa pe rakkhein khudaa pe chhoDein tum is ko farzi se mat banaao moaamla masala banegaa tire hunar ki ho khair aazar hamein jo toDo to dhyaan rakhiyo hamaari miTTi to bhur-bhuri hai hamaari miTTi se kyaa banegaa"
"jo is tarah se main khud ko pachhaaD letaa huun banaa banaayaa taalluq bigaaD letaa huun main naa-samajh to nahin ranjishon se laDtaa phirun main rukh badal ke mohabbat ki aaD letaa huun jo gard zehn pe girti hai bad-gumaani ki main gaahe gaahe use khud hi jhaaD letaa huun main raahaton se kabhi mutmain nahin hotaa main soch soch ke khushiyaan ujaaD letaa huun ye dard bhi yunhi aTkheliyaan nahin karte kabhi kabhi main inhein chheD-chhaaD letaa huun tumhaare dukh mein koi aur dukh milaataa nahin main shab guzaar ke khema ukhaaD letaa huun kitaab-e-zist tujhe gham nahin thamaataa koi main din guzaar ke safhe ko phaaD letaa huun"
More on Maa
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"