"jaane diye ne bolaa kyaa aur havaa ne samjhaa kyaa paidaa kar inkaar koi khaali shor-sharaaba kyaa jis ke liye parvaaz na ho aisaa aab-o-daana kyaa toD diyaa luTne ke baa'd darvaaze kaa hotaa kyaa kis matlab ke ‘arz-o-tul aab nahin to dariyaa kyaa duur talak niilaa aakaash itnaa baDaa bhi parda kyaa ham bhi miTTi tum bhi raakh tez havaa kaa shikva kyaa us ki gali mein aa gae kaam aur hamaaraa hotaa kyaa afzal hai dil ki begaar 'ishq mein ghaaTaa-vaaTaa kyaa"
kyon qafas mein idhar-udhar dekhein — Fahmi Badayuni
"kyon qafas mein idhar-udhar dekhein ab koi aur rahguzar dekhein ghir gae hain nishaana-baazon mein tiir dekhein ki apnaa sar dekhein is tarah dekh duur jaate hue ham tiri raah 'umr bhar dekhein band kamre mein sirf ham hi hain kis bharose idhar-udhar dekhein ret par kyon taDapti hai machhli aao dariyaa mein duub kar dekhein ab kisi raat shahr mein us ke kaise phirte hain dar-ba-dar dekhein apne malbe ko munh dikhaanaa hai ghaur se pahle us kaa ghar dekhein"
کیوں قفس میں ادھر ادھر دیکھیں اب کوئی اور رہ گزر دیکھیں گھر گئے ہیں نشانہ بازوں میں تیر دیکھیں کہ اپنا سر دیکھیں اس طرح دیکھ دور جاتے ہوئے ہم تری راہ عمر بھر دیکھیں بند کمرے میں صرف ہم ہی ہیں کس بھروسے ادھر ادھر دیکھیں ریت پر کیوں تڑپتی ہے مچھلی آؤ دریا میں ڈوب کر دیکھیں اب کسی رات شہر میں اس کے کیسے پھرتے ہیں دربدر دیکھیں اپنے ملبے کو منہ دکھانا ہے غور سے پہلے اس کا گھر دیکھیں
क्यों क़फ़स में इधर-उधर देखें अब कोई और रहगुज़र देखें घिर गए हैं निशाना-बाज़ों में तीर देखें कि अपना सर देखें इस तरह देख दूर जाते हुए हम तिरी राह 'उम्र भर देखें बंद कमरे में सिर्फ़ हम ही हैं किस भरोसे इधर-उधर देखें रेत पर क्यों तड़पती है मछली आओ दरिया में डूब कर देखें अब किसी रात शह्र में उस के कैसे फिरते हैं दर-ब-दर देखें अपने मलबे को मुँह दिखाना है ग़ौर से पहले उस का घर देखें

More by Fahmi Badayuni
View all →"jinhein ham yaad kar ke ro rahe hain unhin murdon kaa virsa Dho rahe hain vo khinche jaa rahaa hai apni jaanib ham apni had se baahar ho rahe hain hamein qiston mein marnaa paD rahaa hai vo qiston mein paraae ho rahe hain mataa'-e-zindagi ki piiTh par ham tumhaari be-rukhi bhi Dho rahe hain baDaa ulTaa zamaana aa gayaa hai mohabbat karne vaale so rahe hain khudaa kaa shukr hai gham par hamaare jo khush hote the vo bhi ro rahe hain ham apne sahn ke gamlon mein ab tak tumhaari muskuraahaT bo rahe hain"
"koi titli nahin bataati hai teri khushbu kahaan se aati hai kyaa huaa dhuup agar sataati hai chaandni bhi yahi banaati hai ek bimaar aarzu dil mein roz ban-Than ke baiTh jaati hai ye mohabbat kaa mai-kada hai yahaan pyaas hi pyaas ko bujhaati hai ab nahin chaunktaa huun main ghar mein saare parde havaa hilaati hai mere kamre mein ab bajaae mere teri tasvir muskuraati hai shikva-e-hijr par vo ye bole 'iid rozon ke baa'd aati hai zabt se peT jab nahin bhartaa to gharibi usuul khaati hai us makaan kaa charaagh huun 'fahmi' jis ki jhaaDu havaa lagaati hai"
"tire kuche mein pahra baDh gayaa hai mire luTne kaa khatra baDh gayaa hai naqaab-e-rukh abhi kuchh aur uThaao miri aankhon kaa kharcha baDh gayaa hai kisi din aa ke samjhauta karaa do hamaaraa ham se jhagDaa baDh gayaa hai tumhaari saude-baazi ki badaulat hamaaraa bhaav kitnaa baDh gayaa hai hamaari chhoTi-chhoTi kyaariyon mein zamin-daaron kaa hissa baDh gayaa hai qaside marsiyon mein dab gae hain chale aao ki qissa baDh gayaa hai sabhi divaarein unchi ho gai hain ab us ke ghar kaa saaya baDh gayaa hai mujhe lagtaa nahin ye khatm hogaa tire sunne se qissa baDh gayaa hai"
"ghazal aasmaani nahin ho rahi hai ki qaabu se baahar zamin ho rahi hai chalo khelte hain mohabbat mohabbat magar bolne ki nahin ho rahi hai miyaan qais masjid ke andar paDe hain kahin ki 'ibaadat kahin ho rahi hai Thikaana nahin badlaa baarish ne ab tak jahaan ho chuki thi vahin ho rahi hai"
"jo chuze aashiyaane mein mare hain vo chiDiyaa ke na aane mein mare hain hamaari qabr par tahrir kar do ki ham khud ko jilaane mein mare hain tumhaari raah ke zahrile kiiDe hamaare aane-jaane mein mare hain shikaari raat mein aayaa thaa yaa'ni parinde chahchahaane mein mare hain baDe chamkile the mohre hamaare magar sab kaale khaane mein mare hain"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"