SHAWORDS

lamhon ko udaasi mein samonaa nahin achchhaa — Jawed Manzar

HomeJawed ManzarGhazal
"lamhon ko udaasi mein samonaa nahin achchhaa taqdir bigaD jaae to ronaa nahin achchhaa har ek ko har rukh se haqiqat nazar aae is ghar mein koi aisaa khilaunaa nahin achchhaa jo log sadaa zulm ke kaanTon pe pale hain un ke liye phulon kaa bichhaunaa nahin achchhaa pahle bhi bahut ashk sambhaale the magar aaj moti vo mile hain ki pironaa nahin achchhaa 'manzar' bhi nafaasat ke alam-daar the lekin ab khuun ke in daaghon ko dhonaa nahin achchhaa"
Urdu

لمحوں کو اداسی میں سمونا نہیں اچھا تقدیر بگڑ جائے تو رونا نہیں اچھا ہر ایک کو ہر رخ سے حقیقت نظر آئے اس گھر میں کوئی ایسا کھلونا نہیں اچھا جو لوگ سدا ظلم کے کانٹوں پہ پلے ہیں ان کے لئے پھولوں کا بچھونا نہیں اچھا پہلے بھی بہت اشک سنبھالے تھے مگر آج موتی وہ ملے ہیں کہ پرونا نہیں اچھا منظرؔ بھی نفاست کے علم دار تھے لیکن اب خون کے ان داغوں کو دھونا نہیں اچھا

Hindi

लम्हों को उदासी में समोना नहीं अच्छा तक़दीर बिगड़ जाए तो रोना नहीं अच्छा हर एक को हर रुख़ से हक़ीक़त नज़र आए इस घर में कोई ऐसा खिलौना नहीं अच्छा जो लोग सदा ज़ुल्म के काँटों पे पले हैं उन के लिए फूलों का बिछौना नहीं अच्छा पहले भी बहुत अश्क सँभाले थे मगर आज मोती वो मिले हैं कि पिरोना नहीं अच्छा 'मंज़र' भी नफ़ासत के अलम-दार थे लेकिन अब ख़ून के इन दाग़ों को धोना नहीं अच्छा

lamhoñ ko udāsī meñ samonā nahīñ achchhā
Jawed Manzar
Jawed Manzar
Jawed Manzar
poet40 quotes

More by Jawed Manzar

View all →
Quote
"baghair samt huaa huun main dar-ba-dar kaisaa mujhe bhi khvaab dikhaai diyaa magar kaisaa khayaal khaatir-e-abr-e-bahaar kar na sake khizaan ne luuT liyaa ab ke ghar kaa ghar kaisaa na vo huruf mein khushbu na vo sukhan ki miThaas badal diyaa hai zamaane ne ham-safar kaisaa ham ahal-e-khair nikal aae kis kharaabe mein nizaam-e-shar mein banaaein ab apnaa ghar kaisaa main apne aap hi apnaa vajud bech aayaa mujhe rakhaa mire apnon ne be-khabar kaisaa ham apne ghar mein hain zinda misaal shabnam-e-gul banaa hai partav-e-khur ye hisaar-e-dar kaisaa gayaa jo de ke aziyyat-shanaasaaiyaan 'manzar' milaa dobaara to aayaa tumhein nazar kaisaa"
Jawed ManzarJawed Manzar
Quote
"jazba-e-shauq kaa izhaar kahaan hotaa hai yaan haqiqat pe bhi khvaabon kaa gumaan hotaa hai ahd-e-tifli mein jise ziist kaa haasil jaanaa vaqt kaa ab unhi baaton mein ziyaan hotaa hai tum hi aaoge miri ruuh mein khushbu ban kar ye tasavvur bhi ajab raahat-e-jaan hotaa hai raat palkon pe sajaataa huun vafaaon ke charaagh din nikalne pe ye andaaz kahaan hotaa hai ishq-e-shorida ko ashkon se tamaashaa na banaa aag par paani ke paDne se dhuaan hotaa hai meraa mahbub hai kyaa puchhne vaale ab puchh haan ye 'manzar' bhi shab-o-roz vahaan hotaa hai"
Jawed ManzarJawed Manzar
Quote
"jaan-e-gulshan jo hue vo gul-e-tar dekhe hain ham ne mausam ke hasin rang kidhar dekhe hain tum se milte hain jo ham un ki tasalli ke liye varna aise to bahut shaam-o-sahar dekhe hain aalam-e-be-sar-o-saamaan nahin guzraa tum par tum ne kab aag mein jalte hue ghar dekhe hain haakim-e-vaqt dilon par thi hukumat un ki ham ne aise bhi kai khaak-basar dekhe hain apne haathon hi miTaa dete hain khud apnaa nishaan aise insaan nahin dekhe magar dekhe hain in gali-kuchon pe ye vaqt bhi aayaa 'manzar' shahr vaalon ke badan khuun mein tar dekhe hain"
Jawed ManzarJawed Manzar

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui