"aalam-e-sajda hai meraa ek aalam nuur kaa sajda-gah par meri dhokaa ho rahaa hai tuur kaa ek aalam ham-navaa hai saahib-e-maqdur kaa saath detaa hai kahaan koi kisi majbur kaa shiddat-e-ehsaas-e-tanhaai ki hain hamdardiyaan dard baDh jaataa hai aksar raat ko ranjur kaa tiir ne naapi hain shaayad zakhm ki gahraaiyaan ilm bechaare ko kyaa hai sadma-e-mastur kaa shama raushan hai kahaan is kaa pata chaltaa nahin par nazar ko hai yaqin maujudgi-e-nur kaa hain kabhi nazrein tamanna par kabhi ummid par yaani hasrat-naak aalam hai dil-e-majbur kaa tujh mein aur tere tasavvur mein zaraa saa farq hai ek manzar paas kaa hai ek manzar duur kaa sarfaraazi-o-navaazish kaa sunaa hai sirf naam ai 'zaki' un se to rishta bhi nahin hai duur kaa"
le liyaa vaada un ke aane kaa — Damodar Thakur Zaki
"le liyaa vaada un ke aane kaa ab muqaddar gharib-khaane kaa khul gayaa raaz muskuraane kaa tum ko nukta milaa bahaane kaa roz hi inqalaab aate hain kyaa bharosa kisi zamaane kaa ek sayyaad ek main ik barq sab ko armaan hai aashiyaane kaa dil mein bhi kuchh hai ai jabin-e-niyaaz tu to hai naqsh aastaane kaa tum to hone lage ho sanjida ab main aansu nahin bahaane kaa jaanein anjaam barq yaa sayyaad hai to aaghaaz aashiyaane kaa qismat-e-ishq yaa ho daulat-e-husn kis ko shikva nahin zamaane kaa ashk-e-rangin miraa fasaana hai zindagi naam hai fasaane kaa yaas hai ik haraa-bharaa buuTaa mere dil ke nigaar-khaane kaa khauf-e-sayyaad se laraztaa huun dil huun main apne aashiyaane kaa zindagi haarne lagi himmat ab rahaa kyaa hai aazmaane kaa gul ki khaatir chaman mein baste hain aur bahaana hai aashiyaane kaa mahfil-e-ghair mein zaraa bach kar main kahin tum ko yaad aane kaa saath tauba lagi hui thi 'zaki' aur khulaa dar sharaab-khaane kaa"
لے لیا وعدہ ان کے آنے کا اب مقدر غریب خانے کا کھل گیا راز مسکرانے کا تم کو نکتہ ملا بہانے کا روز ہی انقلاب آتے ہیں کیا بھروسہ کسی زمانے کا ایک صیاد ایک میں اک برق سب کو ارماں ہے آشیانے کا دل میں بھی کچھ ہے اے جبین نیاز تو تو ہے نقش آستانے کا تم تو ہونے لگے ہو سنجیدہ اب میں آنسو نہیں بہانے کا جانیں انجام برق یا صیاد ہے تو آغاز آشیانے کا قسمت عشق یا ہو دولت حسن کس کو شکوہ نہیں زمانے کا اشک رنگیں مرا فسانہ ہے زندگی نام ہے فسانے کا یاس ہے اک ہرا بھرا بوٹا میرے دل کے نگار خانے کا خوف صیاد سے لرزتا ہوں دل ہوں میں اپنے آشیانے کا زندگی ہارنے لگی ہمت اب رہا کیا ہے آزمانے کا گل کی خاطر چمن میں بستے ہیں اور بہانہ ہے آشیانے کا محفل غیر میں ذرا بچ کر میں کہیں تم کو یاد آنے کا ساتھ توبہ لگی ہوئی تھی ذکیؔ اور کھلا در شراب خانے کا
ले लिया वा'दा उन के आने का अब मुक़द्दर ग़रीब-ख़ाने का खुल गया राज़ मुस्कुराने का तुम को नुक्ता मिला बहाने का रोज़ ही इंक़लाब आते हैं क्या भरोसा किसी ज़माने का एक सय्याद एक मैं इक बर्क़ सब को अरमाँ है आशियाने का दिल में भी कुछ है ऐ जबीन-ए-नियाज़ तू तो है नक़्श आस्ताने का तुम तो होने लगे हो संजीदा अब मैं आँसू नहीं बहाने का जानें अंजाम बर्क़ या सय्याद है तो आग़ाज़ आशियाने का क़िस्मत-ए-इश्क़ या हो दौलत-ए-हुस्न किस को शिकवा नहीं ज़माने का अश्क-ए-रंगीं मिरा फ़साना है ज़िंदगी नाम है फ़साने का यास है इक हरा-भरा बूटा मेरे दिल के निगार-ख़ाने का ख़ौफ़-ए-सय्याद से लरज़ता हूँ दिल हूँ मैं अपने आशियाने का ज़िंदगी हारने लगी हिम्मत अब रहा क्या है आज़माने का गुल की ख़ातिर चमन में बस्ते हैं और बहाना है आशियाने का महफ़िल-ए-ग़ैर में ज़रा बच कर मैं कहीं तुम को याद आने का साथ तौबा लगी हुई थी 'ज़की' और खुला दर शराब-ख़ाने का

More by Damodar Thakur Zaki
View all →"nazar ban kar tajalli jalva-gar hai jahaan be-saakhta sajde mein sar hai ye kis se khel ai dil kuchh khabar hai nazar hai ye hasinon ki nazar hai vo aate hain to aaein un kaa ghar hai zahe-taqdir kyaa achchhi khabar hai kisi kaa har-nafas dil mein guzar hai magar aankhon ko kyaa is ki khabar hai zaraa bhi sah nahin sakte jise tum vo kaifiyyat hamaari umr bhar hai phir aage kyaa huaa saaqi hi jaane nazar mujh par paDi itni khabar hai qayaamat mein nishaani zindagi ki meri tar-daamani hai chashm-e-tar hai vo kyaa jaane kisi ke dil ki haalat jo apne haal hi se be-khabar hai qadam uThte nahin dil baiThtaa hai khudaa jaane ye kis ki rahguzar hai vo gesu khol kar aae chaman mein sabaa laai hai aur uDti khabar hai judaa hain ai 'zaki' vo jiine vaale magar jiine kaa ilzaam apne sar hai"
"vo saamne hon aur nazar ko khabar na ho barbaad is qadar bhi shuur-e-nazar na ho tujh se ilaaj agar na ho ai chaaraagar na ho raaz-e-gham-e-mariz magar dar-ba-dar na ho aankhein bichhi hui hain bahut duur duur tak mumkin nahin ki aap ki ye rahguzar na ho mujh par baras paDe na kahin barhami-e-zulf jo tere sar balaa hai mire dil ke sar na ho tujh se hi mere jazba-e-ulfat mein jaan hai ai zindagi hayaat tiri mukhtasar na ho hai vusat-e-nigaah ko kuchh aur justuju ai hadd-e-kaaenaat tu hadd-e-nazar na ho raah-e-vafaa kaa lutf bhi kuchh chal ke dekhiye is rahguzar pe aap kaa shaayad guzar na ho jazbaat-e-dil ko laakh chhupaate ho tum magar is bazm mein kahin koi ahl-e-nazar na ho kyaa ho gayaa hai tujh ko khudaa jaane ai 'zaki' dil mein koi ho aur nazar ko khabar na ho"
"buland ziist kaa apni vaqaar ho na sakaa tiri nazar mein miraa pyaar pyaar ho na sakaa zamaana zindagi kaa saazgaar ho na sakaa jiye zarur magar e'tibaar ho na sakaa tiraa vaqaar mukammal vaqaar ho na sakaa kisi se tujh ko zamaane mein pyaar ho na sakaa zamaana saaraa huaa hai tumhaaraa mahram-e-raaz na ho sakaa to miraa e'tibaar ho na sakaa hayaat guzri zamaane ki gham-gusaari mein magar koi bhi miraa gham-gusaar ho na sakaa"
"naqsh-e-qadam mile jo tire chal ke sar se ham aksar guzar gae hain tiri rahguzar se ham hain be-niyaaz tandahi-e-chaaraagar se ham be-khud rahe inaayat-e-dard-e-jigar se ham samjhe jahaan ko apnaa baDe karr-o-far se ham dekhe gae hamesha paraai nazar se ham naqsh-e-qadam se chimTe tiri rahguzar se ham par teri diid ko rahe tarse ke tarse ham ham dekhte hain tum ko hamaari nigaah se ghairon ko dekhte hain tumhaari nazar se ham mahfuz kar le apne liye gham-gusaariyaan sayyaad baa-khabar hain tire khair-o-shar se ham tum ko samajh ke tum sitam apne pe Dhaa liye kis darje be-khabar hain hamaari khabar se ham allaah shaikh ji ko tu jannat kare nasib vaabasta subh-o-shaam rahein un ke dar se ham laate na tere ishq mein shikve zabaan par aap apne ko samajhte agar peshtar se ham ham tere ho ke bazm mein teri na rah sake mahfil thi teri aankh si teri nazar se ham yaa paar honge chiir ke yaa Duub jaaeinge saahil pe ruk na jaaeinge tufaan ke Dar se ham nikli hui duaaein abhi justuju mein hain shaayad baid-tar hain maqaam-e-asar se ham nazron se sab ki gir gae parvaa na thi hamein lekin ghazab hai girte hain apni nazar se ham kyaa hashr hone vaalaa hai dekheinge ai 'zaki' baiThe hain dil lagaa ke kisi fitna-gar se ham"
"un ke milne kaa ba-zaahir to yaqin koi nahin vo agar chaahein koi shak hai nahin koi nahin ai junun teri 'inaayat se hai tanhaai nasib aur to saare bayaabaan mein kahin koi nahin mutmain jab the to himmat kaa thaa saath apne hujum Dar jahaan hone lagaa ham ko vahin koi nahin 'ishq ki raahon mein aayaa hai ik aisaa bhi maqaam sirf ik main huun vahaan ahl-e-zamin koi nahin ek din naqsh-e-qadam par mire ban jaaegi raah aaj sahraa mein to tanhaa huun kahin koi nahin"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"