SHAWORDS

lutf aayaa hai jaan-fishaani mein — Asad Raza Sahar

"lutf aayaa hai jaan-fishaani mein hijr kaaTaa hai zindagaani mein sar jhukaae adab se aati hai maut mausam ki raajdhaani hai kaise khush main dikhaai detaa naa zikr meraa bhi thaa kahaani mein ek beTaa milaa thaa minnat se mar gayaa thaa vahi javaani mein rang badlaa huaa hai aaj us kaa zahr lagtaa hai yaar paani mein tai karungaa sabhi manaazil ko aaj rangin shab suhaani mein phans chukaa hai guzishta din se 'sahar' ek aafaat-e-naa-gahaani mein"
Urdu

لطف آیا ہے جاں فشانی میں ہجر کاٹا ہے زندگانی میں سر جھکائے ادب سے آتی ہے موت موسم کی راجدھانی ہے کیسے خوش میں دکھائی دیتا نا ذکر میرا بھی تھا کہانی میں ایک بیٹا ملا تھا منت سے مر گیا تھا وہی جوانی میں رنگ بدلا ہوا ہے آج اس کا زہر لگتا ہے یار پانی میں طے کروں گا سبھی منازل کو آج رنگین شب سہانی میں پھنس چکا ہے گزشتہ دن سے سحرؔ ایک آفات ناگہانی میں

Hindi

लुत्फ़ आया है जाँ-फ़िशानी में हिज्र काटा है ज़िंदगानी में सर झुकाए अदब से आती है मौत मौसम की राजधानी है कैसे ख़ुश मैं दिखाई देता ना ज़िक्र मेरा भी था कहानी में एक बेटा मिला था मिन्नत से मर गया था वही जवानी में रंग बदला हुआ है आज उस का ज़हर लगता है यार पानी में तय करूँगा सभी मनाज़िल को आज रंगीन शब सुहानी में फँस चुका है गुज़िश्ता दिन से 'सहर' एक आफ़ात-ए-ना-गहानी में

lutf aayā hai jāñ-fishānī meñ
Asad Raza Sahar
Asad Raza Sahar
Asad Raza Sahar
poet19 quotes

More by Asad Raza Sahar

View all →
Quote
"aziyyat-naak hotaa hai kisi ke hijr mein rahnaa khushi jitni bhi mil jaae main gham mahsus kartaa huun kisi ke hijr mein aankhon ko roe umr guzri hai magar is aankh ko ab tak main nam mahsus kartaa huun miri har ik khushi tum se miri rag rag mein bahte ho faqat teraa hi main hamdam alam mahsus kartaa huun aqidat aur ulfat se main jab masjid ko jaataa huun main is kachchi si masjid ko haram mahsus kartaa huun alag ye baat hai ab tak madine jaa sakaa na main magar un kaa main khud par sab karam mahsus kartaa huun hamaare darmiyaan jab se ravayyon ki chhiDi hai jang agar vo aap bhi kah le main tum mahsus kartaa huun har ik neki kaa badla laakh neki hai 'sahar' is maah ibaadat jitni kar luun phir bhi kam mahsus kartaa huun"
Asad Raza SaharAsad Raza Sahar
Quote
"ik khaak-zaada chalne lagaa laa-ilaah ki samt yaani ki gaamzan main huaa karbalaa ki samt mujh ko kisi tabib se koi gharaz nahin bimaar paD ke aataa huun khaak-e-shifaa ki samt jab muntazir the hur ke vahaan par husain khud kaise fanaa se aataa na phir hur baqaa ki samt karb-o-balaa mein jaataa huun aankhon mein nam liye naara lagaa ke jaataa huun mushkil-kushaa ki samt maulaa tumhaaraa gham bhi manaane ko ye malak arsh-e-barin se aate hain farsh-e-azaa ki samt kaise bhalaa na roein use dekh kar husain ghaazi saa sher bhaai chalaa alqamaa ki samt dekho ghazal se martaba is kaa buland hai chhoDo ghazal ko aao 'sahar' marsiya ki samt"
Asad Raza SaharAsad Raza Sahar
Quote
"chhup kar royaa jaa saktaa hai dil bahlaayaa jaa saktaa hai aadam-zaade ishq ki rah mein kaam bhi aayaa jaa saktaa hai din ko grahan lag saktaa hai dhuup mein saaya jaa saktaa hai izzat milnaa mushkil hai par naam kamaayaa jaa saktaa hai namak-haraami maadda hai jo khuun mein paayaa jaa saktaa hai aansu paani hai par is se shahr jalaayaa jaa saktaa hai ghurbat mein gar bhuuk lage to patthar khaayaa jaa saktaa hai pyaase lashkar ke paani mein zahr milaayaa jaa saktaa hai vaise milnaa naa-mumkin hai khvaab mein aayaa jaa saktaa hai is basti mein chup rah kar bhi shor machaayaa jaa saktaa hai khud se tere chheD ke qisse ji lalchaayaa jaa saktaa hai tere ek ishaare par bhi 'sahar' manaayaa jaa saktaa hai"
Asad Raza SaharAsad Raza Sahar
Quote
"aaj mujh ko bhi mire ahbaab dhoka de gae main tavaanaa shakhs thaa aasaab dhoka de gae gaanv ki kuchh laDkiyaan apne ghaDe bharne gaiin khushk thaa paani vahaan taalaab dhoka de gae jo nazar aate the aksar un jabinon par tujhe kyaa karein maathe ke vo mehraab dhoka de gae apne haathon se khilaataa thaa magar vo uD gae aaj mujh ko vo mire surkhaab dhoka de gae main muaafi chaahtaa huun mujh se ghalati ho gai kuchh bhi mushkil thaa nahin eraab dhoka de gae aaj se main hijr kaaTungaa tasalli se 'sahar' jo kabhi dekhe the main ne khvaab dhoka de gae"
Asad Raza SaharAsad Raza Sahar
Quote
"ki jaae chhup ke aisi yahaan ghaaebaana baat sarhad ke paar pahunche na ye kaafiraana baat mahfil yahaan saji hai magar tu nahin yahaan teri bhi kaash hoti koi moajizaana baat us ko koi shaghaf hi kahaan shaairi se hai mahfil mein kaise karte rahe shaairaana baat dekho to ek aam saa kam-fahm saa vo hai dohraa rahaa hai aaj bhi us ki zamaana baat haasil to kuchh na hogaa tumhein maar-piT se karte hain saare mil ke koi dostaana baat aksar main tujh se baat yahi kahtaa huun 'sahar' ghusse ko chhoD kar koi ab aajizaana baat"
Asad Raza SaharAsad Raza Sahar

More on Hijr

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyuun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati vo farq dilon kaa vo judaai nahin jaati kyaa dhuum bhi naalon se machaai nahin jaati soti hui taqdir jagaai nahin jaati kuchh shikva na karte na bigaDtaa vo shab-e-vasl ab ham se koi baat banaai nahin jaati dekho to zaraa khaak mein ham milte hain kyunkar ye nichi nigah ab bhi uThaai nahin jaati kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge maangaa karo tum maut abhi aai nahin jaati vo ham se mukaddar hain to ham un se mukaddar kah dete hain saaf apni safaai nahin jaati ham sulh bhi kar lein to chali jaati hai un mein baaham dil o dilbar ki laDaai nahin jaati khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge ye raah bataane se bataai nahin jaati chhupti hai 'jalaal' aankhon mein kab hasrat-e-didaar sau parde agar hon to chhupaai nahin jaati"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi