SHAWORDS

mahakte miThe mastaane zamaane — Majeed Amjad

HomeMajeed AmjadGhazal
"mahakte miThe mastaane zamaane kab aaeinge vo man-maane zamaane jo mere kunj-e-dil mein gunjte hain nahin dekhe vo duniyaa ne zamaane tiri palkon ki jumbish se jo Tapkaa usi ik pal ke afsaane zamaane tiri saanson ki saughaatein bahaarein tiri nazron ke nazraane zamaane kabhi to meri duniyaa se bhi guzro liye aankhon mein anjaane zamaane unhi ki zindagi jo chal paDe hain tiri maujon se Takraane zamaane main fikr-e-raaz-e-hasti kaa parastaar miri tasbih ke daane zamaane"
Majeed Amjad
Majeed Amjad
Majeed Amjad
poet53 quotes

More by Majeed Amjad

View all →
Quote
"baDhi jo had se to saare tilism toD gai vo khush-dili jo dilon ko dilon se joD gai abad ki raah pe be-khvaab dhaDkanon ki dhamak jo so gae unhein bujhte jagon mein chhoD gai ye zindagi ki lagan hai ki rat-jagon ki tarang jo jaagte the unhi ko ye dhun jhinjhoD gai vo ek Tiis jise teraa naam yaad rahaa kabhi kabhi to mire dil kaa saath chhoD gai rukaa rukaa tire lab par ajab sukhan thaa koi tiri nigah bhi jise naa-tamaam chhoD gai faraaz-e-dil se utarti hui nadi 'amjad' jahaan jahaan thaa hasin vaadiyon kaa moD gai"
Majeed AmjadMajeed Amjad
Quote
"chehra udaas udaas thaa mailaa libaas thaa kyaa din the jab khayaal-e-tamannaa libaas thaa uryaan zamaana-gir sharar-gun jibillatein kuchh thaa to ek barg-e-dil un kaa libaas thaa us moD par abhi jise dekhaa hai kaun thaa sambhali hui nigaah thi saada libaas thaa yaadon ke dhundle des khili chaandni mein raat teraa sukut kis ki sadaa kaa libaas thaa aise bhi log hain jinhein parkhaa to un ki ruuh be-pairahan thi jism saraapaa libaas thaa sadiyon ke ghaaT par bhare melon ki bhiiD mein ai dard-e-shaadmaan tiraa kyaa kyaa libaas thaa dekhaa to dil ke saamne saayon ke jashn mein har aks-e-aarzu kaa anokhaa libaas thaa 'amjad' qabaa-e-shah thi ki cholaa faqir kaa har bhes mein zamir kaa pardaa libaas thaa"
Majeed AmjadMajeed Amjad
Quote
"chaandni mein saaya-haa-e-kaakh-o-ku mein ghumiye phir kisi ko chaahne ki aarzu mein ghumiye shaayad ik bhuli tamannaa miTte miTte ji uThe aur bhi is jalva-zaar-e-rang-o-bu mein ghumiye ruuh ke darbasta sannaaTon ko le kar apne saath hamhamaati mahfilon ki haao-hu mein ghumiye kyaa khabar kis moD par mahjur yaadein aa milein ghumti raahon pe gard-e-aarzu mein ghumiye zindagi ki raahatein milti nahin milti nahin zindagi kaa zahr pi kar justuju mein ghumiye kunj-dauraan ko nae ik zaaviye se dekhiye jin khalaaon mein niraale chaand ghumein ghumiye"
Majeed AmjadMajeed Amjad

More on Zindagi

View all →
Quote
"qafas tak bhi pahunch hai yaa faqat ik aashiyaan tak hai rasaai dekhni hai barq-e-sozaan ki kahaan tak hai mujhe lazzat-kash-e-bedaad paa kar haath kyon rokaa zaraa to aazmaate hausla dil kaa kahaan tak hai yaqin apni vafaa par hai taghaaful kaa nahin shikva tiri begaangi ham jaante hain imtihaan tak hai nasheman phunk kar zaalim havaa detaa hai daaman ki ghubaar-e-khaatir-e-sayyaad khaak-e-aashiyaan tak hai zaraa saa dil hai lekin jaan hai bazm-e-do-aalam ki ye saari garmi-e-hangaama qalb-e-naa-tavaan tak hai shikast-e-dil kaa baais aarzu-e-dil ko Thahraayaa gumaan-e-nek tujh se bad-gumaan dekhaa kahaan tak hai yahi ruh-e-tamanna hai yahi hai jaan-e-dil 'kaifi' qafas mein zindagi apni khayaal-e-aashiyaan tak hai"
Abdur Rasheed Khan Kaifi MahkariAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Quote
"chup raho tum bhi tumhaari bhi zabaani aur hai mujh se hi meri suno meri kahaani aur hai ek ko din se khushi hai dusre ko raat se din kaa raaja aur hai raaton ki raani aur hai ik tire gham par bahaa hai ek jalve par tire ashk-e-dida aur hai diide kaa paani aur hai ye nahin vo aab-e-baaraan baarhaa jo mil sake kaam hi mein laa ki aab-e-zindagaani aur hai aankh se utraa to aankhein tum chaDhaaoge miyaan dekh lenaa ye khumaar-e-khush-gumaani aur hai zindagi ke baa'd teri maut ‘akhtar-aazmi' kah rahi hai zindagi ki ik kahaani aur hai"
Akhtar AzmiAkhtar Azmi
Quote
"meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagaate raho kaifiyat dil ki zaahir kisi par na ho gham khushi ki jhalak mein chhupaate raho Dagmagaane na do hauslon ke qadam apni himmat kaa rakhnaa hai tum ko bharam bijliyaan aashiyaana jalaati rahein tum nayaa aashiyaana banaate raho kar dein viraan na ye amn ki bastiyaan bughz-o-nafrat ki ye sar-phiri aandhiyaan in ko rakhnaa hai tum ko jo auqaat mein tum charaagh-e-mohabbat jalaate raho kyaa khabar kyaa hain aisi bhi majburiyaan baDh gaiin khuni rishton mein bhi duriyaan dosto ye taqaazaa hai haalaat kaa duriyaan tum dilon ki miTaate raho sar kaTe yaa rahe is kaa gham na karo zulm ke saamne tum kahin na jhuko jo ghalat hai tum us ki mazammat karo aur aavaaz-e-haq bhi uThaate raho ji lo khud ke liye kuchh nahin faaeda zindagi kaa hai 'aalam' yahi qaa'eda maqsad-e-zindagi hogaa haasil tumhein dusron ke sadaa kaam aate raho"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"dhuup mein qatra-e-shabnam ko taras jaaoge shahr mein gaanv ke mausam ko taras jaaoge zakhm itne tumhein aavaara-mizaaji degi gardish-e-vaqt ke marham ko taras jaaoge din mein jugnu ki tabaahi pe manaa lo khushiyaan shab mein chamkegaa to maatam ko taras jaaoge zindagi se kabhi aaraam talab mat karnaa dosto mehnat-e-paiham ko taras jaaoge aadamiyyat ke libaade mein raho tum varna ek din nisbat-e-aadam ko taras jaaoge aaj aasaani se miltaa huun to mil lo varna dekhne ke liye 'aalam' ko taras jaaoge"
Aalam NizamiAalam Nizami