SHAWORDS

main hujum-e-gham se ghabraayaa nahin — Bismil Aazmi

HomeBismil AazmiGhazal
"main hujum-e-gham se ghabraayaa nahin koi lamha garche raas aaya nahin vaqt ki badli hui qadron ke saath zindagi mein inqalaab aaya nahin jin ki zulfon kaa rahaa huun main asiir un ki yaadon ne bhi taDpaayaa nahin chamkaa hai har lamha ummidon kaa chaand vaqt ki gardish ne gahnaayaa nahin bad-nasibi Deraa Daale hi rahi phir bhi kuchh logon ne Thukraayaa nahin jis ke dar par muddaton sajda kiyaa us ne bhi kuchh faiz pahunchaayaa nahin"
Urdu

میں ہجوم غم سے گھبرایا نہیں کوئی لمحہ گرچہ راس آیا نہیں وقت کی بدلی ہوئی قدروں کے ساتھ زندگی میں انقلاب آیا نہیں جن کی زلفوں کا رہا ہوں میں اسیر ان کی یادوں نے بھی تڑپایا نہیں چمکا ہے ہر لمحہ امیدوں کا چاند وقت کی گردش نے گہنایا نہیں بد نصیبی ڈیرا ڈالے ہی رہی پھر بھی کچھ لوگوں نے ٹھکرایا نہیں جس کے در پر مدتوں سجدہ کیا اس نے بھی کچھ فیض پہنچایا نہیں

Hindi

मैं हुजूम-ए-ग़म से घबराया नहीं कोई लम्हा गरचे रास आया नहीं वक़्त की बदली हुई क़द्रों के साथ ज़िंदगी में इंक़लाब आया नहीं जिन की ज़ुल्फ़ों का रहा हूँ मैं असीर उन की यादों ने भी तड़पाया नहीं चमका है हर लम्हा उम्मीदों का चाँद वक़्त की गर्दिश ने गहनाया नहीं बद-नसीबी डेरा डाले ही रही फिर भी कुछ लोगों ने ठुकराया नहीं जिस के दर पर मुद्दतों सज्दा किया उस ने भी कुछ फ़ैज़ पहुँचाया नहीं

maiñ hujūm-e-ġham se ghabrāyā nahīñ
Bismil Aazmi
Bismil Aazmi
Bismil Aazmi
poet30 quotes

More by Bismil Aazmi

View all →
Quote
"baa'd muddat ke ye ehsaas huaa ho jaise dil ke sahraa mein koi phuul khilaa ho jaise khun-aashaami-o-barbaadi kaa baazaar hai garm har-su vahshat kaa nayaa baab khulaa ho jaise gardish-e-vaqt ne is tarh se angDaai li khvaab-e-vahshat se koi chaunk gayaa ho jaise ab to baaqi na rahaa mujrim-o-munsif kaa savaal ek hi saf mein har ik shakhs khaDaa ho jaise kaun batlaaegaa ab asl haqiqat kyaa hai chashm-e-binaa pe bhi parda saa paDaa ho jaise puchh mat mujh se miri haalat-e-dil ai 'bismil' dil ke zakhmon pe nayaa tiir chalaa ho jaise"
Bismil AazmiBismil Aazmi
Quote
"kaarvaan aaj bhi sargarm-e-safar hai shaayad ab bhi pur-pech koi raahguzar hai shaayad mo'tarif vo bhi hain kal tak jo mukhaalif the mire ye miri kaavish-o-mehnat kaa samar hai shaayad log haathon mein uThaae hue patthar dauDe raaste mein kisi divaane kaa ghar hai shaayad maan se vaa'da thaa ki main lauT ke ghar aaungaa muntazir aaj bhi vo dida-e-tar hai shaayad log sahme hue baiThe hain makaan mein apne phir isi samt se tufaan kaa guzar hai shaayad mere qaatil ne mujhe dekh ke pahchaan liyaa ye to is daur kaa e’jaaz-e-nazar hai shaayad mal rahaa hai kaf-e-afsos baDi der se vo us ke TuuTe hue khvaabon kaa asar hai shaayad ab bhi har shai hai dhundalkon kaa labaada oDhe shaam-aagin miri duniyaa ki sahar hai shaayad nim-'bismil' saa mujhe kar gaiin jis ki nazrein vo koi aur nahin rashk-e-qamar hai shaayad"
Bismil AazmiBismil Aazmi
Quote
"har hasin khvaab dam-e-subh bikharte dekhaa gesu-e-ranj-o-alam ko bhi sanvarte dekhaa husn-e-maghrur ko be-maut hi marte dekhaa ishq-e-majbur ko har dar se guzarte dekhaa qad baDhaane ke liye khabron mein aane ke liye husn-e-afkaar ke daaman ko kutarte dekhaa main ne aabaad hue dekhaa hai viraanon ko dil ki duniyaa ko kai baar bikharte dekhaa Dubtaa hai jahaan har roz chamaktaa dekhaa zulmat-e-shab mein vahin chaand ubharte dekhaa fasl-e-gul mein bhi hai ghunchon pe udaasi kaa samaan shaakh par kaanTon kaa bhi rang nikharte dekhaa fan ki dahliz pe is ahd ke fankaaron ko apni peshaani shab-o-roz ragaDte dekhaa"
Bismil AazmiBismil Aazmi
Quote
"shagufta yaadon kaa mausam baDaa suhaanaa lage tumhein banaa luun main apnaa agar buraa na lage vo de na paaegaa meri mohabbaton kaa javaab use to meraa har ik lafz taaziyaana lage du'aa yahi hai mujhe bhuul jaao tum varna tumhein bhulaane mein mujh ko bahut zamaana lage qabaa gulon ki bahaaron mein chaak-chaak hai kyon havaa-e-sahn-e-chaman mujh ko baaghiyaana lage jalaaungaa main havaaon ki zad pe ab bhi diye ye 'azm chaahe zamaane ko khud-saraana lage sunaa chuke sabhi rudaad-e-gham unhein 'bismil' ab aisaa giit sunaao jo dil-baraana lage"
Bismil AazmiBismil Aazmi
Quote
"mausam hai bahaaron kaa har ik zakhm haraa hai ehsaas-e-gham-e-soz-e-darun jaag uThaa hai baDh jaae na betaabi-e-dil sabr ki had se guzre hue lamhon ne tumhein yaad kiyaa hai badmast fazaaon mein bikharti hui khushbu ai dost ye shaayad tire aane kaa pataa hai ik tum se hi dil ko mire mil jaati hai Dhaaras varna yahaan har shakhs bahut mujh se khafaa hai apnon ne hi di hai mujhe har moD pe Thokar naazuk thaa miraa shisha-e-dil TuuT gayaa hai ab bhuul gayaa aariz-o-lab gesu-o-abru honTon kaa tabassum tire bas yaad rahaa hai sunte hain siyah-raaton mein luuTe gae sab log 'bismil' to magar din ke ujaale mein luTaa hai"
Bismil AazmiBismil Aazmi
Quote
"baDh baDh ke bazm-e-naaz se saaghar uThaae jaa josh-e-junun mein aur zaraa laDkhaDaae jaa bahke na yuun qadam ki koi rind kah sake apni nigaah-e-naaz se mujh ko pilaae jaa baada-kashi ke baa'd huiin ne'matein tamaam naqsh-e-khayaal-e-khaam ko dil se miTaae jaa maayus ho gae hain jo is zindagi se aaj lutf-e-hayaat kaa unhein muzhda sunaae jaa tanhaaiyon ki bazm mein zinda-dili ke saath apne khayaal-o-khvaab ki duniyaa basaae jaa chhalke na dast-e-shauq se sahbaa-e-zindagi is ehtiyaat se mai-o-minaa lunDhaae jaa 'azm-o-yaqin ke saath sadaa bazm-e-naaz mein husn-e-sitam-shi’aar se daaman bachaae jaa miT jaaein zindagi ki sabhi talkhiyaan agar raqs-e-junun ke saath koi giit gaae jaa"
Bismil AazmiBismil Aazmi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi