SHAWORDS

main ne har gaam pe dhoke khaae — Nusrat Siddiqui

"main ne har gaam pe dhoke khaae mujh ko chehre nahin paDhne aae phir tiri yaad kaa suraj chamkaa phir gurezaan hue mujh se saae main ne khushiyon pe kiye hain mahmul justuju mein jo tiri gham paae jin ke qad misraa-e-mauzun Thahre bas vahi jaan-e-ghazal kahlaae zabt-e-izhaar ko tarse 'nusrat' khuun jazbaat kaa hotaa jaae"
Urdu

میں نے ہر گام پہ دھوکے کھائے مجھ کو چہرے نہیں پڑھنے آئے پھر تری یاد کا سورج چمکا پھر گریزاں ہوئے مجھ سے سائے میں نے خوشیوں پہ کئے ہیں محمول جستجو میں جو تری غم پائے جن کے قد مصرع موزوں ٹھہرے بس وہی جان غزل کہلائے ضبط اظہار کو ترسے نصرتؔ خون جذبات کا ہوتا جائے

Hindi

मैं ने हर गाम पे धोके खाए मुझ को चेहरे नहीं पढ़ने आए फिर तिरी याद का सूरज चमका फिर गुरेज़ाँ हुए मुझ से साए मैं ने ख़ुशियों पे किए हैं महमूल जुस्तुजू में जो तिरी ग़म पाए जिन के क़द मिस्रा-ए-मौज़ूँ ठहरे बस वही जान-ए-ग़ज़ल कहलाए ज़ब्त-ए-इज़हार को तरसे 'नुसरत' ख़ून जज़्बात का होता जाए

maiñ ne har gaam pe dhoke khaa.e
Nusrat Siddiqui
Nusrat Siddiqui
Nusrat Siddiqui
poet17 quotes

More by Nusrat Siddiqui

View all →
Quote
"gae dinon ke dariche sajaane lagte hain ham apne haal ko maazi banaane lagte hain khulus-o-mehr-o-mohabbat ki qadr khatm hui hayaat-e-nau mein ye sikke puraane lagte hain vo kaun hai jo unhein khelne nahin detaa vo kam-sini mein jo rozi kamaane lagte hain main teri zulf ke saae mein ruk to jaaun magar tire jamaal ke shoale jalaane lagte hain zamaane baad tu aayaa hai lamha bhar to Thahar ki aate-aate ye lamha zamaane lagte hain jinhon ne qaumi tashakhkhus ko paaemaal kiyaa maaashre ko vo unche gharaane lagte hain hamein vo ghair samajhtaa hai to gila kaisaa ki ibtidaa mein ghalat bhi nishaane lagte hain ye ishq-bel kabhi sukhti nahin 'nusrat' visaal-rut mein isi ko fasaane lagte hain"
Nusrat SiddiquiNusrat Siddiqui
Quote
"dil-jhil mein pheinkaa hai tiri yaad ne patthar sar se na guzar jaae koi mauj ubhar kar ye phuul se rukh sarv se qad chaand se paikar halchal si machaa dete hain jazbaat ke andar kuchh aur sitam aur sitam ai gham-e-dauraan khulte hain baDi der mein insaan ke jauhar tu paas bhi itnaa ki tujhe dekh na paaun tu duur bhi itnaa ki miri soch se baahar main kaun si manzil ke liye garm-e-safar huun chaltaa nahin koi bhi mire naqsh-e-qadam par ik tu ki tiraa ek hi rishta hai jahaan mein ik main ki mire sainkaDon rishte hain zamin par insaan kaa safar su-e-qamar khuub hai lekin fitne na uThaae ye kahin chaand mein jaa kar ai subh-e-tarab aa miri aankhon mein samaa jaa maghmum na kar jaaein tujhe shaam ke manzar kab tak vo kiraae ke makaanon mein raheinge 'nusrat' jo banaa sakte nahin apne liye ghar"
Nusrat SiddiquiNusrat Siddiqui
Quote
"yaas hi se kabhi guzar pyaare muntazir hain dil-o-nazar pyaare phuul khilte gae mohabbat ke tu ne dekhaa jidhar-jidhar pyaare gauhar-e-dil ki qadr kyaa karte ye hasin log kam-nazar pyaare do qadam saath kyaa chale ham tum baat pahunchi nagar-nagar pyaare main to khud hi fareb-khurda huun tu miri justuju na kar pyaare ban gae log saahab-e-daulat jins-e-imaan ko bech kar pyaare yuun to ahbaab aur bhi hain bahut tujh se baDh kar nahin magar pyaare tang-dasti mein dekhnaa 'nusrat' bik na jaae kahin hunar pyaare"
Nusrat SiddiquiNusrat Siddiqui
Quote
"yaad kaa rog mat lagaa pyaare ahd-e-maazi ko bhuul jaa pyaare ji bahaltaa nahin tasavvur se tu kabhi saamne bhi aa pyaare naam ke rah gae hain duniyaa mein dost ahbaab aqrabaa pyaare ye bhi ik tarz-e-gham-gusaari hai tu miraa hausla baDhaa pyaare shisha-e-dil ko toDne vaale tu ne achchhaa nahin kiyaa pyaare jazba-e-shauq mar na jaae kahin ehtiyaatan hi ruuTh jaa pyaare peD se gir ke zard patton ne bhar diyaa farsh kaa khalaa pyaare teraa gham bhi gham-e-zamaana bhi gham bhi khaalis nahin rahaa pyaare aas ke diip to jalaa 'nusrat' shaam kaa vaqt ho chalaa pyaare"
Nusrat SiddiquiNusrat Siddiqui
Quote
"sahraa ki tarah shahr-e-vafaa hai ki nahin hai har saahib-e-dil aabla-paa hai ki nahin hai pahchaante hain log tire naam se mujh ko ab teraa pataa meraa pataa hai ki nahin hai taskin ke lamhaat ko tarsi hui duniyaa haalaat se har chand khafaa hai ki nahin hai naamus-e-vatan luTne vaalon ke liye bhi yaa-rab koi aain-e-sazaa hai ki nahin hai is zulf ke saae mein ye ehsaas jalaae hanste hue sahraa pe ghaTaa hai ki nahin hai jis husn kaa partav miri taqdir badal de vo mere liye zill-e-humaa hai ki nahin hai 'nusrat' main isi fikr mein rahtaa huun pareshaan insaan ko haqiqat mein fanaa hai ki nahin hai"
Nusrat SiddiquiNusrat Siddiqui

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer