SHAWORDS

main us mein aks-e-talab apnaa DhunDhti hi rahi — Naz Butt

HomeNaz ButtGhazal
"main us mein aks-e-talab apnaa DhunDhti hi rahi magar vo chashm-e-mohabbat ki ajnabi hi rahi vo ik charaagh jo us lams ne jalaayaa thaa mire badan mein sadaa us ki raushni hi rahi qaraar paayaa nahin tere qurb mein bhi magar tujhe ganvaa ke bhi is dil mein be-kali hi rahi go mukhtasar the bahut tere vasl ke lamhe tamaam umr tire gham se dosti hi rahi khudaa nahin to magar umr bhar mohabbat mein tire huzur jabin-e-vafaa jhuki hi rahi"
Urdu

میں اس میں عکس طلب اپنا ڈھونڈھتی ہی رہی مگر وہ چشم محبت کہ اجنبی ہی رہی وہ اک چراغ جو اس لمس نے جلایا تھا مرے بدن میں سدا اس کی روشنی ہی رہی قرار پایا نہیں تیرے قرب میں بھی مگر تجھے گنوا کے بھی اس دل میں بے کلی ہی رہی گو مختصر تھے بہت تیرے وصل کے لمحے تمام عمر ترے غم سے دوستی ہی رہی خدا نہیں تو مگر عمر بھر محبت میں ترے حضور جبین وفا جھکی ہی رہی

Hindi

मैं उस में अक्स-ए-तलब अपना ढूँढती ही रही मगर वो चश्म-ए-मोहब्बत कि अजनबी ही रही वो इक चराग़ जो उस लम्स ने जलाया था मिरे बदन में सदा उस की रौशनी ही रही क़रार पाया नहीं तेरे क़ुर्ब में भी मगर तुझे गँवा के भी इस दिल में बे-कली ही रही गो मुख़्तसर थे बहुत तेरे वस्ल के लम्हे तमाम उम्र तिरे ग़म से दोस्ती ही रही ख़ुदा नहीं तो मगर उम्र भर मोहब्बत में तिरे हुज़ूर जबीन-ए-वफ़ा झुकी ही रही

maiñ us meñ aks-e-talab apnā DhūñDhtī hī rahī
Naz Butt
Naz Butt
Naz Butt
poet13 quotes

More by Naz Butt

View all →
Quote
"haris-e-khvaahish-e-laal-o-guhar nahin hui main mohabbaton mein talabgaar-e-zar nahin hui main tiraa khayaal rahaa dil ki dhaDkanon ke qarin so tere gham se kabhi be-khabar nahin hui main sajaayaa khud ko vafaa ke singhaar se main ne isi sabab se kabhi be-hunar nahin hui main kisi ko kaise bataati main manzilon kaa pata jab apne saath sharik-e-safar nahin hui main khudaa-e-husn-azal ne mujhe navaazaa hai khumaar-e-ishq se sarf-e-nazar nahin hui main hai us kaa daavaa ki main us ki zindagi huun 'naaz' vo kyaa karegaa kisi din agar nahin hui main"
Naz ButtNaz Butt
Quote
"chaman saa dasht taa-hadd-e-nazar kitnaa hasin hai tu meraa ham-qadam hai to safar kitnaa hasin hai miri jaanib lapakti manzilon se puchh lenaa kisi ke saath chalne kaa hunar kitnaa hasin hai vo mere saamne baiThaa huaa hai meraa ho kar duaa-e-nim-shab kaa ye asar kitnaa hasin hai zahe qismat ki saaye daar bhi hai baa samar bhi mire sar par mohabbat kaa shajar kitnaa hasin hai ajab khvaab aashnaa aankhein hui hain vasl ki shab khuli hai aankh to rang-e-sahar kitnaa hasin hai main hansti khelti huun jis ke khvaab naa-rasaa mein miraa ehsaas hasrat hai magar kitnaa hasin hai nahin hai 'naaz' kam jannat se meraa aashiyaana mohabbat se muzayyan meraa ghar kitnaa hasin hai"
Naz ButtNaz Butt
Quote
"dil-o-nigaah ki hairat main rah gae hain ham khumaar-e-khvaab ki lazzat mein rah gae hain ham churaa ke le gai duniyaa-e-pur-fareb us ko aur apni saada tabiat mein rah gae hain ham hamein to khinch rahaa thaa safar tiri jaanib bas is jahaan ki rivaayat mein rah gae hain ham vo dekhtaa hai ki jaise na ham ko dekhaa ho is aaine ki sharaarat mein rah gae hain ham hamein talaash rahaa thaa visaal kaa lamha kisi ke hijr ki saaat mein rah gae hain ham havaa ke saath kahaan tak gulaab jaa sakte bikhar ke raah-e-mohabbat mein rah gae hain ham vo apne khvaab ke hamraah jaa chukaa hai naaz akele apni haqiqat mein rah gae hain ham"
Naz ButtNaz Butt
Quote
"kuchh is adaa se hamein gham-gusaar milte hain hazaar zakhm pas-e-e'tibaar milte hain shab-e-firaaq ki vahshat na puchhiye ham se ham apne hijr se divaana-vaar milte hain ye shahr-e-zakhm-faroshaan hai haae kyaa kiije ki paa-e-gul bhi yahaan khaar khaar milte hain vo jin ki kokh mein shauq-e-khirad panaptaa hai vo valvale bhi junun kaa shikaar milte hain sajaa ke rakhte hain jin ko chamak ki khvaahish mein vo aaine bhi hamein daagh-daar milte hain hamein unhi se tavaqqo hai 'naaz' manzil ki jo raaste hamein ban kar ghubaar milte hain"
Naz ButtNaz Butt
Quote
"pahle dukh dard kai dil mein sambhaale main ne phir kiyaa khud ko tire gham ke havaale main ne kyuun khule tujh pe safar mein thi aziyat kaisi kab dikhaae hain tujhe ruuh ke chhaale main ne tu ne har gaam jo bakhshe hain andhere mujh ko un andheron mein tire khvaab ujaale main ne teri tasvir mire paas thi yaani tu thaa din tire hijr ke is khvaab mein Taale main ne tere gham se kiyaa duniyaa ke ghamon kaa chaara yaani ik khaar se sab khaar nikaale main ne shahr vaalon ne inhein abr-e-karam samjhaa naaz apne aansu jo havaaon mein uchhaale main ne"
Naz ButtNaz Butt

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari