SHAWORDS

main vo sukut samaaat kaa huun — Ain Salam

HomeAin SalamGhazal
"main vo sukut samaaat kaa huun har pal ki aahaT suntaa huun khud ko dekh ke soch rahaa huun vaisaa kab huun main jaisaa huun jalte hue suraj ke niche main apne saae mein khaDaa huun kyaa qurbat kyaa duuri har-pal ji bhi rahaa huun mar bhi rahaa huun mujh saa koi khush-fahm na hogaa bed ki shaakhon se phal chaahun umr Dhali takmil mein lekin jaisaa thaa ab tak vaisaa huun har imkaan maanind-e-gumaan hai dariyaa huun yaa ik sahraa huun hasti ke is aaine mein tu meraa main aks tiraa huun ye din-raat miraa partav hain Duub rahaa huun ubhar rahaa huun"
Urdu

میں وہ سکوت سماعت کا ہوں ہر پل کی آہٹ سنتا ہوں خود کو دیکھ کے سوچ رہا ہوں ویسا کب ہوں میں جیسا ہوں جلتے ہوئے سورج کے نیچے میں اپنے سائے میں کھڑا ہوں کیا قربت کیا دوری ہر پل جی بھی رہا ہوں مر بھی رہا ہوں مجھ سا کوئی خوش فہم نہ ہوگا بید کی شاخوں سے پھل چاہوں عمر ڈھلی تکمیل میں لیکن جیسا تھا اب تک ویسا ہوں ہر امکاں مانند گماں ہے دریا ہوں یا اک صحرا ہوں ہستی کے اس آئینے میں تو میرا میں عکس ترا ہوں یہ دن رات مرا پرتو ہیں ڈوب رہا ہوں ابھر رہا ہوں

Hindi

मैं वो सुकूत समाअ'त का हूँ हर पल की आहट सुनता हूँ ख़ुद को देख के सोच रहा हूँ वैसा कब हूँ मैं जैसा हूँ जलते हुए सूरज के नीचे मैं अपने साए में खड़ा हूँ क्या क़ुर्बत क्या दूरी हर-पल जी भी रहा हूँ मर भी रहा हूँ मुझ सा कोई ख़ुश-फ़हम न होगा बेद की शाख़ों से फल चाहूँ उम्र ढली तकमील में लेकिन जैसा था अब तक वैसा हूँ हर इम्काँ मानिंद-ए-गुमाँ है दरिया हूँ या इक सहरा हूँ हस्ती के इस आईने में तू मेरा मैं अक्स तिरा हूँ ये दिन-रात मिरा परतव हैं डूब रहा हूँ उभर रहा हूँ

maiñ vo sukūt samā.at kā huuñ
Ain Salam
Ain Salam
Ain Salam
poet21 quotes

More by Ain Salam

View all →
Quote
"na tirgi ke liye huun na raushni ke liye sitaara-e-sahari huun main zindagi ke liye ye kaun vaqt ki surat mujhe badaltaa hai ye kyaa kisi ke liye kuchh huun kuchh kisi ke liye saraab-e-khvaab ki taabir ju-e-aab sahi main sochtaa huun magar dasht-e-tishnagi ke liye vo mutmain huun gumaan ko yaqin samajhtaa huun yaqin ki khud nahin kuchh kam jo gumrahi ke liye kahin vo meri tarah meraa aashnaa hi na ho hazaar khvaab bunun main jis ajnabi ke liye vo aasmaan ho ki sahraa vajud ho ki adam fazaa bani hai ye kis sharh-e-khaamushi ke liye"
Ain SalamAin Salam
Quote
"aarzuon ke dhaDakte shahr jal kar rah gae kaise kaise hashr khaamoshi mein Dhal kar rah gae khaatir-e-khasta kaa ab koi nahin pursaan-e-haal kitne dildaari ke unvaan the badal kar rah gae ab kahaan ahd-e-vafaa ki paasdaari ab kahaan jo haqaaeq the vo afsaanon mein Dhal kar rah gae ab kahaan vo saahilon se sair-e-tufaan-e-hayaat ab to vo saahil talaatum mein badal kar rah gae haasil-e-gham yaa gham-e-haasil mayassar kuchh nahin zindagaani ke sabhi asbaab jal kar rah gae haae vo gham jo bayaan ki had mein aa sakte na the qaid-o-ashk-o-aah se aage nikal kar rah gae al-amaan haalaat ki mahshar-khiraami al-amaan Dagmagaae is qadar goyaa sambhal kar rah gae rah gayaa huun ek main tanhaa hujum-e-barq mein ham-navaa saare chaman ke saath jal kar rah gae ban to sakte the vo tufaan-e-qayaamat-khez bhi jo dhaDakte valvale ashkon mein Dhal kar rah gae ek vo hain Daalte hain maah-o-anjum par kamand aur ik ham hain ki khvaabon se bahal kar rah gae jin ko haasil thaa zamaane mein sukun-e-iztiraab apne hi ehsaas ke shoalon mein jal kar rah gae jin ki khaamoshi thi mashhur-e-zamaana ai 'salaam' aaj un ke munh se bhi shikve nikal kar rah gae"
Ain SalamAin Salam
Quote
"kabhi TuuTaa na afsun-e-sitam teri huzuri kaa bahut nazdik rah kar bhi rahaa ehsaas-e-duri kaa kahaan tak saath degi dekhein apni be-niyaazi bhi khumaar-e-tishnagi khamyaaza hai dasht-e-suburi kaa hazaaron aaftaabon ke lahu se tamtamaataa hai bharam ik muskuraate chehra-e-zebaa ki nuuri kaa huzur irshaad apnaa meri aankhon mein basaa diije ki phir shaaki na ho koi bayaan manzar se duuri kaa ye mahrumi to apni bebasi hi ki mukaafi hai sila kuchh aur honaa chaahiye thaa naa-suburi kaa mohabbat khud-faraamoshi se guzri ab ye aalam hai ki ik aalam tamaashaai hai apni be-shuuri kaa"
Ain SalamAin Salam
Quote
"vahshat-e-gham mein sukun ziist ko miltaa bhi kahaan thaa bayaabaan mein divaar kaa saayaa bhi kahaan ek muddat se na yaad aai na jaan taDpi hai dil tujhe bhuul gayaa ho magar aisaa bhi kahaan husn bhi vo na rahaa pahlaa saa dildaar-e-hunar aah pahli si vo ab azmat-e-tesha bhi kahaan maslahat-bin hai agar ishq-e-junun-pesha to kyaa ab vo pahle ki tiraa vusat-e-sahraa bhi kahaan koi manzil hi na thi manzil-e-gham se aage qaafila apni tamannaaon kaa ruktaa bhi kahaan ghair-mahdud khalaaon mein safar kartaa huun aur rasaai kaa ye aalam hai ki bhaTkaa bhi kahaan nikhat-o-nur se maamur fazaa hai phir bhi to ki is raahguzar se abhi guzraa bhi kahaan haram-o-dair se ye sar jo kashida aayaa jhuk gayaa dar pe tire aur ye jhuktaa bhi kahaan khaak uDaataa hai abhi dasht-e-talab hi mein 'salaam' dil-e-rusvaa ye huaa hai abhi rusvaa bhi kahaan"
Ain SalamAin Salam

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri